Computer Hard Drive Name Letter & Path Kaise Change Kare

0
computer hard drive name letter kaise change kare in hindi

Hii friends computer hard drive name kaise change kare, computer drive letter change kaise kare in hindi ye aap iss post me janege, dosto aap agar pc user hai to aap jante hi honge aapke pc ke hard disk ka name local disk c, local disk d, new volume c, new volume d, new volume e iss tarah se hota hai

jo har kisi ko accha nahi lagta hai to agar aap chahte hai ki aapki computer drive aapke name par ho ya usko new name dena chahate hai to essa kar sakta hai.

iss post me aapko computer drive ke letter jaise d, e, f etc ko kaise change kar sakte hai issi ke bare me batane wala hu, vaise aap chahe to computer disk ka size bhi change kar sakte hai jaise aapki hard disk agar 1 tb ki hai aur usme aapne only 2 drive bana rakhi hai

jo 500gb ki hai to aap uski size ko kam karke new drive yani volume bhi bana sakte hai isske bare me aapko apni agli post me bataunga, iss post me aapko computer drive letter & path ko change karne ka tarika batane wala hu. or ye bhut hi easy method hai isske liye aapko jayeda kuch nahi karna hoga. or aap bhut hi easily apni computer hard drive ko rename kar sakte hai.

How to Change Computer Drive Name In Hindi ?

Contents

friends computer hard drive name change karne ke liye aapko apne pc me kisi bhi tarah ke software ko download aur install nahi karna hoga aap bina kisi software aur ka use kiye hi hard disk name badal sakte hai,

bhut se log chahte hai ki unke computer ki hard drive ka name unke name par ho because sabhi logo ke computer ya laptop me jo drive name rahta hai vo local disk, ya new volume me hota hai jo bhut hi boring lagta hai,

aur sabhi logo ko vo pasand nahi aata hai to vo log sochte hai ki kya essa koi tarika hai jisse hum computer hard drive name change kar sake to yes ye possible hai aur aap essa kar sakte hai.

Computer Hard Drive Name & Letter Kaise Change Kare ?

  • apne pc drive letter ko change karne ke liye sabse pahle apne laptop ya pc ko open kare aur fir niche window icon hoga uspar click kare waha par search box hoga usme aapko computer management likhkar search karna hai
  • fir computer management option show hoga uspar click kar dena hai, ya aap apne pc ko open karne ke baad desktop par aapko this computer ka icon dikhega uspar mouse se right click kare aur manage par click karde.
  • fir aap computer management me paunch jayege yaha par aapko disk management wala ek option dikhega uspar click kar dena hai yaha par aapko sabhi hard drive hogi
  • innemse aap jis bhi drive ka letter ya name change karna chahate hai uspar mouse se right click kare fir aapko kuch option show honge unmese change letter and paths wala ek option hoga uspar click karde.
  • than aapke samne ek box open hoga yaha par aapko add, change, remove 3 option show honge inmese aapko change wale option ko select karna hai aur fir ok par click kar dena hai.
  • fir aapke samne ek or new box open hoga jo change drive letter or path wala hoga yaha par aapko assign the following drive letter ke aage d, e etc letter dikhega aap uspar click karke
  • apni pasand ka koi bhi letter jaise a,b, c etc select kar sakte hai jo aapke name ka first letter ho aur fir letter select karne ke baad ok par click karde.
  • now aapke hard disk ka letter successfully change ho jayega abhi aapko apne hard drive ka name change karna hai to aapko this pc par click karna hai yaha par aapko apni sabhi drives show honge
  • unmese jisko bhi rename karna chahate hai uspar right click kare aur fir aapko rename wala ek option show hoga uspar click karde.
  • or fir new volume ya local disk ko hatakar aap apna name ya kuch bhi naam daal sakte hai jo aapko accha lage to fir enter key dabade.

iss tarah friends aap easily apne computer hard drive letter & name ko change kar sakte hai.

Important –

Dosto Computer Hard Drive Name & Letter Kaise Change Kare, Laptop me hard drive ka letter or path kaise change kare ye aap seekh hi gaye honge ye jankari aapko agar acchi lage to isse apne friends ke sath me social media site par share jarur kare aur essi or bhi internet or pc tricks se related post read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here