Computer Me Hard Disk Partition Kaise Kare Step By Step Jane

0
computer me hard disk partition kaise kare

Hii Friends Computer Me Hard disk partition kaise kare step by step jane, computer me hard drive ka size kaise kam or jayeda kare ye aap iss article me janege, dosto agar aap bhi computer ya laptop user hai aur agar aap new pc buy karte hai ya usme new window install karte hai to usme aapko 1 ya 2 hard disk partition hi milte hai

lekin bhut se log chahate hai ki vo or jayeda partition bana paye to esssa kar sakte hai aap window install karne ke baad bhi usme hard disk partition ko badha sakte hai aur isske liye aapko kisi bhi dusre software ko download nahi hoga aap bina kisi software ka use kiye hi computer me hard disk ke partition kar sakte hai,

agar aapke computer ki hard disk 1 tb ya 500gb ya 250gb etc kitne bhi size ki hai to bhi aap uske partition kar sakte hai matlab aap 1tb hard disk ki 4 se 5 ya isse jayeda bhi partition bana sakte hai

or jayeda bhi kar sakte hai ye aap par depend karta hai, hard disk ke partition karna issliye bhi jaruri hai kyoki isse aap alag alag partition me alag alag folder bana sakte hai jinme games, movies, song etc rakh sakte hai.

Hard Disk Partition Kya Hai ?

Contents

Computer me hard disk pc ka ek bhut hi important part hota hai, issi me computer ka sara data jaise images, video, document etc store rahta hai jaha tak ki pc me jo windows rahti hai uska data & files bhi hard disk me store hota hai , issi liye computer me hard disk mobile ki internet storage yani rom ki tarah hitarah hi hoti hai,

hard disk partition matlab ki uske partitions kar dena, matlab ki usse alag alag part me divide kar dena, matlab ki uski alag alag drive jaise c,d, e,f etc me divide kar dena isse hota ye hai ki aap alag alag part me alag alag chijo ko store kar sakte hai, jaisa ki maine bataya ki jab new window install aati hai to hume 2 ya 3 hard disk partition hi milte hai

lekin bhut se logo ke pass alag alag prakar ka data jaise song, movies, games, document etc rahta hai jo vo alag alag partition me rakhna cahahate hai to essa aap easily kar sakte hai

aur aapne windows install karte time hard disk ke partition nahi kiye to bhi aap windows install karne ke baad bhi hard disk ke partition kar sakte hai aur isske liye aapko kisi bhi third party software ka use nahi karna hoga.

Computer Me Hard Disk Partition Kaise Kare Step By Step Jane

agar ab aap bhi computer me hard disk ke partition karna chate hai to isske liye aapko jayeda kuch nahi karna hoga aur jaisa ki maine aapko bataya ki hard disk ke partition karna issliye jaruri hota hai

kyoki isse hum apne alag alag deta ko alag alag jagah yani drive me store kar sakte hai, jab hum new laptop ya computer buy karte hai ya usme window install karte hai to hume c or d only ye 2 hard drive hi milti hai,

or jaisa ki aap jante hi hai ki c drive me windows ka data aur software jo windows me install hai unka data rahta hai

issliye usme hum apna koi bhi deta nahi rakh sakte to fir iss tarah humare pass apna data store karne ke liye only ek drive bachti hai, lekin aap chahe to uske partition bhi kar sakte hai matlab ki d se e, f, g etc or bhi drive bana sakte hai.

Computer or Laptop Me Partition Kaise Banaye ?

  • sabse pahle aapko apne computer ya laptop ko open karna hai aur fir aapko deskop par my computer ya this pc wala icon show hoga uspar mouse se right click kare aur manage option par click karde.
  • fir aap computer management wale option me paunch jayege yaha par aapko bhut sare option show honge inmese aapko disk management wale option par click kar dena hai.
  • fir yaha par aapko apne computer ki sabhi hard drive show hogi jiska bhi partition karna chahate hai uspar mouse se right click kare yaha par aap c ya d drive kisi bhi select kar sakte hai
  • but agar aapki c drive ka size 400 gb ya 500 gb itna hai to c drive ko hi select kare or fir yaha par aapko shrink volume ka bhi dhyaan rakhna hai. jis bhi drive ke partition karna hai uspar right click karke shrink volume par click karde.
  • fir aapko thoda wait karna hoga aur fir new window open hogi jaha par aapko enter the amount of space to shrink in mb me vo amount select karna hoga jitne ki aap partition banana chahate hai
  • example ke liye agar aapki c drive ka size 450 gb hai or new partition aap 200gb ya 250 gb ka bana sakte hai aur aapko vo amount mb me dalna hoga jaise 1 gb ko mb me kaha jaye to vo 1024 mb hota hai issi tarah aapko 250 gb ko bhi mb amount me hi dalna hoga aur fir shrink button par click karde,
  • shrink par aap jaise hi click karege issme thoda time jaise 2 se 3 minutre lagega aur fir aapko yaha par niche unallocated volume show karega uspar right click kare aur new simple volume par click karde.
  • fir aapko kuch option show honge unme koi bhi changes nahi karne hai aur next par click karte jana hai aur than aapko finish wala ek option hoga uspar click kar dena hai.

now friends aapka new drive successfully create ho jayega.

iss tarah friends aap in simple steps ko follow karke computer me hard disk ke partition kar sakte hai.

Dosto Computer me Hard Disk partition kaise kare in hindi, computer me alag alag hard drive kaise banaye ye ab aap seekh hi gaye honge ye jankari aapko kaisi lagi comment karke jarur bataye aur agar aapko ye post accha laga to isse apne dosto ke sath me social media site par share jarur kare.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here