Friends aap sabhi ke pass computer ya laptop hoga jisme bhut se software honge. Lekin kya aapko pata hai ki aapke computer me konsa software kis version me hai. Agar aapko nahi pata to ye post padhkar aap asani se samaz jayege ki trial full version or crack software kya hote hai.
vaise to sabhi logo ke pass computer hota hi hai lekin agar aapke pass pc nahi to bhi ye article ke liye aapke useful ho sakta hai.
computer me kisi bhi kaam Jaise photo editing, video editing etc ke liye software ki jarurat hoti hai. example ke liye agar aapko kisi bhi photo ko edit karna hai yani usme kuch bhi changes karne hai to aapko adobe photoshop program ka use karna hoga,
issi tarah video editing, project banana etc kaam ko karne ke liye different different types ke software ka use hota hai.
lekin kya aaapko pata hai ki aap jis softwares ka use kar rahe hai ya trial version me hai ya full version me hai. agar isske bare me nahi pata hai to yaha par me aapko issi ke bare me batatne wala hu,
Computer Me Trial Version, Full Version Or Crack Software Kya Hote Hai
Contents
Android phone me jis tarah hume bhut si category ki application milti hai ussi tarah computer yani windows ke liye bhi sabi tarah ke program rahte hai aur windows 8 aur usse uper ke version jaise windows 8.1 aur 10 me hume microsoft store bhi milti hai jaha par bhut se application rahte hai. mobile aur computer dono hi device me program jaruri hai.
1. Trial Software Kya Hai
bhut si company apne softwares ka promotion karne ke liye user ko uska trial deti hai. Trial ka matlab hota hai ki paid software ( paise wale ) ko kuch din free me use kar sakte hai
jaise 1 ya 2 months tak. Lekin issme company bhi apna promotion karti hai. Jaise agar aap video editing ke liye wondershare video editor download karte hai.
To vo aapko trial me milta hai. Jisme agar aap video edit karte hai. To usme wondershare ka logo show hota hai. Or aap us video jo aapne wonder share se edit kiya tha kahi use karte hai.
To wondershare program ka free me advertisement ho jayega iss company apna free me promotion kar legi. Iss trial version software ki limit rahti hai use karne ki. Or ye 1 se 2 months me expire ho jate hai.Read also:-
2. Full Version Software Kya Hai
full version jaisa naam se hi pata chalta hai ki in softwares ko hum puri tarah se use kar sakte hai. inki 2 category hoti hai.
Free full version software- bhut se software esse hote hai jinhe unke founder(nirmata) free rakhte hai. Jaise google chrome, mozila firefox, picasa etc jo hume free me full activated mil jate hai.
Serial key dalkar software ko full version ya full activate karna- agar aap kisi trial software ko full version karna chahate hai to aap asani se kar sakte hai, kisi bhi trial version me aap serial key dalkar usse full version bana sakte hai.
3. Crack software
-crack matlab trial version ko crack kar dena kisi software ki madad se.
Crack matlab software ki expiry date change kar dena ya usko full activate kar dena bhi hota hai trial verision software ko kaise crack karte ye janne ke liye aap yaha click karke meri post padhe.
Internet par essi bhut si site hai jinse aap antivirus pc games emulator etc ko crack version me download kar sakte hai.
Ab aap samaz gaye honge ki computer me trial, full, or crack software kya hai.
Friends aapko ye post acchi lage to isse apne dosto ke sath bhi share kare or aap essi or bhi post padna chahate hai to humari site par visit karte rahe, and aapko iss post me kuch samaz me na aaya ho to comment karke jarur bataye, aur latest post update ki notification apne email par received karne ek liye humari site ko subscribe kare
hi sir
mai 8.37 free trial deep freeze use kar raha hu.lekin ab muje 8.38 crack version mil rahi hai .is it safe and validity kya hogi.
aap jis site se download kar rahe hai waha par validity likhi hogi.
bhut acchi post hai kya yah hacking me aati hai kya sir
nahi ye computer related information hai