Conference Call Kya Hai Or Kaise Kare Step By Step Jane

0
conference call kaise kare in hindi

Hi friends conference call kya hai or kaise karte hai ye aap iss post me janege, bhut se log internet par how to make conference call in hindi essa likhkar search karte rahte hai agar apko bhi nahi pata hai ki conference call kaise kiya jata hai to sahi jagah pe hai me aapko issi ke bare me batane wala hu.

jaisa ki dosto aapko pata hi hoga ki sabhi log apne friends ya kisi se baat karne ke liye uske number par call karte hai. isse hum normal calls bolte hai lekin aap ek time ek se jayeda logo se baat karna chahate hai matlab aap ek calls me 3 ya 4 ya isse logo ko jodna chahte hai to conference call ki help se essa kar sakte hai. issme aap ek time me 2 ya 2 se jayeda logo ke sath bat kar sakte hai.

Conference Call Kya Hai ? in Hindi

Contents

saral sabdo me kha jaye to conference call me aap 1 sath or ek hi time me apne sabhi friends se bat kar sakte hai isse aap group call bhi bol sakte hai. normally kya hota hai

agar hume humare kisi friend se baat karni hoti hai to hum usko call karte hai lekin agar aap ek ek karke apne sabhi friends ko calls karte hai to issme aapka bhut jayeda time waste ho jata hai aur aapko bhut problem bhi hoti hai isse accha aap ek sath apne sabhi friends ko call kar sakte hai

isse aapka jayeda time bhi spend nahi hoga aur aapki apne sabhi dosto se baat bhi ho jayegi. example ke liye aapka koi friend hai jo aapke dusre friend ka bhi friend hai to ese me aap un dono se ek sath baat karna chahte hai to conference call ki help se essa kar sakte hai.

issi tarah aapke bhut sare friends hai jo different different city me rahte hai to aapko un sabhi ko ek ek karke phone karna hoga lekin aap conference call ki help se unko ek sath sabhi ko phone kar sakte hai aur ek hi time apne sabhi friends se ek sath baat kar sakte hai.

Conference Call Kaise Kare ? Step By Step Jane

agar aap apne mobile se conference call karna chahte hai to iske liye aapko jayeda kuch nahi karna hoga aapko niche bataye steps sahi se follow karne hai.

sabse pahle aapko apne android mobile ke dialpad me jana hai aur fir apne friends ya jiske bhi baat karna chahate hai uska number enter karke call kar dena hai.

fir jabka aapka vo friends call received kar lega to aapko kuch option show honge unmese hold wale option par click karna hai.

note – Friends dyaan rakhe jab aap apne friend ka call hold karege to usko bolde ki vo phone na rakhe or thoda wait kare kyoki agar vo phone rakh deta hai to calls cut ho jayega.

fir aapko yaha par add calls wala ek option show hoga uspar click kare, abhi aap apne us dusre friend ka number enter kare jisse baat karna chahate hai or contacts mese bhi uska number select kar sakte hai.

now usko call lagna start ho jayega aur jaise hi vo aapki call received karega aapko merge wala ek option show hoga uspar click karde. than aapki dono calls ek sath connect ho jayegi.

aur fir aap ek sath apne dono friends se baat kar payege issi tarah iss method ka use karke aap apne or bhi dosto ko add kar sakte hai aur unke sath group me baat kar sakte hai.

Conference Call Kaise Received Kare ?

Abhi bhut se log soch rahe honge ki conference call kaise lete hai to isske liye aapko jayeda kuch bhi karne ki jarurat nahi hai aap jaise normal call received karte hai ussi tarah isse bhi received kar sakte hai. aur vo automatically connect ho jata hai.

Conclusion-

Dosto conference Call Kaise Kare in hindi ye aap seekh hi gaye honge aur isske bhut fayde bhi hai jaise aap kisi company me koi manager hai to apako apne other employees se ek sath baat karni hai to iska use karke aap sabhi se ek sath baat kar sakte hai to iska use karke aap sabhi se ek sath baat kar sakte hai

aur apne android phone se hi nahi balki kisi bhi phone yani keypad phone aur landline phone se bhi conference calls kar sakte hai to ye post aapke liye useful rahi to isse apne dosto ke sath social media site par share jarur kare aur essi or bhi post read karne ke liye humari site par visit karte rahe. aur essi internet se related post ki notification apne email par received karne ke liye aap humari site ko subscribe kar sakte hai

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here