Android Mobile Phone Ko Face Se Control Kaise Kare Working Trick

0

HII friends Apne Android mobile phone ko face se control kaise kare ya apne phone ko face se kaise chalaye or operate kare ye main aapko iss post me batane wala hu. agar aap apne phone ko bina hath lagaye chalana chahate hai to iss trick ka use karke aap asani se phone ko bina chuye use kar sakti hai yani apni face yani sakal se mobile ko operate kar sakte hai.

android smartphone sabhi logo ke pass hota hai kyoki ye bhut hi kam price and aapke budget me mil jata hai issliye lagbhag sabhi log android mobile hi uise karte hai and agar aap bhi android user hai to aaj main aapko android mobile ki bhut hi interesting trick batunga.

aapne bhut se android apps dekhe honge jinka use karka aap apne mobile me bhut se changes kar sakte hai lekin kya aapko pata hai ki aap apne face se mobile ko control kar sakte hai ye sunne me thoda ajeeb lagta hai but ye possible hai isske liye aapko sirf ek app ka use karna hoga jiske bare me iss post me batane wala hu

How to Control Android Mobile Phone Using Face ? in Hindi

Contents

Ye sunne me thoda alag lagta hai ki aap apne phone ko face ka use karke bhi control kar sakte hai lekin ye sach hai and 100% working hai maine kudh try kiya hai and issliye main aapkesath ye trick share kar raha hu.

Android mobile ki sabse accchi baat hai ki ispar humko google play store milta hai jisme hume millions ki sankhya me apps milte hai

jinka use karke hum bhut se kaam kar sakte hai and aaj bhi main aapko ek best app EVA Facial mobile app ke bare me batunga jisse aap apne smartphone ko apne face se control kar payege.

Mobile Phone Ko Face Se Control Karne Ke Benefits (Fayde)-

  • Isse aap bina hand touch kiye apne mobile ko chala sakte hai.
  • Issme aapko mouse ki tarah pointer milta hai jo aapko mobile ko face se control karne me help karta hai
  • Isska use karke aap messages and search bhi kar sakte hai
  • Issme aapko homescreen par keyboard back button home button jaise bhut se features milte hai
  • Aap asani se iska use kar sakte hai and and ye aapko computer jaisa look deta hai.
  • Eva facial se aap incoming call received kar sakte hai whatsapp chala sakte hai and messages send kar sakte hai or video player use kar sakte hai photo bhi capture kar sakte hai or bhi bhut se kaam iss app se kar sakte hai.

Android Mobile Phone Ko Face se Control Kaise Kare тАУ 100% working trick

Agar aap bhi apne mobile ko face se chalana ya operate karan chahate hai to niche bataye steps ko follow kare-

  • Sabse pahle play store eva facial app download hai isse direct download yaha se kar sakte hai.

 Download eva facial

mobile ko face se kaise control kare
  • Ab isse open kare and aapke samne ek message show aapko ok par click karna hai.
eva-facial-mouse
  • Ab Accessibility ka option ho jayega yani aapko isse permission deni yha niche aapko eva facial mouse ka option dikhega uspar click kare.
enable-and-ok
  • Ab ye off hoga ispar tap karke enale karde jab aap ispar click karege to black color me term and condition wala page open hoga isme ok par click karde.
tap-on-next-next
  • Ab next par click karna hai and  dubara next par click kare.
you-can-see-cross-mark-tap-on-setting
  • Ab ek page open hoga jime aapko red color me cross mark dikhega. Aapko niche setting par click karna hai.
langauge-and-inpu-current-keyboard-select-eva-keyboard
  • Aap apne mobile ki setting me puch jayege yaha launguage and input par tap kare or current keyboard par tap kareyaha eva keyboard par click karke use enable karde . And ab Attention message show hoga use ok karde. Or jo pahle se enable keyobard hai unpar click kare unhe off ya disable karde
phone ko face se chalane ka tarika hindi me
  • Ab eva facial me wapas jaye and aapko jo red color me cross mark dikh raha tha vo green color ke right mark me change ho jayega and next par click kare.
mobile ko face se control kaise kare
  • Ab aapka face detect hone lagega yani mobile screen par uper show hone lagega. Next click kare.
you-will-see-mouse-pointer
  • Ab aapko mouse ka pointer dikhega jise aap apne face se control kar sakege. Aapko next par click karna hai.
tap-button-and-hold-click
  • Next par click karte jaye jab button option nahi dikhta ab aap button option par jane ke liye apne fece se mouse pointer button tak le jaye and hold karke rakhe. ab click show hoga uspar tap kare and click likha aa jayega jiska matlab ki aap apne face se mobile ko control karne ke liye ready hai.
scroll-content-using-scrol-button
  • Next par ab aap apne fece se hi cllick kar sakte hai and next next karte hai .
phone ko face se kaise chalaye
  • Ab aapki mobile screen open ho jayegi jiski left side me aapko kuch option dikhege and uper aapka face showe hoga jisse aap apne phone ko operate kar payege.

Iss tarah friedns aap aasani se apne mobile phone ko apne face se control ya access kar sakte hai.

Important-

friends ye eva facial app ko aap tabhi use kar sakte hai jab aapke Phone me front camera ho otherwise aap apne Phone ko face se nahi use kar sakte. vaise to abhi sabhi smartphone me hume front camera milta hi hai

kyoki bhut se logo ko selfie click karna pasand hota hai aur bina front camera ke ye possible nahi hai. aur aapke mobile ka front camera jayeda megapixel ka hona jaruri nahi hai.

Tags- Face ka use karke android phone ko control kaise kare, mobile ko face se control kaise kare, Smartphone ko face se control kaise kare, phone ko face se kaise chalaye ya use kare.

I hope friends aapko ye post accha laga ise apne dosto ke sath social networking site par share karna na bhule or aapko iss post me kuch samjh na aaya ho to comment karke jarrur bataye or essi or bhi post read karne ke liye abhi iss humari site allhindihelp ko subscribe kare or latest post ki janakri apne email par paye..

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here