DocsApp Kya Hai ? Online Doctor Se Free Advice Kaise Le

0
docsapp kya hai aur kaise use kare

Hii friends docsapp kya hai aur docsapp ko kaise use kare, ghar baithe online doctor se free advice kaise le ye aap iss post me janege, dosto aapne bhut si app dekhi hogi jo aapko bhut se feature deti hai lekin yaha par me aapko aaj ek essi app ke bare me batane wala hu

jiska use karke agar aapko koi physical ya mental problem hai to aap online specialist doctor se online advice le sakte hai. ye ek bhut hi kamal ka app hai

jaha par 24×7 doctors online rahte hai aur aap unke sath chat pe baat kar sakte aur call bhi kar sakte hai. aap mese bhut se logo ne bhut si apps apne phone me install karke rakhi hogi

aur kuch app to essi hogi jinko aap use bhi nahi karte honge to me aapko batana chahunga ki docsapp ek bhut accha app hai aur aapke liye useful bhi hai.

DocsApp Kya Hai ? What Is DocsApp In Hindi

Contents

Docsapp se aap ghar baithe online doctor se kisi bhi health issue se related online consultation le sakte hai, issme aap without appointment ke hi medical answers pa sakte hai.

jaisa ki dosto aapko pata hi hoga ki aaj kal sabhi log busy rahte hai aur kisi ke pass bhi time nahi hota hai issliye vo apni health ki accchi tarah se care nahi karte hai

aur chote mothe disease ( rogo ) ko ignore karte hai lekin essa karne se vo apni health ka bhut nuksan kar lete hai aur disease aage chalkar aur badi sickness me badal jata hai,

lekin ab aap ek app ka use karke ghar baithe hi apni health issue ka pata laga sakte hai aur uski medicines ko bhi ghar baithe ki manga sakte hai aur isse aapka time to kam spend hoga sath me aap utne time me aur bhi bhut se kam kar payege,

docsapp ek kamal ka app hai jisme 24 hours koi na koi specialist doctor online rahte hai

jo aapki kisi bhi tarah ki health problems jaise gynecology, dermatology, hair scalp care, psychiatry, general medicine, pediatrics, weight management etc se related online consultation dete, ek research ke anusar 72 percent bimariya common hoti hai

jinke liye kisi bhi check up ki requirement nahi hoti hai, issliye aap docsapp ki help ghar baithe hi apni health problem ke bare me online doctor se chat karke ya call karke bhi pata kar sakte hai aur usse related medicine bhi ghar par hi mangwa sakte hai.

DocsApp Ko Kaise Use Kare ?

  • sabse pahle aapko apne phone me docsapp name ka app playstrore se download karna hoga jise aap yaha se bhi download kar sakte hai.
  • fir iss app ko download and install karne ke baad aapse language select karne ke liye bola jayega yaha par aapko english aur hindi 2 option dikhege
  • agar aapko english acche se aati hai to english select kare aur agar aapki english jayeda acchi nahi hai to me aapko suggest karunga ki yaha par aap hindi hi select kare.
  • fir language select karne ke baad aapse aapka phone number, name aur email address enter karne ke liye bola jayega, apna name, phone number aur email address sahi sahi fill kare
  • aur apna wahi number dale jo chalu ho kyoki aapke number par ek otp code aayega apni sabhi information sahi se fill karne ke baad agree and continue wali button par click karde,
  • ab aapne jo number enter kiya tha uspar 4 digit ka ek otp code aayega vo iss box me dale
  • Now aapka docsapp account successfully created ho jayega aur aap iss app ke homepage par paunch jayege yaha par aapko patient kon hai ye select karna hai or fir apni age and gender select karna hai
  • aur aapko health se related kya problem hai us problem ke bare me batana hai or start now par click karde.
  • fir aapki jo bhi problem hai usko uska ilaj doctor aapko message ya call karke batayega aur uski medicine bhi batayga jise aap iss app se hi manga sakte hai.

iss tarah friends aap easily iss docsapp ka use kar sakte hai.

DocsApp Ke Fayde ( Benefits ) –

  1. aapko kahi bhi jane ki jarurat nahi hoti aur ghar baithe hi apni health problem ka treatment kara sakte hai.
  2. docsapp par doctor ki fees unki clinic fees se bhut kam hai agar aap iss app ke jariye doctor se advice lete hai to aap 60% tak saving kar sakte hai.
  3. docsapp me aapko specialist doctor milte hai jo md aur mbbs hote hai, doctor ke milne ke baad aap unki profile ki read karke unke bare me pata bhi kar sakte hai .
  4. agar baat kare ki 1 halth advice kitne time tak valid rahti hai to me aapko batana chahunga ki vo 3 days tak hi valid hota hai aur uske baad vo automatically close ho jata hai lekin agar aapko doctor se koi or question karna hai to purani chat me jakar unse dubara baat bhi kar sakte hai.
  5. docsapp ka use karne ki liye apki age 18+ honi jaruri hai yaha par 18+ age issliye rakhi gayi hai kyoki iss age ke log apni problem ke bare me acche se pata hota hai aur vo usko acche se samja bhi sakte hai aur doctor ke bataye consultation ki responsibility le sakte hai

Conclusion –

Dosto Docsapp Kya Hai In Hindi, Online doctor se free health advice kaise lete hai ye aap seekh hi gaye honge agar aapko ye jankari acchi lagi to isse apne friends ke sath me social media site par share jarur kare aur essi or bhi new information se related post read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here