YouTube Videos Mobile Gallery में Download और Save कैसे करे

1
youtube videos download kaise kare 2 method in hindi

YouTube Videos Download Kaise Kare, How To Download Youtube Video Detail In Hindi  Friends Aap Youtube par Videos dekhte hi honge Aur aap mese bhut se logo ko pata hoga ki youtube videos offline save bhi kar sakte hai.

But issme jo videos offline save hoti hai vo only aap khud dekh sakte hai Aur usse kisi ke sath share nahi kar sakte hai and vo videos aapko aapke phone ki gallery me bhi nahi dikhti hai.

Aur usko chalane ke liye aapko youtube app open karna hota hai and tabhi aap ussko dekh sakte hai to agar aap galti se youtube ki app ko uninstall kar dete ya disable kar dete hai to aapke dwara save kiye gaye offline videos bhi delete ho jate hai

to dosto agar aap normal videos ki tarah hi youtube videos ko bhi apne phone ki internal storage ya external storage jaise phone storage ya sd card storage me save karna chahate hai jisse aap unhe gallery me jakar dekh paye and unhe apne friends ke sath share bhi kar paye to aap sahi jahah hai aaj me aapko issi ke bare me batane wala hu.

Youtube Videos Ko Download Kyo Kare ?

Contents

Dosto youtube par aapko funny, movie song, status, comedy, Mp3 Songs tech etc almost sabhi tarah ke videos dekhne ko milte hai. To unmese bhut se esse bhi videos hote hai jinhe aap baar baar dekhna chahate hai ya jinko aap apne dosto ke sath bhi share karna chahate hai to unko aap download karke unko dekh bhi sakte hai

Aur apne dosto ke sath share bhi kar sakte hai. Youtube hume offline video save karne ka option deta but maine jaisa ki aapko bataya ki agar aap offline me koi bhi videos save karte hai to vo aapke phone ya sd card storage me nahi dikhta hai kyoki vo aapke phone ki storage me to save hota hai but mp4, mkv etc videos file me save nahi hota hai

jis wajah se vo gallery ya storage me nahi dikhta hai Aur usko sirf aap youtube app me hi dekh sakte hai.

Youtube Videos Download Kaise Kare – 2 Method In Hindi

Friends ab aap bhi agar youtube se kisi bhi video ko download karna chahate hai to me aapko 1 nahi bakki 2 method batane wala hu jinka use karke aap easily youtube video download kar sakte hai

1st method me aapko youtube app se video download karne  ke bare me batane wala hu ye smartphone user ke liye useful hoga Aur second method me aapko ek site ke bare me batane wala ye method pc user ke liye hai and mobile me bhi aap isse use kar sakte hai.

Mobile Se Youtube Video Gallery & SD Card Me Download & Save Kaise Kare

Agar aap smartphone user hai Aur youtube app se video download karna chahate hai to niche bataye instruction ko follow kare

  • Sabse pahle youtube app open kare Aur yaha search icon par click kare. yaha par apne pasand ka koi bhi video search kare jisse aap download karna chahate hai fir yaha aapko usse related search result dikhne lagege.

tap-3-dot-and-share

  • Ab aapne jo video search kiya tha usse related aapko bhut se videos dikhege ab aap jisse bhi download karna chahate hai usske aage aapko 3 dot dikhegi unpar click karde. Ab aapko kuch option dikhege unmese share wale option par click kare.

tap-on-copy-link

  • Ab ek new window open ho jayegi yaha aapko bhut si social networking sites dekhegi Inmese aapko copy link wale option par click karde.
  • Ab aapko you2mate name ki ek site par jana hai.

tap-on-paste

  • Ab yaha aapko search bar dikhega isspar apna finger hold kare fir yaha aapko paste likha dikhega usspar click karde.

tap-on-right-arrow

  • Fir us video ka link yaha par dikhne lagega. Jise aapne copy kiya tha fir yaha right arrow par click karde.

choose-video-resolution-and-download

Ab vo video aapko yaha dikhne lagega and ab aap isko download kar sakte hai yaha aap 720p 320p aur 240p etc resolution me video download kar sakte 720p resolution me aapka video hd quality me save hoga Aur usski size bhi jayeda hogi and 320p me medium quality me hoga and size bhi kam hoga apni pasand ka resolution select karne ke baad uske aage download button par click karde.

tap-on-download

  • Ab aapse dubara pucha jayega ki aap iss video ko save karna chahate hai download button par click karde.

Now friends aapka video download hona start ho jayega downloading complete hone ke baad vo aapke phone storage ya sd card me save ho jayega.

Computer / Laptop Se Youtube Videos Ko Download  & Save Kaise Karte Hai

Agar aap pc user hai Aur youtube videos ko download karna chahate hai to me aapko bhut hi easy method batane wala hu issme aapko na hi link copy karna hai Aur na hi kisi site par jana hai aap direct youtube se video download kar payege and ye method aap mobile me bhi use kar sakte hai.

search-video-and-tap-video

  • sabse pahle youtube.com site par jaye Aur search box me apne psand ka video likhkar search kare. Fir ab jis bhi video ko download karna chahate hai usse open kare.

add-ss-after-www

  • Ab yaha aapko search bar me us video ka link dikhega yaha aapko www. Ke baad ss lagana hai.

press-enter-key

  • www. Ke baad ss lagane ke baad video ka link uper screenshot ki tarah dikhega fir aapko enter key dabana hai.

tap-on-download-button

Aap jaise hi enter key press karege aao saveform ki site par punch jayege yaha aapko vo video dikhega Aur niche download button bhi dikhega ab yaha aapko pahle se 720p resolution dikhega aap chahe to isspe click karke isse kam kar sakte hai Aur resolution select karne ke baad videos ko save karne ke liye green color me download button par click karde.

Now friends aapka video download hone lagega and downloading complete hone ke baad vo aapke phone ya sd yani internal ya external storage me save ho jayega.

Friends Youtube Videos Download Kaise Karte Hai, Youtube Se Video Download Karne Ka Tarika In Hindi ye ab aap seekh hi gaye honge esse aur bhi article read karne je liye humari site par visit karte rahe.

1 COMMENT

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here