Ek Mobile Me 2 Gmail Account Kaise Chalaye ( Use Two Email Id )

1
ek mobile me 2 gmail account kaise chalaye or use kare

Hi friends ek mobile me 2 gmail account kaise chalaye, ek mobile phone me do email id kaise open kare ye aap iss article me janege. jaisa ki aap jante hi honge ki gmail account humare liye kitna important hota hai kyoki google ki sabhi services ko use karne ke liye hume iss account ki jarurat padti hai aur bhut se kamo me jaise kisi bhi form ko fill karte time, kisi bhi site me register karte time, online shopping etc

sabhi jagah par aapse aapki email id puchi jati hai to aap soch sakte hai ki ye kitna important rahta hai. bhut se user ko problem tab aati hai jab vo apne phone me dusra email account open karna chahate hai.

agar aapki bhi ek se jayeda email id hai aur vo aap apne smathpone me open nahi kar pa rahe hai to iss post me aap issi ke bare me bare me janege.

Ek Mobile Me 2 Gmail Account Kaise Chalaye ?

Contents

smartphone par jab aap kisi google account ko sync kar lete hai to har bar gmail access karne par sirf ussi sync account ke mail dikhayi dete hai aur users ko problem tab aati hai jab aapko apne phone me koi dusra mail account open karna hoga

to fir aapko log in ka koi option hi show nahi hota hai agar aap chahte hai ki aap apne ek hi phone se apne 2 ya isse jayeda bhi gmail accounts ko sync kar sake to easily essa kar sakte hai

aur aap kisi bhi device jaise android aur iphone dono me ek sath 2 email id ka use kar sakte hai. aap mese bhut se log honge jo 2 gmail account ka use karte honge

lekin aapke phone me aapne apna 1 email account connect kiya hai aur dusre ko kisi browser me open karte hai to har aapko usme login karna padta hai aur mail me bhi aapko dursi id add karne ka koi option show nahi hota hai agar aapki bhi yahi problem hai to iss post me uska solution aapko mil jayega.

Ek Mobile Me Ek Sath Do Email/ Gmail Id Kaise Use Kare or Chalaye

sabse pahle aapko apne phone ki setting me jana hoga yaha pe aapko bhut sare option dikhege inmese account & sync wala ek option hoga uspr click karde,

fir yaha apko add an account wala ek option show hoga uspe click kare aur fir yaha par aapko bhut se app dikhege inmese aapko google ko select karna hai.

fir aapse aapka email enter karne ke liye bola jayeda aur fir aapse password pucha jayega aur dono enter karne ke baad aapka account successfully issme connect ho jayega.

fir aap jabhi bhi mail ya play store jo bhi open karege waha par aapko account change karne wala option bhi show hoga aur aap apne dusri id ko bhi use kar payege.

iss tarah friends aap easily ek mobile me 2 gmail account chala sakte hai. .

Temporarily login –

agar aapke phone par koi dusra person apna gmail access karna chahtata hai aur vo nahi chahata hai ki uski detail aapke smartphone me save ho to uske liye bhi ek option hai. one time access ke liye incognito mode ki help le sakte hai.

isske liye apne smartphone me chrome browser ko open kare uski setting me sabse uper aapko new incognito tab wala ek option show hoga uspar click karde fir ek black window open hogi

yaha pe address bar me gmail.com ko khole aur apna username aur password enter kare aur fir jaise hi aap logout karege sabhi details automatically delete ho jayegi.

Dosto Ek mobile me 2 gmail id kaise chalaye ye aap seekh hi gaye honge ye information aapko kaisi lagi comment karke jarur bataye aur agar ye post aapke liye useful raha to isse apne dosto ke sath social media site par share jarur kare aur essi or bhi post daily read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

1 COMMENT

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here