Hii Friends Emoji Kya Hai Aur Apna Emoji Kaise Banaye, Khud Ka Emoji Kaise Banate hai ye aaj aap iss post me janege. Dosto agar aap social media sites jaise facebook, whatsapp, hike etc use karte hai to usme aapne emojis to dekhi hi hogi.
Emojis ya Emoticons Feeling ko batate hai ki apka mood kaisa hai jaise aap agar happy hai to aapko samne wale ko batana hai ki aap happy hai to aap ЁЯШГ iss emoji ka use kar sakte hai issi tarah agar aapko gussa aa raha hai to ЁЯШа iss emoji ke dwara bata sakte hai issi tarah Funny, Sad, Naughty, Proud, Awesome etc bhut si emojis hoti hai.
- Gif Animation Image Kya Hai Aur Kaise Banaye 5 Minute Me
- VPN kya hai ? VPN [ Virtual Private Network ] ko Kaise Use Karte Hai
Emojis Kya Hai Puri Jankari Hindi Me
Contents
Emoji jisko emoticon aur smiley bhi kahte hai ek electricity picture rahti hai jo aapki feeling ko express karti hai ye social media sites par message aur chat karte time sabse jayeda use ki jati hai. Aur isske dwara log apni feeling ko express karte hai ki unka mood kaisa hai
example ke liye jaise agar aapke friend ko aapne facebook whatsapp etc par koi funny joke send kiya hai aur usko us joke ko padhkar maza aaya to vo ye ЁЯШВЁЯШБ in dono emojis mese koi bhi send karega.
Aur isse aapko pata chal jayega ki aapne jo joke apne friend ko send kiya vo usko accha laga to esse hi aap bhi apni feeling ko emojis ke dwara easily bata sakte hai. Aur ye ek bhut accha tarika hai Aur inka use karke chat karna aur bhi accha lagta hai kyoki chat karne time text me Continuously text message likhna boring ho jata hai.
But emoji use karne se aap ek emoji ke dwara apni feeling ko bhut hi easily Aur bina koi text likhe samne wale ko bata sakte hai. Abhi tak total 2306 emojis developed ho chuke hai but Inmese bhut se log 20 ya 50 jayeda se jayeda 100 hi emojis ka jayeda use karte hai.
Apna Emoji Kaise Banaye Puri Jankari Hindi Me
Agar aap bhi apna emoticon create karna chahate hai to essa aap apne mobile phone se bhi kar sakte hai emojis banane ki bhut si apps play store par available hai but unmese jayedatar apps sahi se work nahi karti hai but me aapko jis app ke bare me batane wala hu usee aap easily apna khudka easily emoticon create kat sakte hai.
How to Make Your Own Emojis Full Information In Hindi
- Sabse pahle aapko apne phone me play store se emoji maker app ka app download karna hoga. Isse aap yaha se direct download kar sakte hai.
Ab iss app ko download and install karne ke baad open kare ab yaha aapko apna emoji banane ke liye bhut se option dikhege Inmese sabse pahle option select shapes wala hai issme aap kis shapes ki emoji banana chahate hai vo select karna hai yaha par aapko bhut si shapes dekhegi Inmese aap jis bhi shapes ki emoticon create karna chahate hai uspar click karke select karde.
- Ab aapko apne emoji ke liye eye select karna hai yaha par aapko happy, naughty, love, sad etc sabhi types ki eyes icon dekhegi Inmese aap jisko bhi select karna chahate hai uspar click karde. Eye select karne ke baad eye brows par click karde aur emoji ke eye brows bhi select kare.
- Ab nose icon par click kare Aur apni emoji ki nose select kare.
- ab mouth icon par click kare aur apni emojis ka mouth select kare.
Important – Friends Emojis ki shapes, eye, nose, mouth bhut important hai inhe aapko apne hisab se select karna hoga aur inhi se aap ek acchi happy funny category ki emoticon create kar sakte hai.
- Ab agar aap apni emoji me beard yani dhadhi ya munch lagana chahate hai to yaha se select kar sakte hai aur agar nahi lagana hai agli icon par click kare
- glasses wali icon par click karde. Ab aap yaha se aap apni emoji me glasses laga sakte hai jis bhi glasses ko issme add karna hai uspar click karke select karde aur agar glasses nahi add karna hai to hair icon par click karde.
- Apni emoji ke liye hair style select kare Inmese sabhi hair style par click karke dekh sakte hai jo bhi hair style aapki emojis ke sath accha lage usse rahne de.
- hats icon par click karde Yaha par aapko bhut hi hats dekhegi jis bhi jisko use karna hai uspar click karke select karde.
- ab hands icon par click karde. yaha aapko bhut se hands icon dikhege inmese jis bhi hands ko aap issme lagana chahate hai uspar click karke select karde. aur fir mask icon par click karde.
- Yaha par aapko sabhi tarah ke emoji mask dikhege inse aap apni emojis ko aur bhi accha bana sakte hai but agar aap inko apne emoji me add karte hai to vo pahle se bhut different dikhne lagegi. Mask select karne ke baad sabse last wali misc icon par click karde.
- Ab yaha se aap apni emoji me Aur kya chije add karna chahate hai vo select kar sakte hai jaise agar aapko kisi ki baat samajh me nahi aati hai to aap ?? Ye question mark usse send karte hai essi tarah aap issme bhi question mark add kar sakte hai. Aur bhi bhut se icon yaha se aap apni emoji me add kar sakte hai.
Now jab aapki emoji successfully create ho jaye tab issko apne phone me save karne and apne friends ke sath share karne ke liye uper share icon par click kare ab dubara aapse pucha jayega ki aap such me apni iss emoji ko share karna chahate hai yes par click karde.
Ab aapko iss app me sign in karne ke liye bola jayega aap facebook twitter se bhi issme sign in kar sakte hai facebook se emojis maker app me sign in karne ke liye sign In with facebook wale option par click karde. ab ye app aapse aapke facebook account ka name email address etc ko access karne ki permission magega continue to your name par par click karde.
ab aap successfully iss app me sign in ho jayege ab yaha aapko sabse last me 3 dot dikegi inspar click kare aur fir yaha par aapko share your emoji aur save your emoji 2 option dikhege 1st option par click karke aap apni banai iss emoticon ko apne dosto ke sath social media site jaise facebook whatsapp twitter etc par share kar sakte hai aur 2nd option par click karke aap iss emojis ko apni phone ki gallery me save kar sakte hai.
Iss tarah friends aap easily apni khudki emoji ya smileys create kar sakte hai.
friends jab aap apne iss app ka use karke apne emojis bana le tab apne facebook account ko iss app se signout karne ke liye yaha par 3 line par click kare aur fir aapko kuch option dikhege inmese signout wale option par click karde.
- Prisma App рдХреНрдпрд╛ рд╣реИ ? Prisma App рд╕реЗ Photo Editing рдХреИрд╕реЗ рдХрд░рддреЗ рд╣реИ ?
- Vector Art Kya Hai Aur Mobile Phone Se Vector Art Kaise Banaye
Dosto Emoji Kya Hota Hai Aur Kaise Banate Hai, Khud Ka Emoji Banane Ka Tarika, Apna Photo Emoji Kaise Banaye, Emoticon Kaise Banaye, Emoji Ya Smileys Kaise Banate Hai ye ab aap seekh hi gaye honge agar aapko ye article accha laga to isse apne friends ke sath share jarur kare.
Nice post
Sir ye jaankari mujhe bahut acchi lagi ye bilkul new jaankari share ki hai aapne thanks for sharing.
Bhut badiya se bataya aapne
Blog website par traffice badane ke liye kya kare
isske bare me maine already apne ek article me bataya hai jise aap bloggging category me jakar read kar sakte hai.
isske bare me maine already apne ek article me bataya hai jise aap bloggging category me jakar read kar sakte hai.
isske bare me maine already apne ek article me bataya hai jise aap blogging category me jakar read kar sakte hai.
Bhut achi jankari share ki hain bhai aapne