Kisi Bhi Android Phone Me Picture-in-Picture Mode Enable Kaise Kare

1
android phone me picture-in-picture mode enable kaise kare

Hii Friends Kisi Bhi Android Phone Me Picture-in-Picture Mode Enable kaise kare, Mobile Phone me picture-in-picture mode kaise use karte hai ye aaj me aapko iss post me batane wala hu. dosto agar aap android phone use karte hai yani android user hai to aaj ki post aapke liye hi hai android O Ke bare Me maine ek post ki thi jissme main aapko picture-picture mode feature ke bare me bataya tha.

but ye feature aap tabhi use kar sakte the jab aapke pass android Oreo updated smartphone ho but aap aapke phone ke liye oreo version available nahi hai ya aap Lolipop, marsh mellow, nougat wale android user hai to don’t worry ab aap bhi aapne mobile me pip mode use kar sakte hai or isske liye aapko apne smartphone ko oreo me bhi update bhi nahi karna hoga.

Picture-in-Picture Mode Kya Hai ? What Is Picture-in-Picture (PIP) Mode Detail In Hindi

Contents

Dosto PIP mode ek essa feature hai jisska use karke aap video play karne ke sath apne phone se or kuch bhi kaam kar sakte hai. ye pip mode pahle android tv ke liye launch kiya gaya tha but ab aap isse apne smartphone me bhi use kar sakte hai. android ke oreo version me ye feature pahle se inbuilt rahta hai.

but agar aapka phone oreo updated nahi hai to aap chinta na kare aap bhi iss pip mode ko easily use kar sakte hai pahle me aapko isske bare me thodi detail me bata deta hu.

PIP Mode se aap video dekhne ke sath sath facebook Whatsapp etc bhi use kar sakte hai. yani aapke phone ki aadi yani half ya half se kam ya jayeda screen me video float hota rahega or video dekhne ke sath aap apne phone se kisi se bhi chat message or kuch bhi kar sakte hai.

Picture-in-Picture Mode Ke Feature Benefits In Hindi

1.Pip Mode ka use karke aap apne phone se ek time me 2 kaam kar sakte hai yani multitasking kar sakte hai. aap video view karne ke sath whatsapp facebook etc bhi use kar sakte hai.

2. picture-in-picture mode ka use karke aap Youtube video ko apni mobile ki screen par uper niche left right kahi bhi float kara sakte hai yani chale sakte hai. or screen size ka width bhi adjust kar sakte hai.

3. pip mode oreo version ka bhut hi popular feature hai jo aapke multitasking feature ko Aur bahtar banata hai.

4. Picture-in-picture mode se App youtube video float karne ke sath me chat karne ke sath sath game bhi play kar sakte hai.

Picture-in-Picture Mode Enable Kaise Kare Kisi Bhi Mobile Phone Me Puri Jankari Hindi Me

Dosto jaisa ki maine aapko bataya ki pip mode wala ye features abhi only android oreo user ke liye hi available hai or aapka device agar oreo me update nahi hai to aapko iss feature ko use karna hai to aapko 1 app download karna hoga ye app same 2 same oreo wale pip mode ke feature ki tarah hi hai or issme bhi aapko same feature milte hai. to

How To Use Picture-in-Picture Mode Any Android Phone Detail in Hindi

  • sabse pahle aapko google play store se ek app download karna hoga. jiska name hai float tube agar aap iss app ko direct download karna chahate hai to niche button par click kare.

Download Float Tube

tap-on-search

  • ab iss app ko download and install karne ke baad open kare ab issme aapko homepage me ek image and search icon dikhega search icon par click kare.

search-video

  • Search icon par click karke aap yaha koi bhi video search kar sakte hai yaha par aapko sabhi youtube ke video hi dikhege issliye aap jo youtube par search karte hai vohi latest movies video ya koi movie ya koi show ka name yaha likhkar search kare. ab yaha aapko  yotube ki tarah hi bhut se videos dikhne lagege kisi bhi video par click karde.

play-video-icon

  • ab yaha aapko video play karne wala icon dikhega iss icon par click karde.

tap-on-minimize-icon

  • Video playback icon par click karne ke baad ab video chalna start ho jayega ab yaha  right me aapko pop video icon (minimize icon) dikhega isspar click karde jaisa ki uper screenshot me dikh raha hai .

video-minimize-sucessfully

  •  jaise hi aap iss icon par click karege aapka video center me dikhne lagega yani center me float hone lagega ab aap apne phone ki home key dabaye.

video-float

  •  home key press karne ke baad bhi abhi aapka video chal raha hoga ab aap iss video ko adjust bhi kar sakte hai jaise ki aap isse center se left ya up ya down me kahi bhi finger se adjust kar sakte hai.

one-time-play-game-and-video

  • Friends ab aap video dekhne ke sath sath apne friends ke sath chat bhi kar skate hai or chat hi nahi balki aap video view karne ke sath sath game bhi play kar sakte hai.

Issi tarah friends aap bhi apne kisi bhi smartphone me video float kar sakte hai or ek sath bhut se kam kar sakte hai ye picture in picture mode ab aap any android device me use kar sakte hai and iss app ka use karna kitna easy hai ye aap jan hi gaye honge

ab aap iss floating video ko hatana chahate hai yani picture-in-picture mode disable karna chahate hai to aap dubara right side wali pop icon par click kare. ab friends ye video full screen me aa jayega and ab aap apne phone ki home key dabade. now aapne pop floating video band kar diya hai .

Dosto issi tarah aap bhi android oreo mobile ki tarah apne kisi bhi phone me picture-in-picture mode ko use kar sakte hai. isske liye google play store par bhut si apps available hai but unmese bhut si apps essi jo sahi se work nahi karti issliye maine aapko jo app iss post me bataya hai  uski rating 5 hai and abhi new launch hua hai and isse review bhi acche mile hai and ye sahi se work bhi karta hai

issliye aap iss floating app ka use karke apne phone me bhi picture-in-picture mode enable kar sakte hai. ye android tricks wala ye post aapko kaisa laga comment karke jarur bataye or essi or bhi post ki notification apne email par pane ke liye humari site ko subscribe kare.

1 COMMENT

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here