FaceApp Kya Hai ? Face App Ko Kaise Use Kare ( Free Me )

0
faceapp kya hai aur faceapp ko kaise use kare

Hii Friends FaceApp kya Hai, FaceApp Ko Use Kaise Kare ye aap iss post me jange, dosto aaj kal photo editing karna sabko accha lagata hai aur sabhi log chahte hai ki unki photo jayeda se jayeda acchi lage, bhut se photo editing apps bhi internet par available hai lekin unme aapko jo feature nahi milte hai to aapko faceapp wale app me mil jate hai, ye ek normal photo editing app se bhut alag hai issme aap jo photo edit karte hai

vo ek dum real jasi lagti hai aur kisi ko pata bhi nahi chalta hai ki aapne photo ko edit kiya hai, faceapp ka use karna bhi bhut easy hai esse aap bhut hi easily use kar sakte hai, faceapp ke feature ke bare me baat ki jaye to isska use karke aap apni photo me young aur old, hair style, background change etc bhut se kaam kar sakte hai,

aapki age agar 50 se 60 hai to issme aap young filter ka use karke apne ko 20 ya 25 ka show kara sakte hai aur aapki age 20 se 30 hai to aap issme old filter ka use karke apne ko 70 se 80 year ka bata sakte hai esse hi or bhi bhut se feature hai jo hume iss app me milte hai.

FaceApp Kya Hai ? Aur Kaise Kaam Karta Hai

Contents

faceapp ek bhut hi kamal ka app hai jiska use karke aap aap apni age ko kam aur jayeda kar sakte hai yani ki agar aap budde hai to dekh sakte hai ki aap jawan hote to kaise dikhte aur aap jawan hai to budde hokar aap kaise lagoge ye dekh sakte hai age ke sath sath issme aur bhi bhut sare feature hume milte hai,

jaise aap agar boy to aap girl hote to kaise dikhte hai de bhi dekh sakte hai aur girl hai to boy hoti hai to kaise dikhti ye bhi dekh sakte hai, faceapp me aapko background change karne ka option bhi milta hai aur issme aapko manually editing nahi karni, automatically background change kar skate hai

aur kisi bhi background ko real background se replace kar sakte hai, isme aapko bhut sare filter aur effects bhi milte hai jinka use karke aap apni photo ko professional look de sakte hai,

aur faceapp me aap impression bhi change kar sakte hai jaise aap agar photo me sad show ho rahe hai to happy show kara sakte hai aur smile bhi add kar sakte hai aur beard bhi add karne ka option issme milta hai aur yaha par aapko hair style change karne ka option bhi milta hai, issme lens blue wala feature bhi hai

jiska use karke aap apni photo ke background ko blur bhi kar sakte hai, aur hair color change kanre ka feature bhi iss app me milta hai jisse aap apne hair color ko black, brown, red, tinted etc me change kar sakte hai, esse bhut se feature faceapp me mil jate hai

ye app ek bhut hi accha photo editing app ban gaya hai jise 100 millions se jayeda log download kar chuke hai, aur isski rating bhi 4.5 hai isse aap iss app ki popularity ka andaza laga sakte hai, faceapp ka use karke aap apne budape ki picture dekh sakte hai ki aap budhe hokar kaise lagoge aur aap old hai to aap jawani me kaise dikhte the vo bhi isski help se dekh sakte hai,

faceapp se aap apni photo me bhut se changes kar sakte hai jisse aap picture pahle se jayeda acchi lagti hai aur kisi ko pata bhi nahi chalta hai ki aapne apni picture ko edit ki hai vo bilkul real jaisi lagti hai.

FaceApp Ko Kaise Use Kare Or Chalaye ?

faceapp ka use karne ke liye sabse pahle aapko isska app aapko apne phone me install karna hoga jise aap play store se download kar sakte hai ya yaha se bhi download kar sakte hai,

faceapp ko download aur install karne ke baad open kare fir yaha par ye aapse aapki media ko access karne ki permission magega permission dede.

fir yaha par aapko camera, photo etc option dikhege aapko photo wale option par click karna hai fir aapko yaha par apne phone ke media me jitni bhi photos hogi sabhi show hogi apni jis bhi photo ko faceapp se edit karna chahate hai uspar click karke select karde.

fir vo photo faceapp editor me open ho jayegi fir aapko yaha par bhut se option jaise impression, smiles, beards, morphing, age , hair colors, hair style, glasses, mackup. filters, background etc show honge inmese kisi bhi option ko select kar sakte hai.

than aapne jo option select kiya tha usse related filters yaha par aapko show honge unpar click karke aap un filter ka use kar sakte hai jasie agar aap age option par click karege to aapko original, old, cold old, young 2, young etc kuch option show honge jo bhi option aapko accha lage uspar click karke select kar sakte hai. aur fir apply wale option par click karde.

jab aap apni photo ko faceapp se edit karle tab aapko uper sabse last me save wala icon dikhega uspar click karke aap apni photo ko apni mobile gallery me save kar sakte hai.

FaceApp Ke Feature Or Fayde –

impression – iss option ka use karke aap apni photo hollywood 2, glance, wave 2 etc alag alag impression add kar sakte hai.

smiles – aapko apni photo me happy ya sad dikhna hai yani aap apni photo me haste huye dikhna chahate hai to iss option ka use kar sakte hai issme aapko lagbhag sabhi tarah ki smiles milti hai.

beards – aapki agar beards nahi hai ya aapki beards hai aap aap dekhna chate hai ki bina beards ke aap kaise dikhege to iss option ka use kar sakte hai.

Morphing – aap apne face ke ek site me kisi or ka face add karna chate hai to iss option ka use karke essa kar sakte hai.

Age – isske bare me maine bataya hi hai ki agar aap old hai aur young dikhana chahate hai ya aap young hai aur old me kaise dikhege ye dekhna chahate hai to isse pata kar sakte hai.

Hair colors – aapko apne hair ka color change karna hai yani aapke hair black hai aur unhe red, brown etc karke kaise dikhege ye dekhna chahate hai to iss option ka use kar sakte hai.

Hair Style – yaha par aapko kuch hair style bhi milti hai jinka use karke aap dekh sakte hai ki aapke long hair hote to aap kaise lagte, aur aap par konsi hair style jayeda suit karti hai.

Glasses- yaha se aap apni picture me glasses add kar sakte hai vaise to or bhi bhut se photo editor jinka use karke aap apni photo me glasses add kar sakte hai lekin isse aap apni photo me jo glasses add karte hai vo ek dum real glasses ke jaise lagte hai.

Makeup – ye option girls ke liye hai jiska use karke jo apni photo ko aur sundar bana sakti hai.

Filters – yaha par aapko bhut se filters milte hai jisse aap apni photo ko aur accha dikha sakte hai.

background – ye ek bhut hi accha feature hai isska use karke aap apni photo ka background change kar sakte hai yani aapne agar jis place pe picture click kiya tha usko hatakar aur koi sa place ya kuch bhi jod sakte hai, aur issme aapko manually selection bhi nahi karna hota.

Lens Blur – isska use karke aap apne photo ke background ko blur kar sakte hai yani aap photo click karne ke baad bhi iss option ka use karke uske background ko blur kar sakte hai.

Overly – yaha par aapko bhut sare effects jaise blue frost, frozen, golden lights, sunlight, sunset, blue rays, spotlight etc milte hai jinhe apni photo m me use karke usse or accha bana sakte hai.

Tattoo – agar aapko tattoo pasand hai to iss feature ka use karke apni photo me tattoo add kar sakte hai.

Vignette – isse aap apni photo me vignette select kar sakte hai.

Adjustment – isska use karke aap apni photo me contrast, saturation, temperature, sharpen etc ko edit kar sakte hai.

Crop – isska use karke aap apni photo ko crop kar sakte hai.

save icon – in sabhi option ka use karke jab aap apni photo ko edit karle to usko apne phone gallery me save karne ke liye iska use kare.

Important –

Dosto faceapp ke bare me aap jan hi gaye honge lekin isske jayedatar feature ka use karne ke liye isska pro version use karna hota hai lekin aap isska pro version use nahi karna chahate hai yani free me isska use karna chahate hai to esse bhi isska use kar sakte hai.

Friends FaceApp Kya Hai In Hindi, FaceApp Ka Use Kaise Kare ye aap seekh hi gaye honge ye jankari agar aapko acchi lage or aapke liye useful rahi to isse apne dosto ke sath me social media site par share jarur kare aur aapko iss post se related koi question hai ya other post se related koi question hai to comment karke jarur bataye aur essi or bhi internet se related post daily read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here