फेसबुक अकाउंट को Page में Convert कैसे करे – FB ID को पेज बनाने का तरीका

26

Hello friends Facebook Account Ko Page Me Convert Kaise Karte Hai, Facebook Profile ko FB Page me kaise Badle Or Change Kare ye main aapko iss post main batane wala hu. Facebook ek social networking site hai jisske bare me Aap log jante hi honge.

Agar aap nahi jante ki fb kya hai to isske bare me already post ki hui hai jise aap facebook category me jakar read kar sakte hai. Facebook world ki popular social media site hai ye itni popular issliye hai kyoki ispar aapko bhut se features milte hai

jaise isspr aap friend bana sakte hai aur apne friends ke sath chat kar sakte hai, apna group bana sakte hai, Pages bana sakte hai game khel sakte hai, isspar Photo upload kar sakte hai, status share kar sakte hai, kuch bhi likhkar post kar sakte hai. Kisi bhi image ya post ko like comment share kar sakte hai etc

Facebook par aapne Pages to dekhe hi honge aapko lagbhag sabhi category jaise entertainment, brand & product , book & magazine, movies, music, people, website & blog etc sabhi types ke pages dikhte hai ye aap jante hi honge lekin kya aapne socha ki aap

apni facebook id ko page me convert kar sakte hai isse aapke jitne bhi friend honge vo bhi sabhi likes me covert ho jayege yes ye possible hai.

Facebook Profile Ko FB Page Me Convert Kyo Kare ?

Contents

Friends jaisa ki mene aapko bataya ki Facebook aapko bhut se features deta hai lekin jaisa ki aapko pata hai ki har chij ki ek limit hai issliye isspar jitne features milte hai unki bhi limit hoti hai. Aap apni Facebook ID par sirf 5000 friends add kar sakte hai. or agar aapko 5000 se jayda friends banane hai to aapko ispar apna ek page banana hoga.

jisme aapke friends Aapko follow kar sakte hai. Bhut se celebrities bhi essi karan apna Page banate hai kyoki vo apni id par unlimited friends add karna chahate hai lekin 5000 friends ki limit ki wajah se vo apni id par unlimited friends ko add nahi kar sakte issliye vo apna Page banate hai. or bhut se log usko like karke unko follow karte hai.

Fb Account ko Page me Convert karne ka sabse badha reason ye hai ki hum account me sirf 5000 friends rakh sakte hai and jayda friends ke liye hume fb profile ko Page me change karna hi hoga.

Facebook Account Ko FB Page Me Convert Karne Kya Kya Changes Honge

  • Aapke fb ke sabhi friends and followers (jo aaapko follow kar rahe hai) facebook Page ke followers ban jayege matlab vo sabhi likes me badal jateye. Jaise aapke 1000 friends hai to vo 1000 likes me change ho jayege.
  • Aapka username (jo name or number rahta hai jaise Raj455) vo page ka username ban jayga jisse aap baad me change bhi kar sakte hai.
  • Aapka Name Page ka name me change ho jayega isse bhi aap baad me change kar sakege.
  • aaapki image or Aapka cover photo page ki image or cover photo ban jayega.

Facebook ID Ko FB Page Me Convert Karne Se Pahle Kya Kare

  1. Aapki jo bhi Personal photos hai unhe download kar le.
  2. Messages check kar le agar messages ko delete karna hai to delete kar de.
  3. Facebook id Page me Convert hone ke baad aapki chat messages and conversation delete ho jayga issliye apna sara fb data download kar le.
  4. Agar aapka koi page hai to kisi or ko uska admin bana de.

Facebook Account Ko Facebook Page Me Convert Kaise Kare Puri Jankari Hindi Me

Yaha par me aapko fb id ko page me badalne ka jo method bata raha hu vo aap mobile and computer dono me use kar sakte hai yani agar aap mobile user hai to chrome browser me jaye aur waha par desktop site wale option ko enable karde. Isse aapke mobile browser me desktop view me site open hogi.

फेसबुक अकाउंट को पेज में कैसे बदले ? Step By Step जाने

• Sabse pahle apne FB account me login kare.

• FB me login karne ke baad yaha aapko jo niche convert button dikh raha hai uspar par click karde( facebook me login hone ke baad hi ispar click kare agar aap bina login kiye ispar click karege to ye open nahi hogi)

Convert   

click-Get-started-option

• Ab aapke samne ek window open hoga usme Get Started par click kare.

create-new-page-click-continue

• Ab ek pop up window open hoga jime likha hoga you’ve created new facebok Page likha dikhega usme continue par click kare.

• Ab aapko about ka ek chota sa form fill karna hai. Niche steps ko follow kare

fill-the-form-your-real-detail

  1. Category me aapko page ki Category ke bare me batana hai. ex. Funny, love, sad, business, brand etc
  2. Name me aapko apne page ka name dalna hai.
  3. Address me apna address dale jaise apni city, district location dale.
  4. phone Number me Aapka number dale.
  5. Short Description me aapko page ke bare 2-4 line likhna hai.

• Apni sabhi detail sahi hai ek baar check kare or next par click kare.

select-all-friends-and-next

• Ab aapke samne ek window open hoga jisme aapko apni Facebook id ke Friends ko Pages me Add Karne ke liye kaha jayega . aapko yaha friends choose katne bhut option dikhege lekin agar aap apne sabhi friends ko ek sath apne Page me add karna chahate hai to all friends select kare. Or Next par click kare.

  • Ab aapko apni photo album mese pages ke liye album select karne ke liye kaha jayega.
    fir last me finish par click karde.

Congrats aapka Facebook Account FB Page me Convert ho Jayega or aapke sabhi friends ne like me badal jayege.

Facebook Account Ko Page Me Badalne ke fayde

Isska sabse bada fayda ye hai aapke jitne bhi friends hote hai vo like me change ho jate hai. Aapne dekha hoga ki jab bhi aap koi Pages banate hai.

or aapke fb par jitne friends hote hai unme se bhut hi kam log usko like karte hai. Lekin isska use karke aap ek sath apne sabhi friends se like kara sakte hai.

Aap apni facebook id par 5000 se jayda friends add kar sakte hai matlab followers bada sakte hai

Dosto How To Convert Facebook Profile To Page in hindi, Facebook ID Ko FB Fans Page Kaise Banaye wali ye post agar aapko acchi lage to comment karke jarur bataye or isse social networking site par share jarur kare aur essi or bhi post daily read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

26 COMMENTS

  1. friend Request kaise aayegi aapka facebook account page me badal jayga or usko sirf like kiya ja sakega aap puri post dubara read kare….

  2. Hello bro mene fb page ko convert kar diya hai but ek problam hai ki meri fb profile id name page ka name ban gya hai to me ab page se kaise mera real name change karu. Muje mere page par kuch our name dalna hai..mene bahut koshis ki feer bhi name ka option ab ni atha hai.please help me.

  3. aapko apne facebook id yani jo page me convert ho gayi hai usme liked message or more 3 option dikhege jismese more par click kare or edit page info par click kare ab aapko name ka option dikhega jisme aap apne page ka name change kar sakte hai or save par click karde agar aapko kuch samaz na aaya ho to dubara comment kare

    • convert name aap about your page me name ka option hai usme likh sakte hai jab aapki id page me convert ho jayegi to vo name show hoga lekin agar aapne abhi apni facebook id ko page me convert nahi kiya hai to aap uska name change karde jo aap facebook page me dikhana chahate hai to vo name hi page me show hoga.

    • bro phone se try karke dekh sakte ho. lekin pc se aap asani se facebook account ko page me convert kar sakte hai. lekin agar aap mobile se facbook profile page me change karna chahate hai to apne phone me google crome browser ka use kare or usme desktop view option select karde.. and kuch samajh me nahi aaya ho to dubara comment kare.. thanks keep visit..

  4. fb acont ko page m converd krne k bad only page ko rakhna h account ko nh
    coz search krne pr dono show ho rahi h kya isa nh ho sakta ki bs page hi show ho sake?

    • aapne agar iss post me bataye sabhi instruction ko sahi se follow kiya hai to 5000 like aane chahaiye sayad aapke instruction ko follow karne me koi mistake ho gayi hogi.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here