Facebook Autoplay Video Turn OFF Band Kaise Kare ( Mobile & PC )

0
Facebook-me-autoplay-video-ko-kaise-roke-ya-band-ya-disable-kare-in-hindi

Hello friends Facebook Autoplay Video Ko band Kaise Kare Ya roke ye main aapko iss post me batane wala hu. Facebook ek bhut hi popular social media site hai jisska use sabhi log karte hai. internet data ka use bhut se log to social networking site ke liye hi karte hai. jaise facebook, twitter, Google+,Whatsapp etc

sabhi social media site ke popular hone ke bhut se reason hai jaise inka use karke aap apne dosto ke sath connected rah sakte hai aur ye site & app update hoti rahti hai jisse humesa new dikhti hai inme new features hume month ya year me dekhne ko milte hai or aaj main bhi aapko facebook ke ek bhut hi badiaya feature autoplay ke bare me batane wala hu.

FB Me Autoplay Feature Kya Hai ?

Contents

Facebook me new update hote rahte hai or new feature add kiye jate hai jo kuch logo ke kaam ke hote hai and kuch logo ko in features se problem bhi hoti hai.

Facebook autoplay video feature ka use karke facebook par koi bhi video automatically yani apne aap play ho jata hai iska fayda ye hai ki aapko video ko bina click karke dekh sakte hai. isse aapka kuch time bachta hai. ye feature desktop ke liye bhut accha hai lekin ye mobile me bhi rahta hai. ab main aapko isske nukhsan ke bare me batata hai.

facebook autoplay feature ki wajah se videos automatically play hone lagte hai jisse bhut sara mobile data spend hota hai aur koi repeat video ho to vo bhi apne aap chalne lagte hai aur kuch to esse hote hai jinhe aap dekhna nahi chahate hai

jiske karan humara time and internet data dono waste ho jata hai. isska ek nuksan ye bhi hai ki issme hum sirf video ko dekh sakte hai lekin uska sound ya mp3 nahi sun sakte

sound sunnne ke liye hume us video par click karna padta hai.   bhut se log jo facebook or whatsapp chalane ke liye 2G, 3G internet me 100mb limit ka internet balance dalate hai unka data balacne inke karan katam ho jata hai.

agar aap bhi in facebook autoplay video se se irritated hote hai or autoplay video ko band ya stop karna chahate hai to iss post ko read karke aap asani se apne android mobile and computer me autoplay video feature ko disable ya band kar payege.  

Facebook Autoplay Video Ko Band Kaise Kare 2 tarike

Jaisa ki friends maine aapko bataya ki facebook apne update me new features add karte rahata hai yani naye features ko jodta rahta hai lekin ye new features sabhi logo ko pasand nahi aate hai issliye jo log inka use nahi karna chahate hai vo inhe disable bhi kar sakte hai ye option bhi fb me rahta hai. jaisa ki aap jante hi hai

sabhi logo ki pasand different different types ki hoti hai agar aapko koi chij pasand hai to jaruri nahi hai ki vo chij dusre person ko bhi pasand ho ussi tarah facebook, whatsapp, instagram, twitter etc social networking site par milne wale features mese kisi ko kuch feature pasand aa sakte hai aur kisi ko vo pasand nahi bhi aa sakte hai.

Facebook Me Autoplay Video Feature Ko Disable Kaise Karte Hai Using Mobile

  • Agar aap apne smartphone se facebook autoplay video ko stop karna chahate hai ro niche bataye stpes follow kare-
open-fb-profile-and-setting

  Step-1 sabse pahle aap apne mobile me facebook  app open kare or right side me 3 lines par click kare.

facebook autoplay video ko band kare

  Step-2 ab aapke samne ek new window open hogi. issme aapko niche last me app setting  option dikega uspar click kare.  

tap-on-and-select-autoplay

  Step-3 ab new page me aapko autoplay ka option dikhega  iss option par click kare.

now-you-see-3-option-tap-on-last

Step-4  yaha on  Mobile Data and WI-FI Connections pahle se select hoga ab aapko never autoplay videos par click karna hai   Iss tarah aap asani se apne mobile me facebook ke autoplay video ko roke sakte hai  

Computer Se Facebook Autoplay Video Ko Turn OFF ( Stop) Kaise Kare

Step-1 sabse pahle facebookki site par jaye or apne account me login kare ab right corner me down arrowpar click kare  

tap-on-down-arrow-all-hindi-help

  Step-2 yaha aapko bhut se option dikhge inmese setting par click kare  

tap-on-setting

Step-3 setting par click karne ke baad aapko sabse last me video ka option dikhega ab iss  option par click kare

facebook autoplay video feature ko disable kare

Step-4 aapke samne ek window open hogi jisme aapko auto play videos ka option dikega jissme pahle se  defalt set hoga aapko right side me defalt ke aage droup down arrow par click karke off select karde.

choose-off-option-allhindihelp

Iss tarah aap asani se facebook me automatically play hone wale videos ko stop ya roke sakte hai ya disable kar sakte hai.

Friends agar aapko ye post accha lage to isse apne dosto ke sath social networking site par jarur share kare or aapko iss post me kcuh samaz na aaya ho to comment karke jarur bataye or aap essi or bhi post read karna chahate hai to abhi iss site ko subscibe kare or latest post update ki information apne email par received kare.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here