Facebook Page Delete Kaise Kare – Permanently Remove FB Page

1
facebook page delete kaise kare full detail

Facebook Page Delete Kaise Kare, Apne Facebook Page Ko Permanently Delete Kaise Kare. Dosto aap facebook user hai Aur aapka koi Facebook Page hai or aap usse remove karna chahate hai to aap sahi jagah hai aaj me aapko issi ke bare me batane wala hu.

internet par social media user  ki sankya badhti hai aaj kal sabhi logo ka social messaging apps ka use karte hai kyoki inka istemaal karke vo online apne friends ke sath connected rah sakte hai aur new friends bhi bana sakte hai.

facebook bhi ek popular social networking site hai jise millions se billions log use karte hai. issme bhut se feature hume milte hai. facebook par page banana bhut easy hai agar aap nahi jante hai ki kaise banate hai to isske bare me full detail me janne ke aap niche link par click karke post read kar sakte hai.

Facebook page banane ke baad uspar like lana easy nahi hai bhut se log apna page to bana lete hai or uspar post bhi karte hai but uspar like nahi aati hai. Like lane ke 2 method hai free or paid.

Free method me aap apne page ki link fb group me share karke ya other social media site jaise google+ twitter etc par link share kar like badha sakte hai. or 2nd paid method issme aapko paise spend karne hote hai.

Aur fir facebook khud aapke page ko promote karta hai or fir uspar automatically like aane lagte hai. in dono method ka use karke bhi kuch log apne pages par like increase nahi kar pate or jab like nahi aati hai

to vo usse delete karna chahate hai ye only 1 reason hai but esse bhut se reason hai jis wajah se facebook user apne page ko delete karna chahate hai.

Facebook Page Delete Karne Ke Reasons (Karan) In Hindi

Contents

1. Agar aapne 4-5 month ya 1 year pahle facebook page banaya tha or usspar aap daily ya 2 se 4 days me image video status post kar rahe hai or unko share bhi kar rahe hai fir bhi uspar like nahi aa rahe to fir normal baat hai ki baat ki aap usse delete karna chahahege.

2. Agar aapka page unpublished ho gaya hai yani aap uspar koi post karte hai to vo kisi ko bhi ya users ko nahi dikhti sirf admin or moderator ko dikhti hai to fir aapke pass 2 option rahte hai aap usse dubara publish kara sakte hai but ye itna easy nahi hai issliye 2nd option aap usse delete kar sakte hai.

3. Agar aapko pahle fb pages ke bare me kuch nahi pata tha or aapne bina soche samne kisi bhi topic par page bana liya but uspar like nahi aa rahe hai.

4. Aapne facebook page ka name and username pahle bina soche samjhe kuch bhi rakh diya but ab aap unhe change karna chahate hai lekin jayeda likes ki wajah se ab vo username and name change nahi ho rahe .

5. aapne pahle apne name se page banaya tha but vo unpublished ho gaya ho.or aapko dubara apne name se new page banana ho.

Facebook Page Delete Kaise Kare Puri Jankari Hindi Me

facebook me jitna easy page banana hai utna hi easy usse delete karna bhi hai lekin issme thoda time lagta hai aur aap chahe

kyoki facebook aapko kuch days ka time deta aur utne din me aap chahe to deleted page ko recover kar sakte hai yani wapas prapt kar sate hai.

Friends agar aap bhi apne facebook page delete karna chahate hai to yaha me aapko 2 method batane wala 1st method mobile user ke liye hai

or 2 nd method pc user ke liye hai agar aap android ya iphone user hai to 1st method follow kare or aap agar computer laptop user hai to 2nd method ko follow kare.

Method -1 Mobile Se FB Page Ko Remove Kaise kare

  • Sabse pahle apne phone me facebook app ko open kare or apne account me login kare.

tap-on-3-lines

  • Ab yaha right side me 3 line par click kare yaha aapko niche pages ka option dikhega waha aapko apen sabhi page dikhege jissko bhi delete karna hai uspar click karde.

tap-on-3-dot

  • Ab right size me sabse uper 3 dot wala option dikhega isspar click karde

edit-settings

  • 3 dot par click karne ke baad aapko bhut se option dikhege unmese edit settings par click kare.

tap-on-general

  • Ab yaha general option dikhega uspar click karde.

  • General par click karne ke baad yaha sabse last me remove ke niche aapko apna FB page delete karne ka option dikhega uspar click karde.

tap-on-delete-page

  • Ab aapse dubara confirm karne ke liye bola jayega ki aap such me page remove karna chahate hai delete par click karde.

page-delete-message

Ab aapke samne you can cancel the delectation with in 14 days ye message dikhega.

Iska matlab ki aapne apne facebook page ko delete karne ke liye apply kar diya hai ab vo 14 days ke baad delete ho jayega but agar aap 14 days se pahle delectation cancel karke usse restore kar sakte hai.

Method -2  How to Delete Facebook Page using computer / Laptop

  • Sabse pahle Facebook ki site par jaye or apna number and password enter kar apne account me login kare.

tap-on-down-arrow

  • Ab yaha right side me aapko down arrow dikhega uspar click karke apne jis pages ko delete karna hai uspar click karde.

tap-on-settings

  • Ab yaha right side me aapko settings ka option dikhega uspar click karde.

delete-your-page

  • Setting me jane ke baad general par click kare. Ab yaha par bhut se option jaise visitors post, comment ranking, suggestions, merge, remove etc dikehe inmese niche last me aapko remove pages ka option dikhega uske samne edit par click karde.

remove-page-option

  • edit par click karne ek baad niche blue color me delete wale option par click karde.

tap-on-delete

  • Ab delete page par click karde.

Important – Page delete karne ke baad vo 14 days tak delete nahi hota hai issliye iss post me bataye instruction ko follow kar aap apne page ko delete karne ke liye apply karte hai

or vo permanently delete 14 days me hota hai and 14 days pahle aap agar cancel deletion kar dete hai to fir vo delete nahi hoga.

Issliye aap iss post me bataye steps ko follow kare or 14 days tak wait kare fir aapka facebook  page automatically delete ho jayega.

Dosto facebook page delete karne wali ye information aapko kaisi lagi comment karke jarur bataye or ye information aapke liye helpful rahi to isse apne friends ke sath social media sites par share jarur kare

or essi or bhi post ki notification fb par received karne ke liye humare facebook page ko like kare. Or social networking site se related new post ki ki notification email par prapt karne ke liye humari site ko subscribe kare .

1 COMMENT

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here