Duplicate 2 Facebook Pages Merge Kaise Kare Tarika Hindi Me

5
facebook pages merge kaise kare duplicate fb pages merge

Facebook Pages Merge Kaise Kare , Facebook Different Name Pages Ko Merge Karne Ka Tarika. Dosto agar aap fb user hai or aapke 2 facebook pages hai jinmese ek par kam like hai or dusre par jayeda like hai or dono agar same name se hai

or aap un don ko milana ya combine karna chahte hai jisse ki aapke page ki like increase ho jaye to aap mese bhut se log sochte honge ki ye possible nahi hai but ye possible hai aap easily apne Do Facebook pages Merge kar sakte hai.

jaisa ki aap jante hi honge facebook par hum 5000 se jayda logo ko add nahi kar sakte hai yani friend nahi bana sakte hai kyoki friend banane ki limit rahti hai.

lekin bhut se  log chahate hai ki unke jayeda se jayeda friends ho issliye vo apna page banate hai maine apni ek post me facebook account ko page me covert karne ke bare me bhi bataya tha aur iss post aap janege ki kaise aap 2 facebook pages merge karke ek bana sakte hai. yani dono ki likes ek me hi jod sakte hai.

FB Page Merge Kya Hai ? – Puri Jankari Hindi Me

Contents

Friends fb me aapko bhut se feature milte hai issliye billions se bhi jayeda log isse use karte hai or facebook bhi apne user ke liye new new feature dete rahta hai jaise Autoplay video feature , live video streaming feature etc. mostly sabhi logo ko facebook page banane ke bare me to pata hota hai but unko merge bhi kar sakte hai ye bhut hi kam log jante hai. ye fb ka ek feature hai jiska use karke aap apne same name ke 2 facebook page ko milakar 1 bana sakte hai.

Example ke liye jaise pahle aapne facebook par kisi bhi name se apna ek page banaya but uspar like na aane ke karan ya kisi or wajah se aapne ussi name se apna dusra page bana liya aur uspar bhi  like nahi aa rahi hai

and ab chahate hai ki aapka jo pahla page tha uspar jitni bhi likes jaise 50-100 ya kitni bhi ho vo aap iss dusre me lana chahate hai to isske liye aapko apne in 2 duplicate facebook pages merge karne hote hai

Facebook Pages Merge Karne ke Fayde Benefits in Hindi

 1. facebook page likes increase hoti hai aap apne 2 pages ko merge karte hai or un dono ki likes ek me hi add ho jati hai. or like badh jati hai.

2. pages ko manage karna asan ho jayega kyoki pahle aapko 2 pages par video image status post karna hota tha but ab aapko ek ko hi manage karna hoga yani uspar easily video photos status post kar sakte hai.

3. aapke 2 facebook page hai or ek par 1000 likes hai or dusre par 4000 likes hai to unko combine karne ke baad dono ki likes ek page me add hokar 5000 ho jayegi.

4. agar aapke 2 facebook account hai or unpar same name se 2 pages hai or agar aapka koi account block ya disabled ho jata hai to aap us account ke page ko merge kar sakte hai but isske liye aapka dono page par admin hona jaruri hai.

5. aap easily apne computer laptop se ya mobile se bhi chrome ya puffin browser ka use karke apne facebook pages merge kar sakte hai.

Duplicate 2 Facebook Pages ko 1 Page Banaye ?

Dosto agar aapne bhi FB par pahle apne 2 facebook page baanye the but ab aap unhe manage nahi kar pa rahe ya aap unpar ek sath work nahi kar pa rahe or aap chahate hai ki vo dono ek hi page me mil jaye to aap sahi jagah hai.

aaj me aapko issi ki trick batane wala hu. yaha me aapko duplicate pages combine karne ke bare me bata raha hu yani ki aap tabhi apne pages ko merge kar sakte hai jab unka name, profile picture, category same ho.

agar aap apne different name wale pages ko merge karna chahate hai to usske bare me mai aapko apni agli post me batunga jisski notification apne email par pane ke liye aap huamri site ko subscribe kar sakte hai.

Facebook Pages Merge Kaise karte Hai 

tap-on-down-arrow

  • Sabse pahle facebook ki site par jaye or apne account me login kare ab yaha aapko right side me down arrow dikhega uspar click karde. or apne us page par click kare jissko merge karna hai.

facebook pages merge

  • ab yaha right side me sabse uper setting ka option dikhega uspar click karde.

general-and-edit

  • ab general par click kare and niche sabse last me merge pages ke samne edit par click karde.

merge-facebook-pages

login-your-account

  • ab security ke liye aapse dubara apne facebook account ka password enter karne ke liye bola jayega password wale box apne account ka password dale or continue par click karde.

new-window-choose-option

  • Now aapke samne ek new window open hogi yaha 2 choose a page option dikgege inme aapko un dono page ko select karna hai jinhe aap merge karna chahate hai.

facebook pages merge kaise karte hai

  • Dono choose a pages option par click karke apne un same pages ko select kare jinhe aap merge karna chahate hai or dhyaan rahe aap jo bhi page select kare unki category name profile photo same hona jaruri hai.

facebook pages merge

  • page select karne ke baad continue button par click karde. continue par click karne ke baad new window open hogi jisme sahi detail fill karne ke liye niche bataye instruction ko follow kare.

tap-on-keep-page

1. yaha vo page select karna hai jisspar aap all likes badhana ya prapt karna chahate hai yani yaha aap jo select karege dono pages merge hone ke baad unki sabhi likes iss select kiye huye page par hi aa jayegi.

2. keep page par click karde.

request-merge

  • ab aapse ek baar dubara confirm karne ke liye bola jayega. confirm karne ke liye request merge par click karde.

page-merge-successfully

Now friends aapne merge karne ke liye apply kar diya hai ab aap 24 hour se 48 hour tak wait kare aapke facebook pages merge ho jayega or usspar likes increase ho jayegi.

Important –   Dosto ye trick only same name wale duplicate page par hi work karegi or aapke pages ka name different yani ki alag hai or aap unhe merge karna chahate hai to isske liye aap unka name and profile picture change kar merge ke liye apply kar sakte hai. 

Dosto Facebook Pages Merge karne wali ye information aapko kaisi lagi hume comment karke jarur bataye or agar aapko ye post accha lage to isse apne other friends ke sath social media sites par share jarur kare or essi or bhi fb tricks se related post daily read karne ke liye humari site ko subscribe kare or nayi post ki notification apne email par received kare.

5 COMMENTS

  1. These Pages can’t be merged because they are too far apart. Each page can only have one place associated with it; don’t use this tool to merge different branches of your business. If these places refer to the same place, try changing the address on the destination place and waiting for the location to update.

    Ye error aa rahi he bhai kiya karu..

    Duplicate page ka name he shahrukh vashi
    And orignal page ka name he shahrukh

    • aap apne page me address change kare and dono page me same address rakhe and name bhi dono page ka same hona jaruri hai and iss post me bataye instruction ko follow kare

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here