Facebook Profile Locked Or Unlocked Kaise Kare ( Complete Info )

2

Hii friends facebook profile locked kaise kare, facebook profile picture locked kaise karte hai ye aap iss post me janege. dosto jaisa ki aap jante hi honge ki facebook ek bhut hi popular social media site hai jispar hum apane dosto ke sath me online connected rah sakte hai

lekin bhut se facebook user apne privacy ke liye kuch nahi karte hai jise unki picture koi bhi use karta hai ya unke bare me koi bhi jan sakta hai jabki facebook hume apni privacy ke liye bhut se option provide karti hai

aapne dekha ki hoga abhi agar aap kisi ki facebook profiles visit karte hai jayedatar logo ki profiles me aapko this profile is locked likha show hota hai aur aapne jis person ki profile view ki uska picture bhi aapko pura show nahi hota hai to bhut se log sochte hai ki kya essa hum bhi kar sakte to aapke question ka answer ki yes aap essa kar sakte hai

Facebook Profile Locked Kya Hai ? Aur Ye Kyo Jaruri Hai

Contents

jaisa ki maine apni ek post me fb profile picture guard ke bare me bataya tha jiska use karke aap apni profile picture ko protect kar sakte hai matlab iss option ka use karne ke baad koi bhi aapki picture ko download nahi kar payega.

ussi tarah aap puri facebook profile locked kar sakte hai matlab ki aapne facebook par apni jo bhi information share ki hai vo sabhi unknown logo se chupa sakte hai jaise aap apna intro means aap kha se hai, kya study karte hai, date of birth, photos etc dusro se chupa sakte hai

fir jo log aapke friends honge only wahi aapki profile ko seen kar payege aur koi bhi unknown person agar aapki profile ko visit karega to use this profile is locked wala message show hoga. ye ek bhut hi accha tarika hai jiksa use karke aap apni privacy ko aur bhi jayda secure kar sakte hai.

Facebook Profile Locked Kaise Kare ? Jane Hindi Me

jaisa ki aap jan hi honge ki facebook profile locked karne ke baad koi bhi aapke bare me pata nahi kar payega agar privacy ki bat ki jaye to ye sabhi logo ke liye important rahti hai lekin girls apni privacy ko lekar jayeda serious rahti hai kyoki bhut si girls ki picture copy ho jati hai

aur unka koi misuse bhi kar sakta hai to aap agar girl hai to fir aapko iss feature ka use jarur karna chahaiye aur isse pahle wali post me bhi maine bataya hai ki kaise aap apni facebok friends list ko hide kar sakte hai,

aur bhi bhut si facebook tricks humari site par share ki gayi hai jinhe aap facebook category me jakar read kar sakte hai.

abhi me aapko batata hu ki kaise aap apni facebook profile locked kar sakte hai ye method sabhi device me lagbhag same hi hai to aap agar mobile, computer ya laptop etc kisi bhi device se iss method ko follow kar sakte hai.

How to Locked Facebook Profile Complete Information in Hindi

sabse pahle aapko apne mobile me facebook open karna hai fir aapko yaha aapko right side me 3 dot show hongi inpar click kare aur fir aapko setting & privacy wala option dikhega ispar click kare aur fir setting wale option par dubara click karde.

fir yaha par aapko bhut sare option show honge inmese public post wale option par click kare. fir yaha par aapko sabhi option me friends select karna hai yani jis bhi option me agar public pahle se select kare to uski jagah friend select kare.

fir aapko back jana hai matlab homepage pe punch jana hai aur yaha niche scroll kar fir aapko help center wala ek option show hoga isspar click karde.

fir yaha search bar me profile lock likhkar search kare aur fir yaha par aapko how to locked profiles work on facebook wala ek option show hoga isspar click karde.

now aapko yaha par lock your profiles wala ek option show hoga ispar click karde. aur fir again aapko locked your profile wala option show hoga isspar firse click karde.

congrasts aapki facebook profile successfully locked ho jayegi, iss tarah aap in simple steps ko follow karke apni facebook profile locked kar sakte hai.

Facebook Profile Unlocked Kaise Kare ?

Bhut se log apni facebook profile locked kar lete hai lekin fir vo usko unlocked bhi karna chahate hai to ye tarika un logo ke liye hai.

aapko first wali same step ko follow karna hai aur fir help center wale option me jana hai aur fir profile lock wale option me jaye wha pe unlocked your profile wala option show hoga uspe click karde. isse aapki facebook profile successfully unlocked ho jayegi.

conclusion

dosto facebook profile ko locked and unlocked kaise kare ye ab aap seekh hi gaye honge ye jankari agar aapko acchi lagi to isse apne friends ke sath social media site par share jarur kare aur essi bhi social media se related post read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

2 COMMENTS

  1. Facebook ka team please mera kaun ho chuke please theek kar Karen mujhe email id Nahin aata friend ko choose karke mujhe karne dijiye

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here