Facebook Search History Delete Kaise Kare Using Mobile & PC

2
facebook search history delete clear remove-kaise kare puri jankari hindi me

Facebook Search history delete clear remove kaise kare. Agar aap facebook user hai or ispar kuch bhi search karte rahte hai to aapko activity  ispar save hota rahta hai. Yani aap jiska bhi name ya number likhkar fb par search karte hai vo automatically save ho jata hai and ye facebook search history kahlata hai.

esse bhut se log hai jo apne friend ya kisi ka bhikname likhkar facebook par find karte rahte hai

aur jayedatar log girl ki id ko find karte hai to agar aap bhi essa karte hai to aapke dwara ki gayi searches ko facebook save kar leta hai aur fir jab bhi aap kisi ko search karte hai vo to search history bhi show hoti hai.

fir log sochte hai ki kya essa koi tarika hai jisse hum facebook search ko hata paye yani clear kar paye to yes aap easily esaa kar sakte hai aur issi ke bare me aap iss article me janege.

Facebook Search History Delete Kyo Kare ?

Jaisa ki friends maine aapko bataya aap jo bhi search karte hai to vo automatically fb par save ho jata hai. yani manlo agar aap kahi bhi galti se apna facebook account open kiya bhul jate hai to aapka friends ya koi bhi aapka activity log yani search history dekh sakta hai

jissme aapki privacy ho khatra ho sakta hai. Issliye apni privacy ki safety ke liye bhi aapko apni facebook search history clear remove karte rahna chahaiye.

or bhut baar essa hota hai ki hum kisi ka bhi name likhkar kuch bhi FB par sarch karte rahte hai or hum nahi chahate ki kisi ko pata ki hume kya sarch kiya tha agar aap bhi essa hi sochte hai

and aapki id ko ek dum secure and private rakhne ke liye yaha main aapke sath ek fb trick share kar raha hu jo aapke liye helpful hoga vaise ye trick to nahi hai lekin bhut se user isske bare me nahi jante hai issliye isse trick bhi bol sakte hai.

Facebook Search History Delete clear kaise kare – Full detail in hindi

Contents

Agar aap bhi apni facebook search history Ya activity  log ko delete karna chahate hai to yaha main aapko 2 method batane wala hu pahle method mobile user ke liye hai or dusra method pc user ke liye hai. agar aap android phone, iphone user hai to 1st method ko follow kare aur laptop ya computer user hai to 2nd method ko follow kare.

Mobile Se Facebook Search History Delete Kaise Kare  –

  • Sabse pahle aap apne mobile me fb app open kare or email and password enter kar login kare.
  • Ab aapko yaha uper serch box dikhega uspar click karde.

tap-on-edit

  • Yaha aapko apni today ya yesterday ki kuch recent history dikhegi. or left side me edit option dikhega uspar click karde.

tap-on-clear-searches

  • Edit par click karne ke baad aap activity log me puch jayege yaha activity log me aapko apne dwara search ki gayi sari search history dikh jayegi or clear searches ka option dikhega uspar click karde.

tap-on-confirm

  • Ab aapke samne ek pop window open hogi jissme aapko confirm karne ke liye bola jayga ki kya aap sach me isse remove karna chahate hai confirm par click karde.

Computer laptop se FB Search ko clear remove kaise kare –

  • Sabse pahle aap fb ki site par jaye or apna email or password dalkar login kare.

tap-on-down-arrow-and-activity-log

  • Ab aapko yaha right side me down arrow dikhega uspar click karde. or drop down menu me activity log ko select kare

tap-on-more

  • Ab yaha aapko bhut sare option dikhege left side me sabse niche aapko more par click karna hai.

facebook search history ko clear kare

  • Ab aapko yaha searchs option dikhega uspar click karde.

facebook search history delete

  • Yaha aapke dwara search ki gayi sabhi history hogi jisse kewal aap dekh sakte hai. apni all facebook search history ko ek sath remove karne ke liye clear searches par click karde.

tap-on-clear-searches

Ab aapke samne ek pop up window open hoga issme bhi clear searches par click karde.

Iss tarah friends aap aani se mobile Aur computer se sabhi facebook search history delete ya remove kar sakte hai ye fb wala post aapko agar accha lage to apne dosto ke sath social media par jarur share kare or aapko iss post me kuch smajah na aaye to comment karke jarur bataye esse or bhi fb se related interesting post ke liye humari site ko visit karte rahe..

2 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here