Facebook Account Me Trusted Contacts Kaise Add Kare

0
facebook me trusted contacts kaise add kare

Hii friends Facebook account me trusted contacts kaise add kare or jode ye aap iss article me janege. dosto agar aap ek facebook user hai to aapka account kabhi na kabhi temporarily locked jarur hua hoga vaise ye sabhi ke sath me nahi hota hai

lekin agar facebook ko lagta hai ki aapke dwara ki gayi activity facebook ke term and condition ko follow nahi karti hai to vo aapke account ko temporarily locked ya blocked kar deta hai fir aapko apni identity confirm karani hai jiske liye aapko or bhi option milte hai jaise identify your friends, upload a photo id etc

lekin trusted contacts ek essa option hai jiska use karke aap kuch hi minute me apni id ko unlocked kar sakte ha. facebook trusted contacts jaisa ki isske name se hi pata chal raha hai issme aapko apne kuch contacts yani friends ko add kar sakte hai.

Facebook Trusted Contacts Kya Hai ?

Contents

jaisa ki isske name se hi pata chal raha facebook trusted contacts me aap apne un dosto ko add kar sakte hai jo aapko trusted yani bhaosemand lagte hai aap yaha par aap only unhi logo ko add kare jin par aap bharosha kar sakte hai

kyoki trusted contacts aapke facebook account me bhut se changes kar sakte hai jaise aapka facebook password recover karna ho, ya aapka account blocked ho jaye to use reactivate karna ho etc, jaisa ki maine apako bataya ki kabhi kabhi aap facebook ki term and condition ko sahi se follow nahi karte hai to ye aapke account ko blocked kar deta hai aur fir aapko account recover karte time trusted contacts select karne ka option bhi show hota hai aur aapne jin logo ko issme add kiya hai

unke number par otp code aata hai aur aapne jin 3 trusted contacts ko add kiya hai unke phone par alag alag otp code aate hai aur vo codes aap dalte hai tabhi aapka account recover hota hai issliye aap only unhi friends ko yaha par add kare jinpar aapko trust hai

aur jayedatar apne relatives ko yaha pe add kare kyoki unse aap easily code prapt kar sakte hai. ek or baat aap trusted contacts me aap apne 5 friends ko hi add kar sakte hai aur jab aapka account blocked hota hai to un 5 mese 3 logo ko code aata hai.

facebook trusted contacts ek bhut accha tarika hai jisko use karke aapka hacked facebook account bhi recover kiya ja sakta hai lekin jaisa ki maine apako bataya ki yaha par bhi aapko kuch baato ka dhyan rakhne ki jarurat hogi aap yaha only apne bhut hi special friends ke account ko add kare jinpar aap sabse jayeda trust karte hai.

Facebook Account Me Trusted Contacts Add Kaise Kare ? Step By Step Jane

sabse pahle apne mobile me facebook app ko open kare fir yaha par aapko right side me 3 dot ( menu) show hoga uspar click kare aur niche setting wale option par click karke setting and privacy wale option par click karde.

yaha par aapko bhut sare option show honge inmese aapko security and logins wale option par click karna hai

fir aapko yaha pe choose 3 to 5 friends to contact if you get locked out option show hoga hoga isspar click karde.

fir aapko trusted contacts ke bare me kuch information batayi jayegi yaha par choose trusted contacts wale option par click karde.

fir yaha par aapko apne kuch friend show honge aur search your friends wala option bhi dikhega jispar click karke aap apne un friends ko search kar sakte hai jinhe aap trusted contacts list me add karna chahate hai yaha par aap maximum 5 logo ko hi add kar sakte hai

friends iss tarah aap easily apne facebook account me trusted contacts ko add kar sakte hai abhi aap inka use karke apen account ko recover karna chahte hai to uske bare me bhi me aapko bata deta hu.

Facebook Blocked Account ko Recover Kaise Kare Using Trusted Contacts

agar aapka fb account aapki kisi glti ki wajah se se blocked ho jata hai, ya fir aap uska password bhul jate hai aur aapne apne account me trusted contacts ko jod rakha hai to use easily recover kar sakte hai.

agar aapka fb account blocked ho gaya hai aur waha pe aapko trusted contacts wala option show ho raha hai to use select kare aur aap apne account ka password bhul gaye hai to facebook app me jaker forgot password option par click kare fir aapse email ya phone number enter karne ke liye bol jayega aapne jo bhi email ya number use kiya hai use dale fir search par click kare fir yaha par aapko apna account show karega

aur recover your password me aapko kuch option jaise send code via email, or send code via sms dikege inmese aapko in dono option mese aapko kisi bhi option ko select nahi karna hai aur niche can’t access your email account aur phone ?? essa ek option hoga uspar click karde.

fir ek window open hogi waha pe i can not access my email account wale option ko choose karna hai.

ab aapko yaha par ask your trusted contacts for help wala ek option show hone lagega aur each friend will give you a code, enter them below ke niche 3 code box show honge yaha par aapko apne trusted contacts se lekar code enter karna hai.

aapne aapne jin friends ko trusted contacts list me add kiya hai un sabhiko www.facebook.com/recover iss link ko open karne ke liye bole fir waha pe unko ek code milega

sabhi ko alag alag code milega aur aapko tin logo se vo 3 code lekar box me dalne hai. aur fir continue par click kar dena hai.

Now aapka facebook account successfully recovered ho jayega.

Conclusion

dosto facebook trusted contacts kya hai aur inka kaise use karte hai, facebook trusted contacts se fb account ko recover kaise kare wali ye information agar aapke liye useful rahi to isse apne dosto ke sath social media site par share jarur kare aur iss post me aapko kuch samj na aaya ho to comment karke jarur bataye aur essi or bhi facebok tricks se related post read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here