Google 2 Step Verification Kya Hai & Gmail Me Kaise Enable Kare

0
google 2 step verification kya hai or kaise enable kare

Dosto Google 2 step verification Kya Hai, Google Gmail Account Me Two Step Verification Kaise Enable Kare ye iss post me janege, Jaisa ki aapko pata hi hoga ki gmail google ka product hai aur google ke almost sabhi product jaise email, play store etc me gmail account ka use hota hai, internet par jab bhi kisi site me register karte hai

ya social media site jaise twitter, facebook etc me account banate hai to aapse aapki gmail id enter karne ke liye kaha jata hai, bina gmail id ke aap google ke product ka bhi use nahi kar sakte hai jaise agar aapko apne android mobile me kisi app ko download karna hai to isske liye play store ka use karna hoga

or play store ka use karne ke liye aapse pass gmail id honi jaruri hai tabhi usse use kar payege, essi tarah internet par sabhi kaamo me hume gmail id ki jarurat padti hai, lekin kya aap jante hai ki aapki gmail id itni jaruri hai to isski security kitni jaruri hai,

example ke liye agar aapke gmail account ka username or password kisi ko pata chal jata hai to aapne jin bhi wajah par apne gmail account ka use kiya hai yani jin site par google account se sign in kiya hai un sabhi ko vo person access kar sakta hai,

issliye aapko apne gmail ko secure karna bhut jaruri hai or isska tarika hi me aapko iss article me batane wala hu, ki kaise aap google 2 step verification enable karke gmail ko secure bana sakte hai.

Google 2 Step Verification Kya Hai ? What Is Google Two Step Verification In Hindi

Contents

agar aap internet user hai to jante hi honge ki internet par kuch bhi safe nahi hai, issliye aapki thodi si mistake se hi aapka account hack bhi ho sakta hai, agar aap same password ka use sabhi sites par karte hai to isse agar kisi ko aapke ek site ka password hi pata chal jata hai to vo sabhi sites me aapke account ko access kar sakta hai,

google 2 step verification feature google ke drawa provide kiya gaya essa feature hai , jiska use karke aap apne gmail account ko or jayeda secure bana sakte hai, agar aap 2 step verification feature ka use karte hai to aap agar apne gmail se dusre device me sign in karte hai to gmail or password enter karne ke baad aapke number par ek otp code aata hai

aur jab tak aap vo otp code enter nahi karte hai tab tak aap apne gmail id ko open nahi kar payege, ye ek bhut hi accha feature hai jo aapke gmail account ko or adikh secure bana deta hai, google hi nahi balki social media site jaise facebook, twitter etc bhi two step verification provide karti hai, google 2 step verification issliye bhi jaruri hai kyoki internet ka use karte time hum bhut si sites par visit karte hai aur email me jo links rahte hai unpar bhi click kar dete hai

or bhut se logo ko nahi pata rahta hai ki konsi site safe hai to aap bhi agar essi koi site par apne gmail se sign in kar dete hai jo trusted nahi hai to isse aapka account hack bhi ho sakta hai to essi problem se bachne ke liye google 2 step verification security milti hai

jaise kisi person ko aapka username or password pata chal bhi jata hai to bhi vo aapke account me login karega to usko otp code enter karna hoga jo aapke phone number par aayega aur bina otp code ke vo aapke account ko access nahi kar payega, iss tarah aapka gmail account puri tarah safe rahega.

Google 2 Step Verification Ko Enable Kaise Kare ?

Google 2 step verification ke bare me aap jan hi gaye honge ab agar aap ise apne gmail account me enable karna chahate hai to easily kar sakte hai or 2 step verification ko enable karna issliye bhi jaruri hai

kyoki isse aapka gmail to secure hota hi hai sath me aap jab bhi kisi new device jaise compute, laptop, mobile, tablet me apne gmail se login karte hai to aapko email or password ke bad otp code bhi enter karna hota hai or ye otp code ussi number par aata hai

jo aapne diya hai aur jab aap ye otp code enter kar dete hai tabhi aap apne account me sign in kar payege, hum jab bhi internet par koi website create karte hai, blog banate hai, kisi bhi site me register karte hai, app or game download karte hai to humse gmail id se sign in karne ke liye kaha jata hai

or gmail par hi humare sare important email or contacts hote hai or bhi bhut humara bhut sara data yaha par rahta hai issliye gmail account ko secure banana bhut jaruri ho jata hai,

or example ke liye aap imagine kijiye ki aap apne gmail ko access nahi kar pate koi bad person uska password chura leta hai to vo aapke all emails, photo, contacts ko delete kar sakta hai, unwanted email aapke contacts ko send kar sakta hai

or aap jin site or app jaise shopping site, social networking apps etc me apne gmail account ka use kiya hai unka password reset kar sakta hai essi problem se bachne me google 2 step verification aapki help karta hai.

Google Gmail Account Me Two Step Verification Kaise Enable Or Activate Kare

  • apne gmail account me two step security enable karne ke liye sabse pahle aapko google 2 step verification page par jana hoga jisapar yaha se ja sakte hai.
  • fir yaha par aapko 2 step verification feature ke bare me bataya jayega ki issko enable karna kyo jaruri hai or fir aapko yaha par get started wala ek option show hoga uspar click karde.
  • get started par jaise hi click karge aapse sign in karne ke liye kaha jayega yaha par sign in option par click kare or apna google email or password enter karke sign in karle.
  • than aapko signing in to google ke niche two step verification wala ek option hoga or uske aage off show kar raha hoga uspar click karde.
  • fir aapko 2 step verification ke bare me thodi or jankari batayi jayegi ki kaise iss feature ka use karke aap apne account ko protect kar sakte hai yaha get started option par click karde.
  • Now aapse dubara apne gmail account ka password enter karne ke liye kaha jayega ye ek verification process hai issliye aapko dubara password enter karna hai or next par click kar dena hai.
  • fir aapko vo devices show karege jinme aapka account sign in hai hai yaha par aapko apna device bhi show karega, uske baad niche try it now option par click kare.
  • fir aapke jis device me aapka gmail hoga usme aapko ek notification milega ki aap dusre computer ya device me sign in karne ka try kar rahe hai usme aapko yes par click kar dena hai.
  • or fir aapne jis number se gmail id create ki hai ki vo yaha par show karega issko aap hatakar isski jagah par aap dusra number bhi daal sakte hai yaad rahe yaha par aap jo bhi number de rahe hai us number ka sim card aapke pass ya aapke phone me hona chahaiye
  • because jab bhi aap kisi dusre device me apna gmail account open karege iss number par otp code aayega apna number enter karne ke baad aap agar text verification or phone call 2 option show honge yaha par text wala option pahle se select hoga aapko send par send par click kar dena hai.
  • fir aapke number par ek 6 digit ka ek otp code aayega vo code aapko enter tha code wale box me fill karna hai or next par click kardena hai.
  • aapne 2 step verification ke almost sabhi steps complete kar diya hai or fir final step me turn on button show hoga uspar click karde.

Now Google 2 Step Verification successfully aapke gmail account par enable ho jayega, than aap jabhi bhi apne gmail se kisi bhi dusre device jaise friends ya kisi ke bhi computer, laptop, mobile etc me aapne gmail se sign in karege to aapke number par ek otp code aayega or us otp code ko enter karne ke baad hi aap apne gmail me sign in kar payege.

Important –

google 2 step verification ko enable karne ke baad kabhi kabhi esa rahta hi otp code aane me time lag jata hai essa issliye ho sakta hai because aapke sim me network nahi aa raha to bhi sms aane me deri ho sakti hai or aapne jo number diya hai vo sim aapke phone me nahi hai to aap apne account me login nahi kar payege to essi problem na ho

isske liye aap google authenticator app ka use kar sakte hai isse aap qr code ko scan karke bhi apne account me sign in kar sakte hai. isske bare me full information maine pahle se apni ek post me di hui hai jise yaha se read kar sakte hai.

Dosto Google 2 Step Verification kya hai aur kaise enable kare, google 2 step verification ka use kaise kare ye aap seekh hi gaye honge ye post aapko agar accha laga aur aapke liye useful raha to isse other friends ke sath me social media site par share jarur kare aur essi or bhi internet se related post read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here