Google AdSense Kya Hai ? Adsense Se Paise Kamane Ka Tarika Hindi Me

19
google adsense kya hai Aur kaise kaam karta hai full detail

Hello friends iss post me main aapko┬а Google AdSense kya hai┬аAur┬аkaise kam karta hai.┬а ye batane wala hu┬а agar aap bhi Google AdSense ke bare me janna chahate hai to puri post padhe. Friends agar aap ek blogger hai to blog banane ke aapke pass do reason ho sakte hai.

1st ki aapne logo ki help karne ke liye blog banaya hai aur 2nd aap blog se paise kamana chahate hai. ┬а

Jayda tar log Paise kamane ke liye hi blog banane hai. Lekin aap blog se directly paise nahi kama sakte hai. Blog se paise kamane ke liye ad Network ke ads apne blog par lagane hote hai or jab koi in ads par click karta hai to aapki earning hoti hai.

Internet par bhut se ad-Network hai  jaise Google AdSense, bidvertiser, infor-link, media ads, chitika etc in sabhi ad network me тАШGoogle AdSenseтАЩ best hai kyoki isske ads in sabhi ad network se acche hote hai or ye per ad click par dusre ads network se jayda paise deta hai. aur isse payment lena bhi bhut asan hai.

Google AdSense Kya Hai ? What is Google AdSense in Hindi

Contents

Google AdSense ek best ad network hai. Jo humari blog se earning karne me help karta hai. Ye bhut hi purana or trusted ad network hai. Jisske ads sabhi  blogger apne blog website par lagate hai ya lagana chahate hai. adsense me  sabhi company aur ke ads blog par dikhte hai.

Jin par agar koi click karta hai to paise milte hai. jaisa ki aapko pata hai ki google ek popular search engine hai aur adsense bhi google ka product hai issliye ye puri tarah se trusted hai. almost sabhi blogger apne blog se earning karne ke liye issi ad network ka use karte hai.

AdSense Ki Puri Jankari Hindi Me

agar aap apna koi blog banate hai to us blog se paise kamane ke liye aap ko google adsense ki help leni hoti hai. ye ek best ad network hai jo humari blog ya website se paise kamane me help karta hai.

adsense se paise kamane ke liye hume apne blog par isske ads lagane hote hai aur jab un ads par koi click karta hai to humari earning hoti hai.

internet par millions se billions sites hai aur unmese bhut se site owner apni site se earning karne ke liye issi advertising network ka use karte hai. kyoki ye other advertising network se acccha hai.

Google Adsense Kaam Kaise Karta Hai ?

isme 2┬а logo ka role rahta hai. 1st publisher aur 2nd advertisers

publisher – Jo log apni website me ad dikhana chahate hai vo Publisher hote hai. Or jinki website ka ads ka ads vo apne blog website par dikhate hai vo advertiser hote hai.

advertisers – saral sabdo me┬а google adsense ka ek product hai Google adword. Jo advertiser hote hai matlab vo log jo apni website ka advertisement karna chahate hai. Vo google┬а ke adword me jaker apni site ka advertisement karne ke liye Google ko paise dete hai.

Or adsense un advertiser ke ads Publisher ki site par dikhati hai. Iss tarah agar Publisher ki site se un ads par koi click karta hai to adsense advertisers ke paise me se kuch paise Publisher ko deti hai.

Adsense Kis Type Ke Ads Kis Website Blog Par Dikhata Hai ?

ye question sabhi logo ke man me hota hai ki adsense kis type ke ads kis website par dikhata hai ya show karta hai. Sabhi company ke ads ke  key-words hote hai. Un keyword se jis website blog ke keyword match karte hai adsense us website par usse related ad dikhata hai.

Jaise aapki koi website hai or aap ussme adsense ke ads lagate hai to aapki website jis topic par hogi usme ye usi topic se related ad dikhayga.

jaise aapki website me agar money making ya earn money se related hai to adsense aapki website par earn money se related┬а ads dikhayga. Or issme advertising aapki pasand ke hisaab se bhi show hote hai.

Jaise aap apne browser se┬а snapdeal ya flipkart ki site par jate hai to unki history aapke blog me save ho jati hai. Fir aap essi site par jate hai jiseme adsense ke ads lage hai to ye aapke browser ki┬а history ko check katke snapdeal, flipkart or aapke pasand ke ads dikhata hai.

Google-adsense-se-paise-kaise-kamaye-PCORMONEY.BLOGSPTO.COM

Google AdSense Se Paise kaise Kamaye ?

Google AdSense se paise kamane ke liye sabse pahle aapko ek blog banana hoga. blog┬а kya hai or kaise banate hai iske bare me maine pahle se post ki hui hai jise yaha se read kar sakte hai.

Jab aap blog bana lenge or uspar 50-100 posts kar denge or aapke blog ko 6 months ho jaye tab aap adsense ke liye apply kar sakte hai fir isske advertising aapke blog par dikhege or in ads par koi click karega to aapko paise milege.

Iss tarah aap asani se google adsense se paise kama sakte hai.

Adsense kon sa ad network hai- ye ek ppc( paid per click) ya ptc ( paid to click) ad network hai. Matlab agar aap adsense ke ads apni site me lagate hai or koi unpar click karta hai to aapko click ke hisab se earning hoti hai.

1 click ke aapko 0.01 se 1$ ya usse jayda bhi mil sakte hai lekin ye depend karta hai click konsi country se kiya gaya hai. Agar koi india se ads par click karta to aapko 0.01-0.20 milte hai hai lekin agar koi other country jaise us se click karta hai to aapko 0.1 se 1$ ya 10$ tak per click milta hai.

Blogspot Blog Se AdSense Ke Liye Kab Apply Kare ?

Google AdSenseke liye apply aap tabhi kar sakte hai jab aapki site par 500-600 pageview daily ho. Isse Adsense approved hone ke chance badh jate hai.

 AdSense  ke liye apply karne se pahle apne blog website me kya jya hona jaruri hai.-

Aapke blog website par daily 500-600 daily pageviews┬а hone chaiye.

Aapki site ka SEO accha hona chaiye

Aapki apne site me jo template use kar rahe hai vo acchi honi chaiye matlab aapki tempale me pahle se kisi ad network ke ads add nahi hone chaiye.

Aapke website par about us, contact us, privacy policy, disclaimer page hone chaiye.

Aap agar apni site par kisi other ad network ke ads use kar rahe hai jaise bidvertiser, infor link, chitika etc ke to aapko in ads ko remove karna hoga.

Agar aapne apne blog me domain add nahi kiya hai ya aap blogspot se isme apply karna chahate┬а hai to aapka blog 6 months old hona chaiye.

Google AdSense Ke liye Kaise Apply Kare ?

1. Aap apne blog ya website se direct adsense ke liye apply kar sakte hai lekin aapke blog ya website me domain add hone chaiye jaise .com, .org,.net, .info, .in etc.

2. agar aap blogspot se adsense ke liye apply karte hai or aapke blog ko 6 months nahi huye to aap niche diye instructions ko follow kar sakte hai.

  • aapko apna youtube channal banana hai or usme kuch video upload karni hai.
  • jab aapke videos par 300-400 view aa jaye tab aap adsense ke liye aply kar sakte hai.
  • issme apply karne ke liye aapke youtube video par jaker monetize par click karke or isme me sign up kar le. Iss tarah aapka adsense account ban jayga..
  • fir aap adsense me apne blog ka link add karke to isske advertising ko apne blog par laga sakte hai..

Google AdSense Kaise Approved Kare ?

Friends jab aap adsense ke liye apply karte hai to ye aapki site ko puri tarah se check karta hai, agar aapki site┬а puri tarah se sahi hoti hai to aapka account approved ho jata hai. Lekin agar aapki site par copy-write post hai ya koi essi chij hai

jo adsense ki policy follow nahi karti hai jaise kisi other adnetwork ke ads etc to aapka account disapproved ho jayga. adsense aapki site ko check 1-2 din me kar leti hai

or aapko ek email jis karti hai. Email aapko dono hi condition milta hai means agar aapke adsense apply ki request approved hoti hai to bhi aapko mail milega. Agar disapproved hoti hai to bhi aapko mail received hoga.

Or jab aapka adsense account approved ho jata hai tab aap adsense ke ads apne blog website me laga sakte hai. Kuch din tak aapke blog par blank ads show hote hai matlab ads nahi dikhte hai fir 5-10 days baad aapke blog site par  ads dekne lagte hai..

Friends ab aap samaz gaye honge ki Google adsense kya hai or kaise kaam karta hai

Agar aapko ye post acchi lage to comment karke jarur bataye or aap┬а iss post ko apne friends ke sath bhi share karna chahate hai to niche share button par click karke aap asani se iss post ko apne friends ke sath share kar sakte hai agar aapko iss post me kuch samz na aaye ho ┬аto comment karke apna question puche main aapke question ka answer jarur dungaтАж.

19 COMMENTS

    • thanks Google Adsense se realted ye post aapko accha laga bhut acchi baat hai essi or Google Adsense se related post read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

  1. great hai bro. but tum hindi me liko thik ha. but mujhe hindi language par pati jase рдХрд░ a sob maine par nehi pati. tum hindi me post karo liko English me. tum asa korte ho to mujhe bhout asan hoga post parne me.
    Thank you!

    • thanks Rohit ji for your valuable comment. yes me hindi + english me post karta hu and ye post old thi issliye puri hindi me hai and isse update kiya hai. aap humari site par visit karte hai aapko sabhi information hindi + english yani Hinglish language me hi milegi.

  2. Thnx
    pura confusion dur ho gaya.
    Ye bta do ki blog par view/traffic kese badhaye.
    Maine 2 jan. 2018 ko blog banaya hai daily page view 100-170 ho jate hai

    • Blog ko google and other search engine me add karo and sitemap submit karo and ye kar liya hai fir humari site ki blogging category me jakar blog ki traffic kaise badhaye wali post read kar sakte ho us post se blog par traffic badhane ki saari jankari mil jayegi.

  3. Really bahut accha article hai. lekin mera ek sawal hai hum adsense ke sath or kon-kon se ads network ka use kar sakte hai jisse adsense disable bhi na ho or earning bhi ho sake

    • adsense me bank detail add karne ka option rahta hai jisme hum apni bank detail jaise account no, IFSC Code, Shift code etc add kar sakte hai aur jab adsense account me 100$ ho jate hai tab ye 21 – 22 date ko payment kar deta hai.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here