Google Authenticator App Kya Hai & Kaise use kare ? Secure gmail

0
google authenticator app-kya hai aur kaise use kare

Dosto google authenticator app kya hai or kaise kaam karta hai, google autenticator app se gmail account secure kaise kare ye aap iss article me janege, dosto jaisa ki aapko pata hi hoga ki google account ko secure karne ke liye hume issme two step verification wala feature milta hai

lekin abhi bhut se log soch rahe honge ki google two step verification feature se iss authenticator app ka kya connection hai aur to me aapko batana chahunga ki ye app bhi google ke two factor Authentication feature hi kam karta hai, google hi nahi

balki or bhi bhut si social media apps jaise facebook, twitter etc me hume two step verification method milta hai jiska use karke hum apne account ko aur jayeda secure bana sakte hai,

two step verification me aap jab aap apne account me login karte hai to aapne jo number ya email add kiya tha uspar ek one time password (otp) aata hai or vo otp code enter karke hi aap apne account me login kar sakte hai

aur aap vo otp code enter nahi karte hai to aapka account open nahi hota hai. iss tarah agar aapki galti se a aapke facebook gmail ka password kisi person ko pata chal bhi jata hai aur aapne apne account me two step verification enable kiya hua hai to vo aapke account me login nahi kar payega.

Google Authenticator App Kya Hai Or Kaise Kaam Karta Hai ?

Contents

jaisa ki friends maine aapko google two step verification feature ke bare me bataya to aap agar iss feature ka use karte hai aur kisi new device me apna gmail account open karte hai to aapse code manga jayega lekin kabhi kabhi vo code aane me time lag jata hai

aur aapke mobile me jo sim hai usme network nahi aa raha ho to isse bhi sms aane me time lag jata hai issliye google inhi baato ka dhyaan rakhte huye apna google authenticator app launch kiya hai,

jisse aap apne google account ko connect karke two step verification code apne phone pe hi generate kar sakte hai , matlab ki aap jab google two step verification ka use karte hai to aapne jo number diya hai

uspar ek otp code aata hai lekin iss authenticator app ka use karne ke baad aapko apne gmail account me login karne ke liye barcode, qr code ko scan karne ka or provided key enter karne ka 2 option show honge matlab ek key provide ki jayegi

jiska use karke aap kabhi bhi apne gmail account me login kar sakte hai aur qr code ko scan karke bhi gmail me sign in kar payege, ye otp code wale method se accha hai because kabhi kabhi sim me network nahi aata hai aur aapne jo number enter kiya vo sim aapke phone pe nahi hota to aapko apne gamil account ko open karne me problem hoti hai

issliye authenticator app ka use karne se aapki otp code ki problem solve ho jayegi. or isse aap bina data connection ke bhi verification code generate kar payege. or issme aap apne ek se jayeda account ko bhi add kar sakte hai.

Google Authenticator App Se Gmail Account Secure Kaise Kare ?

agar aap bhi apne gmail account ko secure karna chahate hai to google authenticator app se aap essa kar sakte hai, jaisa ki friends maine aapko bataya ki 2 step verification aapke google account ko strong security provide karta hai,

isse aap jabhi bhi kisi new device me apne gmail account se sign in karte hai to email or password enter karne ke baad aapne jo number diya hai uspar ek otp code aata hai

or us code ko dalne ke baad hi aap apne account me sign in kar pate hai ye ek bhut hi accha feature hai jo abhi hume or social media app par bhi milta hai. or google ke iss 2 step verification feature ko or bhi easy banane me authenticator app kaam karta hai isse aap apne phone par hi code generate kar sakte hai aur usse apne account me login kar sakte hai.

Google Authenticator App Ko Kaise Use Kare Step By Step Jane ?

sabse pahle aapko apne gmail account me two step verification lagana hoga, isske liye aapko kuch steps ko follow karni hogi. agar aapke pc gamil me two factor authentication pahle se enable hai to iss step ko skip kar sakte hai.

First Step –

  • fir iss page par jane ke baad yaha par aapko bataya jayega ki ye feature aapke liye kitna jaruri hai aur fir aapko get started par click kar dena hai
  • yaha par aapoko sign in wala option show hoga aapko apna gmail or password enter karke sign in karna hai
  • or fir yaha par aapse aapka mobile number enter karne ke liye kaha jayega yaha par apna 10 digit ka mobile number enter kare lekin yaha par ek baat ka dhyaan rakna hai aap jo number yaha par de rahe vo number chalu hona chahaiye yani ki us number ka sim card aapke pass ya aapke mobile me hona chahaiye.
  • than aapke number par ek otp code aayega vo otp code wale box me dale or fir turn on wale option par click karde.
  • Now friends aapke gmail account me 2 step verification enable ho jayega aur jab bhi aap apne account ko kisi bhi dusre device me open karege to aapke number par sms me ek otp code aayega vo code enter karne ke baad hi aap apni gmail id me login kar payge.

Second Step –

  • apne phone me play store se google authenticator app ko download kare ya yaha se bhi kar sakte hai.
  • fir aapko dubata google ke two factor authentication page pe jana hai fir aapse password enter karne ke liye bola jata hai to apna password enter kare than scroll karege to aapko authentication app wala ek option show show hoga uske niche set up par click karde.
  • ab aapse aapka mobile select karne ke liye kaha jayega agar aapke pass android phone hai to yaha pe android select kare or aap agar iphone user hai to yaha pe iphone select kare or next par click karde.
  • now ek new window show hogi usme aapko qr code show hoaga.
  • abhi aapko apne mobile me aapne jo authenticator app ko install ki hai usko open karna hai or fir waha par scan a barcode option ko choose karna hai or apne mobile ke camera se qr code ko scan karna hai.
  • jab scan complete ho jayega tab aapko iss app me ek otp code show hoga vo aapko otp code wale box me dale or next par click karde.
  • than verify option show hoga uspar click karde.
  • Now aapke gmail account me authentication verification method successfully enable ho jayega.

jab bhi aap apne gmail account ko kisi dusre devices jaise mobile. computer etc me use karege to aapko qr code ko scan karne ke liye liye kaha jayega aur aapko iss app me ek key bhi provide kiya jayga jiska use bhi aap apne gmail account ko sign in karne me kar sakte hai.

Dosto Google authenticator app se gmail account kaise secure kare, what is google authenticator app in hindi ye ab aapko pata chal hi gaya hoga aapko ye internet se related jankari agar acchi lagi to issse apne dusre friends ke sath me social media site par share jarur kare aur iss post me kuch step smajh na aaye ho to comment karke jarur bataye or essi or bhi post read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here