Google Drive क्या है ? और Drive मे 15GB तक की Files Store कैसे करे

0
google drive kya hai aur issme file upload kaise kare

Hii Friends Google Drive Kya Hai, Google Drive Me Files Store Kaise Karte Hai ye aaj him iss post me janege. Friends agar aap android user hai to aapne apne mobile me drive app jarur dekha hoga. Ye google ka hi product hai but bhut se logo ki nahi pata hai ki Google drive Kya hai Aur isse Kaise use Karte Hai to aap Bhi agar yahi Janna chahate hai to sahi jagah hai.

Google Drive Kya Hai ? What Is Google Drive Full Explained In Detail

Contents

Bhut se log apne data files jaise video images, document etc ko store karne ke liye pandrive, sd card, cd /DVD etc storage devices use Karte hai Aur in storage devices ko local storage devices Bhi bolte hai. Local storage devices me  data store karne par problem ye rahti hai ki agar aapne pandrive, cd/DVD etc

kisi Bhi local device me apna important Data store karke rakha hai Aur vo agar kharab ho jati hai ya lost ho jati hai to aapka data Bhi lost ho jayega. essi problem na ho issliye aaj Kal bhut se log online apna data host ya store karte hai. Online data store cloud storage me hota hai.

Agar aap apni files ko safe and secure rakhna chahate hai to unhe cloud storage me store me store Kar sakte hai. Cloud storage me aapko ek limited online space di jati hai jaha par aap apna data files jaise image video document etc store Kar sakte hai. Yaha se aap apne data ko apne friends ke sath bhi easily share Kar sakte hai.

Internet par bhut si clound storage service avaiable hai Jo aapko  1GB Se 5GB tak ki online storage deti hai jaha par aap apni files ko online free me store Kar sakte hai but in sabse acchi site ya app google drive hai. Ye google ki free cloud storage service hai  jaha par aapko 15GB Tak ki free online storage milti Hai.

Ye google ka hi Product hai issliye ye Puri tarah se safe and secure hai Aur issko use karne ke liye Bhi aapko issme alag se account banane ki jarurat nahi hai aap apne Gmail se hi isme login Kar sakte hai. Google drive me aap apni kisi Bhi files jaise audio video document etc files ko upload Kar sakte hai Aur easily share Bhi Kar sakte hai.

Google Drive Ko Use Kaise Kare Puri Jankari Hindi Me

Jaisa ki friend Maine aapko bataya ki drive google ka free cloud storage service hai jaha par aap 15GB Tak Ka Data Online store Kar sakte hai ab agar aap Bhi issko use Karna chahate hai to isske liye aapke pass only apni email id ya Gmail I’d Hona jaruri hai. isko aap apne computer Aur mobile dono me istemaal Kar sakte hai.

Issme Hume file storage, file syncing, data sharing , real time collaboration, online file editing etc feature milte hai. Kisi Bhi place par kisi bhi device jaise mobile, laptop, desktop computer etc par internet ki help se aap Google drive ko access Kar sakte hai.

Google Drive Me Data Files Store Kaise Karte Hai ( Desktop Computer Laptop )

  • Sabse pahle aapko Google drive ki site par Jana hoga jispar direct yaha se ja sakte hai.

Go To Drive

  • Ab yaha par aapko go to Google drive ka option dikhega isspar click karde Aur apna email I’d and password enter Kar login Kare.

tap-on-new-option

  • Ab aap drive me successfully login ho jayege ab yaha par Left Side Me New ka option dikhega iss par click karde.

tap-on-file-upload

  • Ab aapko file upload wala option dikhega isspar click karde.

select-which-file-you-want-to-upload-google-drive

  • ab aap apne computer mese jis Bhi files jaise audio video document etc ko issme upload Karna chahate hai vo files jis Bhi local disk ya folder me hai us folder me Jaye Aur us file par click karke open par click karde.

Now aapki file google drive me upload hona start ho jayegi. Agar aapne big size ki file upload ki Hai jiska size 100 mb se 1000mb ka hai to usse upload hone me 15 minute se 30 minute Tak lag sakte hai Aur aapne agar small size ki file upload ki Hai jiska size 1mb se 10 mb ka hai to vo 1 se 2 minute me upload ho jayegi.

Iss tarah friends aap easily google drive me apni files ko store Kar sakte hai..

Mobile se Google Drive Me File Store Upload Kaise Karte Hai

Agar aap mobile user hai Aur Google drive ka use Karna chahate hai to easily kar sakte hai. Bhut se smartphone me isska App pre installed Yani pahle see install rahta hai.

But agar aapke phone me ye nahi hai to aap play store se isse download Kar sakte hai ya direct yaha se bhi download Kar sakte hai..

Download Drive App

  • Ab iss app ko download and install karne ke baad open kare Aur apna email address and password enter Kar issme login Kare.

tap-on-plus-icon

  • Now isme login hone ke baad yaha pe aapko + icon dikgega isspar click karde.

tap-on-upload

  • ab aapko kuch option dikhege inmese upload par click karde.

select-file-to-upload-google-drive

  • Ab aap apne phone storage me punch jayege yaha aapko bhut se folder milege inmse aap jis bhi folder se file drive me dalna chahate hai uspar click karde. aur agar aapko photos ko issme upload karna hai to gallery par click karde.select-photo-and-ok
  • apni jis Bhi photo ko internet pe upload Karna chahate hai uspar click karke ok par click karde.

now-your-photo-successfully-uploaded-in-google-drive

  • Now aapki photo file drive me upload ho jayegi.

Iss tarah easily aap apna sabhi data jaise video audio document photo etc ko Google drive me store Kar sakte hai. Aur issme aapko 15Gb Tak ki free online space milti hai. Jo ki bhut jayeda hai aur issme jayeda se jayeda files store ki ja sakti Hai.

Dosto Drive Me File Upload Kaise Karte Hai, Google Drive Kya Hota Hai ye ab aap seekh hi Gaye honge agar ye article aapko accha laga and aapke liye useful raha to isse apne friends ke sath share jarur kare.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here