Google Images Me Apna Photo Kaise Dale Or Upload Kare

13
google images search me apna photo kaise dale upload photo google

Hii friends  Google par apna photo kaise dale, google par apna photo kaise upload kare ye me aapko article me batunga. Friends Agar aap famous hona chahate hai ya popular hona chahate hai 

aur cahahate hai ki log aapke name likhe to aapki photo google search engine par dekhe to jo main iss post me jo tarika batane wala hu usse aap aani se apna photo google par dal sakte hai.

Jisse agar koi bhi aapka naam likhkar google me search karega to use aapka photo bhi show hoga. internet ka use aaj kal sabhi log karte hai

issliye agar aap internet par famous ho jate hai to aap apne friends ke beech famous ho sakte hai. jaisa ki maine apni ek post internet celebrity kaise bane me bataya hai ki kaise aap internet par apni ek alag pahchan bana sakte hai.

aur iss post me bhi aapko do bhut hi easy method batane wala jiska use karke aap easily apni photo ko google par dikha sakte hai.

Google Par Photo Upload Kaise Kare ?

Contents

Friends agar aap internet ki dunia me apni different identification create karna chahate hai ki log aapko gogle par dekh sake. Facebook Twitter Instagram etc par to sabhi log apna photo upload kar dete hai lekin agar koi gogle par aapka name type karke search kare or aapka phhoto  aaye to baat hi kuch or hai.

Bhut se log hai jo apni phto google me dalna chahate hai lekin  aapko ye  sayad pata nahi hoga ki aap direct apna photo google par nahi dal sakte yani upload nahi kar sakte hai.

Kyoki ye ek search engine hai jo sabhi site ko index karta hai. Issliye googlle par apna phuto show karane ke liye aapko usko internet par kahi par bhi upload karna hota hai.

Google Me Photo Kaise Dale – Upload Photo In Google Images Search

yaha par me apako 2 best tarike batane wala hu jinka use karke aap apni photo ko kuch hi days me google par la sakte hai ye bhut hi easy methods hai jinhe aap mese koi bhi aasani se follow kar sakta hai. first method me hum social media site ke dwara google search me photo upload karne ke bare me bataya gaya hai aur 2nd method me blog ke drawa google par photo kaise dal sakte hai uske bare me bataya gaya hai. in dono me aap kisi ka bhi use kar sakte hai. ye dono hi working method hai.

1. Facebook and twitter 

yes friends aap facebook  and twitter ka use karke bhi apni photo ko google me dikha sakte hai lekin aapko  ye baat sach nahi lag rahi hogi kyoki aapne bhut baar apna phooto facebook and twitter  par upload kiya hoga lekin vo google par nahi dikha isska main reason hai ki aap apni defalut yani vaise ki vaisi hi photo facebook  par upload kar dete hai

jo number me rahti hai issliye search engine use search to kar leta hai lekin use pata nahi chalta hai ki vo aapki image hai issliye aapki photo google par nahi dikhti hai issliye sabse pahle aapko apni photo ko edit karna hota hai jisske liye aap niche steps ko follow kar sakte hai

  • Sabse pahle aap jo photo facebook par upload kar rahe hai usaka name change karna hai computer me image ka name change karne ke liye aap image par mouse se right click karke rename par click kare uska name change kar sakte hai or mobile me aap image par finger hold karege to aapko rename ka option dikh jayega or apna naam dal de.
  • ab agar aap apne bare me batana chahate hai to aap tagline add kar sakte hai isske liye aap computer me snagit software ka use kar sakte hai and mobile me aap picsart app ka istemaal kar sakte hai.
  • ab facebooka and twitter  par jaye or apni iss edit image ko upload karde iss tarah kuch days me aapki image google par dikhne lagegi.

2. Blogger

agar aap apni image ko jald se jald google par dikhana chahte hai to iss tarike ka use kar sakte hai –

  • Sabse pahle aapko apna ek blog banana hoga blog kaise banate hai isski jankari ke liye niche link par click karke post read kare

blog kaise banaye in hindi

  • Ab aapko apni photo ko seo friendly banana hoga jiske liye ye post read kare.

Blog ki images Photos ko SEO friendly kaise banaye

  • Iss tarah friends aap asani se apni sabhi images ko seo friendly banakar unhe blog par upload kar sakte hai and unke bare me kuch likhkar bata bhi sakte hai.

Bus aapko itna hi karna hai fir dekhe ki aapki photo google images search me 1st page par dikhne lagegi

Google Par Photo image Upload Karne Ke Fayde-

1. Lagbhag sabhi log chahate hai ki unka photo google par dikhe agar aap bhi un mese ek hai to ye trick aapke liye bhut helpful hoga

2.Google ek search engine hai jisspar lagbhag sabhi log kuch na kuch search karte rahte hai issliye agar aap chahate hai log aapke bare me search kare to asani se isska use karke aap apni popularity badha sakte hai.

3.ispar image uplaod karke aap apne aap ko celebrity bata sakte hai or jab bhi koi aapki image google par dekhega to vo aapka autograph tak le sakta hai.

4.Aap apne friends ke bich me popular hona chahate hai or aap chahate hai ki log aapko pasnd kare to iss tarika ka use kar sakte hai.

5.Internet par millions ki sankya me log google search engine ka use karte hai and agar kisi ka naam aap se milta julta hota hai or vo apna naam likhkar google images me search karta hai to use aapka image dikhega.

I hope dosto aapko ye post accha isse apne friends ke sath social media par jarur share kare or aapko iss post me kcuh smajh na aaya ho to comment karke jarur bataye or essi or bhi post read karne ke liye humari site alhindihelp ko subscribe kare or latest post update ki jankari apne email par paye..

13 COMMENTS

    • google par photo upload karne ke liye aap iss post me bataye instruction ko follow kare. google par direct photo upload nahi kar sakte hai agar aap apna photo google search me lana chahate hai to aapko use facebook ya google+ ya twitter ya kahi par bhi upload karna hoga. faceboook ya google+ par apni image upload kare or agar image number me hai to usme apna name likhe fir aapka photo 5-10 din me google par upload ho jayega fir jab bhi koi aapka name likhkar google par search karega usse aapka photo dikhega.

  1. Sir mene blog banaya lekin pic upload nahi ho raha he vo jo appne bataya he img ka number ata h lekin baha pe nam kese dale ?

    • aapko blogger par photo uplaod karne se pahle hi ussko rename karna hoga agar aap mobile use kar rahi hai to photo par apna finger hold kare rename option dikh jayega fir aap image ko rename kar sakti hai or usme number ko remove kar apna name dal sakti hai and agar computer use kar rahi hai to aap photo par mouse se right click karke usse rename kar sakti hai and blogger par upload kar sakti hai

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here