Google Play Store Me Duplicate & Fake Apps Ko Kaise Identify Kare

0
google play store fake apps identify kaise kare in hindi

Google Play Store Me Fake Apps Ka Kaise Pata Lagaye, Google Play Store Me Duplicate Apps & Fake Apps Ko Kaise Pahchane. Dosto agar aap android phone user hai to aap play store ka use karte hi honge. Google play store par hume millions se billions ki sankhya me android apps milti hai inmese bhut si essi apps bhi hoti hai jo ki original apps ki copy hoti hai yani duplicate hoti hai or bhut si fake apps bhi hume play store me milti hai inko agar aap pahcnana yani identify karna chahate hai to aaj me aapko issi ke bare me batane wale hu.

Google Play Store Me Duplicate & Fake Apps Kya hoti Hai ?

Contents

Friends aapne dekha hoga ki play store me ek hi name ki bhut si apps hume dekhne ko milti hai jaise aap agar playstore me photo editor likhkar search karte ho to aapko bhut se photo edit apps dikhne lagte hai or aap bina dekhe kisi bhi photo editor ko download kar lete hai

but bhut se logo ko pata hai ki photo editing ke liye best app picsart hai so vo picsart┬а ko hi playstore se download karege esse hi agar aapko bhi pata ho ki konsi app real hai or konsi fake ya duplicate hai to aap bhi easily fake app ka se bach sakege.

Dosto jaisa ki maine aapko pahle bhi bataya hai ki google play store par sabhi apps google ki nahi hai yani kisi bhi person jiska google developer par account hai vo playstore par apni app upload kar sakta hai or bhut se developer kisi na kisi popular application se related apni application banata hai or usse playstore par upload kar deta deta hai┬аjis wajah se google play par aapko bhut si fake and duplicate application dekhne ko milti hai.

Kisi bhi Developer ke fake app banne ke 2 reason hote hai ek to aapke device ke data ko hack karna chahate hai or dusra vo us app se paise kamana chahate hai koi bhi reason ho but isse loss aapko hi hota hai issliye ye pata hona bhut jaruri hai ki konsi app real Aur Konsi Fake

Google Play Store Me Fake Apps ka Kaise Pata Lagaye – Best 6 Method To Identify Duplicate Apps on Play Store

Friends me aapko play store me fake apps ka pata lagane ke 5 nahi balki 6 tarike batane wala hu jo aapke liye bhut useful honge or in 6 tariko se aap easily pata ki kar sakte hai ki play store ki konsi apps real hai Aur konsi Fake or aap asani se

How to Identify Fake Apps On Play Store Full Detail In Hindi

1. Check App Downloads

friends agar aapne play store open kiya or usme kisi bhi app ka name likhkar search kiya hai or aapko ussi name ki bhut si application dikh rahi hai to aapko sabse pahle dekhna chahaiye ki un sabhi similar apps mese kis app ko sabse jayeda logo ne download kiya hai app ke niche hi aapko downloads wala option dikhta hai jisme likha rahta hai ki issko abhi tak kitne logo ne download kiya hua hai.

2.┬а Check app Publisher

Playstore se kisi bhi apps ko download karne se pahle aapko ye pata karna jaruri ki uska founder kon hai yani application kisne publish ki hai bina publisher ka name dekhe bina aap agar esse hi kisi bhi app ko download kar lete hai to usme virus ya malware bhi ho sakte hai jo aapke personal data ke sath sath aapke device ke liye bhi dangerous bhi ho sakte hai. sabhi application ke niche usko publish karne wala ka name likha rahta hai

check-app-publisher-like-facebook-app-publisher-facebook

jaise aap playstore me facebook open karte hai to usme┬а facebook Aur┬аniche small font me dubara facebook likha┬а rahta hai ye ek facebook to name hota hai but small font me jo facebook likha rahta hai vo publisher ka name rahta hai issi tarah aap sabhi app ke name ke niche unka publisher ka name dekh sakte hai. or fake app install karne se bach sakte hai.

3. Check App Rating

kisi bhi Application ko download karne ke pahle hume usski rating dekhi bhut jaruri hoti hai. Rating se hi pata chalta hai ki iss app ko kitne logo ne pasand kiya or kitne logo ne┬аnapasand kiya app ki like dislike janne ke liye rating bhut accha tarika hai

check-app-ratings

agar aap janna chahte hai ki konsa app sabse best hai or secure hai to rating ke drawa aasani se pata chala jata hai jin bhi┬аapplication ki rating 4.5 se jayeda hoti hai unmese jayedatar apps trusted hote hai esse┬а hi 2 se kam rating wale jayedatar apps fake rahti hai ya duplicate hoti hai.

4. Check Apps Reviews

agar aap kisi bhi application ke bare me janna chaate hai ki vo kaisa hai or usse use karne se benefits hoga ya loss to ye to wahi bata sakta hai jisne ussko pahle use kiya ho but ab aap ye sochege ki ye kaise pata chalega ki iss application ko pahle kisne use kiya or usse find kaise karege to don’t worry aapko kisi ko find karne ki jarurat nahi hai

read-all-reviews

aap jis application ke bare me pata karna chahte hai us app ko open kare or niche scroll kare yaha aapko rating ke niche review highlights dikh jayega yaha aap read all reviews par click karke app ke bare me asani se pata kar sakte hai ki agar app ko jayeda┬аpositive reviews mile hai to vo accha hoga hi and agar negative reviews jayeda mile hai to vo app fake bhi sakti hai.

5. Check App Name And Spelling Mistakes┬а

playstore me millions se billions ki sankhaya┬а me apps hai or daily nayi apps isme upload hoti hai and jayedatar apps ke developer kisi popular app ki tarah hi apni app banata hai or uska name bhi ussi se milta julta hi rakhta hai

issliye kisi bhi application ko download karne se pahle aapko dekhna chahaiye ki us app ka name kisi popular application se match to nahi ho raha agar uska name old application se match ho raha hai or dono application ke developer alag alag hai to samajh jaye ki ye jo new application hai vo dusri popular app ki duplicate hai

Aur esse hi jayedatar fake apps me spelling mistakes hoti hai means app ka name galat likha rahta hai but bhut se log app ka name na dekhkar uske photo dekhkar hi application ko download kar lete hai but aapko essa nahi karna chahaiye humesa application ka name dekhkar usko download karna chahaiye.

6. App Release & Update Date

tap-on-read-more

Dosto google play store par apps daily upload hote hai or 1 month ya 2 ya 4 month me un apps ka update bhi aa hi jata hai issliye aap playstore se jabhi┬а bhi koi app download kare to read more par click karke uski release date jarur dekh le or uski update date 1 year se pahle ki hai to vo app download na kare

kyoki isska matlab ye hoga ki vo 1 saal se update nahi hui hai or agar aap essi application ko download karege to usme security ke risk ke sath virus aane ka khatra bhi rahta hai issliye┬аmaximum 5 month se jayeda old update wali apps ko download na kare essi apps hi downlaod kare jinke update 1 se 2 month me aate rahte hai.

iss tarah friends aap asani se in 6 method ka use karke┬аGoogle Play Store Fake Apps Ko identify kar sakte hai.

Dosto Google Play Store Fake Apps Ka Kaise Pata lagaye, Google Play store Me Duplicate App ko Kaise Find kare How to Know Google Play store Detail in Hindi Wali ye Information aapko kaisi lagi comment karke jarur bataye or ye post aapke liye helpful raha to isse apne friends ke sath share jarur kare or essi or bhi google play store ya internet se related tricks ke liye humari site par visit karte rahe.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here