Mobile Me Guest Mode Kya Hai Aur Kaise Enable & Disable Kare

0
guest mode kya hai aur kaise enable aur disable kare

Hii Friends guest mode kya hai, mobile me guest mode kaise enable kare or disable kare ye aap iss article me janege. android smartphone almost sabhi log use karte hai aur issme hume bhut sare features milte hai, aapke phone me aapka jaruri data jaise image, documents, videos etc bhi rahte hai lekin jaruri nahi hai ki aapka phone humesa aapke pass rahe hai usko aapke friend ya koi bhi use kar sakta hai.

lekin agar aap nahi chahate hai ki aapke phone me jo data jaise images, videos, document etc unko koi dekhe to aapke pass ek hi option rahta hai ki aap guest mode ka use kar sakte hai. almost sabhi smartphone me hume ye wala feature milta hai, jiska use karke aap apni alag profile create kar sakte hai aur usme aapka data rahta hai.

sabhi logo ke mobile me unki kuch private photos, videos etc hote hai jinhe vo kisi ke sath me share nahi karna chahate hai lekin jaisa ki maine aapko bataya hai ki aapka mobile har samaye aapke pass nahi ho sakta hai

usko aapke friends ya koi bhi use kar sakta hai to isska bhi yani solution hai ki aap jin photo. video, document ko kisi ko nahi dikhana chahate hai unhe guest mode me rakh sakte hai.

Guest Mode Kya Hai ? What is Guest User in Android Smartphone

Contents

guest mode android smartphone ke kamal ke features mese ek hai. isska use karke aap apne phone me ek alag profile create kar sakte hai aur waha par apna data jaise important images, videos, document etc rakh sakte hai

isse aapka phone kisi dusre person ke pass chala bhi jata hai to fir bhi aapki files puri tarah se safe rahti hai. android lollipop se uper ke sabhi android version ke phone me aapko guest mode wala option milta hai.

mobile me hume normal aur guest mode option 2 option milte hai normal mode pahle se rahta hai aur guest mode ko enable karna hota hai issko enable karne ke baad aapke phone me bhut se changes aa jate hai jaise ki issme contacts, call logs, images, document etc change ho jate hai hai.

matlab ki aaps saral sabdo me kaha jaye to guest mode se aap apne ek phone ko do phone ki tarah use kar sakte hai matlab jo data ya files jayeda important nai hai unko normal mode me aur jo data bhut jayda important hai usko guest mode me rakh sakte hai.

issme aap apne labhag sabhi data jaise call logs, images, videos, document etc ko rakh sakte hai. jaisa ki aap sabhi log jante hi honge ki hum ek android smartphone se 1 ya 2 nahi balki aur jayeda bhi facebook, gmail etc account connect kar sakte hai. lekin vo sabhi account ek hi user se associated hote hai.

lekin bhut se log sochte hai ki kya hum new user bana sakte hai to aapke question ka answer hai ki yes aap essa kar sakte hai aur guest mode me essa hi rahta hai ek new user create ho jata hai jaha par aapko ek dum new phone jaisi cheeze dekhne ko milti ha.

guest user ke pass bhi other user ki tarah same permission rahti hai. aur guest user bhi google account ko add kar sakta hai aur remove bhi kar sakta hai aur use pre- installed app bhi milti hai jo ki phone me pahle se inbuilt aati hai aur bhi bhut se kaam hai jo guest user kar sakta hai.

Android Mobile Me Guest Mode Kaise Enable Kare

agar aap bhi apne android phone me guest mode kaise activate kare issi ke bare me janan chahate hai hai to yaha par me aapko easy steps bata raha hu unko follow karke aap easily apne kisi bhi phone me guest mode on/switch kar sakte hai.

sabse pahle apne android phone me quick setting panel ko open kare aur fir right side me aapko user current avatar wala option show hoga uspar 2 times click kare.

fir aapko yaha pe add google account, add user, add guest 3 option show honge inmese aapko 3rd wale add guest wale option ko select karna hai.

now aapke smartphone me successfully guest mode enable ho jayeda aur fir isme aap apne google account ko bhi add kar sakte hai.

Guest Mode Ko Disable Kaise Kare

Bhut se log apne phone me guest mode ko enable to kar lete hai lekin unko nahi pata hota hai ki isse off kaise karna hai issliye how to disable guest mode in android mobile essa likhkar search karne lagte hai. lekin yaha par me aapko puri guest mode ki full information share kar raha hu to usko disable karne ke bare me bhi batauga. aur almost sabhi phone me same method hi work karega.

  • apne mobile ke notification ko pull down kare fir yaha par aapko bhut se icons jaise wifi, mobile data, flashlight etc show honge aur right side me uper aapko avatar icon show hoga uspar 2 times click kare.
  • fir removed guest wala option hoga uspar click karde.

iss tarah friends aap easily apne android phone me guest user ko add aur removed kar sakte hai. isske alawa aap apne phone me or bhi user add kar sakte hai. user ke bare me agar aapko saral sabdo me bataya jaye to ek phone me alag alag user banakar aap apne ek hi phone ko multiple phone ki tarah use kar sakte hai

iske bare me puri jankari me aapko apni agli post me bataunga us post ki notification email par prapt karne ke liye humari site ko subscribe kar sakte hai

Conclusion

friends kisi bhi mobile me guest mode kaise enable kare, guest mode kaise hataye ye ab aap seekh hi honge ye jankari agar aapko useful lagi aur aapke liye helpful rahi to isse apne other friends ke sath me social media site par share jarur kare aur essi aur bhi android tricks se related post read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here