Hindi Hinglish konsi Language me Blogging karna best Hai ? OR Kyo ?

16
hindi hinglish konsi language me blogging karna best hai or kyo full detail

Hii friends Hindi Hinglish konsi language me blogging karna best hai or kyo ? ye aaj me apko iss article me batane wala hu. Dosto agar aap blogger hai or hindi ya hinglish language me post likhte hai aur apni website par traffic badhana chahate hai to ye post aapke hi liye hai. 

Hinglish language kya hai ?

Contents

Friends hindi ke bare me aap jante hi honge ki hindi kya hoti hai. Niche aap isska example bhi dekh sakte hai

Ex- рд╣рдорд╛рд░реА рд╕рд╛рдЗрдЯ рдХрд╛ рдирд╛рдо рдЖрд▓ рд╣рд┐рдиреНрджреА рд╣реЗрд▓реНрдк рд╣реИ

Ye pura sentence maine hindi me likha hai ab me aapko higlish ke bare me batata hu seede sabdo me hindi + english se jo language create hui hai usse hi hinglish bolte hai means ye koi official language nahi hai. Or ye kisi bhi form me aapko nahi milegi.

Yani aap kahi par bhi account banate hai to waha aapko language option me bhut si languages dikhti hai jaise hindi english gujrati marathi etc lekin waha aapko hinglish wala koi option nahi dikhta. Lekin apko jankar bhut hairani hogi.

jo post ya article facebook ya other site par aap read karte hai unmese 98% hinglish language me hota hai. or isska example aap niche dekh sakte hai.

Ex Humari site ka name AllHindiHelp hai.

Ye tha hinglish language ka example or me jis language me likh raha hu vo bhi hinglish hai yani or aap yaha jo article read kar rahe vo bhi issi bhasa me likha hua hai.

Blogging ke Liye Hindi ya Hinglish best language konsi hai or kyo ?

Aap agar blogger hai to aap soch rahe honge ki hum kis language me blogging kare yani kis language me article likhe.

Agar aap newbies blogger hai or aap blogging ki starting hindi ya hinglish se karna chahate hai to me aapko hindi choose karne ke liye bolunga ye me issliye nahi bol raha kyoki mera blog hinglish me hai

ye me aapko issliye bol raha hu kyoki hindi language official language hai jabki hinglish ka future nahi hai Essa bhut se blogger bol rahe hai lekin yaha me apko dono language ki sacchi batunga. Jisse aap apne blog ke liye right language choose kar payoge.

Hindi Hinglish blogging konsi language me karna best hai or Q

Yaha me aapko kuch reason bata raha jinse aap jan jayege ki hindi hinglish dono language me se konsi best hai.

The Truth of Hindi Hinglish Language ?

1. Seo search engine optimization

Jan bloging ki baat aati hai to SEO ka name aa hi jata or ye jaruri bhi hai nahi aap apne blog ko search me nahi dikha sakte. Seo me 3 chije Post title permalink or description aata hai. Ye aapko pata hi hoga. Lekin mere according hindi language ka seo karna thoda difficult hai. Jabki higlish language me aap asani se seo kar sakte hai.

Ex ke liye aap agar puri tarah hindi me post karte hai to aapki post google search me rank nahi kar payegi. Kyoki hindii wali post me bhi aapko english me keyword use karna hota hai or ye un blogger ke liye bhut difficult ho jata hai jo ki blogging me new hai or unhe seo ke bare me kuch pata nahi hai.

Issliye hindi language me post ko seo friendly banana difficult hai jabki hinglish me aap asani se post ko seo friendly bana sakte hai kyoki aap pure word hinglish me likhte hai to unmese se ek se do word keyword ban hi jate hai

2. Easy writing

Blogging me post likhna hota hai ye aapko pata hi honga lekin aap mese jaydatar log hinglish me hi type karte honge mere according 100 mese 90% log higlish me hi typing karte hai ya kahi bhi issi bhasa me hi likhte hai bhut hi kam log hai jo hindi me typing karte hai yaha me social media ki baat kar raha hu aapme bhut se jo social media par chat higlish me hi karte hoge kyoki isme likhna easy hai jabhi hinde me likhna bhut muskil hai.

Bhut se log google input tool ka use karke hindi me likhne ka try karte hai. lekin aap isse bhi easily nahi likh sakte kyoki hindi me kabhi kabhi english word ka bhi use karna hota hai or usme bhut time lag jata hai koi post likhne me issliye writing ke mamle me bhi hindi hinglish mese Hinglish hi best hai

3. Official language

Friends maine aapko jaisa ki Uper hi bata diya ki higlish koi official language nahi hai or na kisi form me isska use hota hai. Or bhut se logo ko to pata hi nahi ki higlish kya hai. Issliye yaha kahna galat nahi hoga ki hinglish language ka koi future nahi hai.

kyoki google apne update karta ja raha hai or ussme me jaydatar hindi ko popular banane ke liye update kiye ja rahe hai jaise aap kuch bhi hinglish me apne mobile browser me search karte hai to waha right me aapko usske hindi ke result bhi dikhte hai.

4. User/visitor  friendly language 

Ab hum baat karte hai user ki yani aapke blog reader hai unko konsi language pasand hai maine dekha hai india me 100% se 90% log hindi me likha content read karna pasand karte hai wahi us or pakistan ke jaydatar logo ko hindi language samajh me nahi aati or Vo usse read nahi kar pate hai

issliye aap agar other country ko target karke blogging karna chahate hai to aap agar other hinglish me blogging kar sakte hai. or aap India ko target karke blogging karna chahate hai to fir hindi hi best rahegi..

5. Future hindi & hinglish

Hindi ka future mujhe bright dikh raha hai wahi hi dusri taraf hinglish ka future mujhe darkness me lag raha hai aapne agar notice kiya ho to aapko pata hoga ki internet par lakho website hinglish me hai and obesily meri website bhi issi language me hai lekin aap ye nahi jante hoge hum jo hinglish me website bana rahe hai usse google hindi hi samajhta hai.

Or jab tak google humari website ko hindi samajh raha hai tab tak theek hai and usske baad agar vo usse hindi nahi samjhega to humari website ka future danger me aa sakta hai. Vaise google humari hinglish website ko delete to nahi kar sakta lekin vo jab bhi update karega to isse humari site ki search ranking par effect jarur padega.

Important- friends ye hindi Hinglish language mese maine aapko dono bhasa ke bare me full detail me batane ka try kiya hai.

Aage aapki marzi ki aap konsi language me blogging karte ho and maine yaha hinglish ke bare me aapko jo baate batai hai vo aap se sayad bhut se blogger ko buri lag sakti hai lekin ye sabhi baate sahi hai.

Or bhut se blogger soch rahe honge ki me khud hinglish me post likhkar isko hi bura kaise bol sakta hu to me aapko batana chahunga ki me issko bura nahi bol raha hu.

And maine jab blogging start ki thi to issi bhasa me  hi start ki issliye aage bhi  me hinglish me hi blogging karunga. And aap bhi agar old blogger hai jo hinglish me blogging kar rahe hai to aapko bhi aage issi bhasa me blogging karne ke liye suggest karunga.

lekin aap agar new hai or apna naya blog start karne ke bare me soch rahe ho to aap hindi se hi starting kar sakte ho.

Friends hindi hinglish language blogging ke liye konsi language best hai wali ye post aapko acchi lage to isse apne dosto ke sath social media site par share jarur kare or aapko iss post me kuch samjh na aaya ho to comment me jarur bataye or essi or bhi post read karne ke liye humari site par visit karte rahe..

16 COMMENTS

  1. Sir Aapke Web Ka New Look Bahut Hi Badhiya Hai ! SIr Kya Aap Meri Web Bana Denge Me Bhi Ek Blog Banana Chahti Hu Par Janakri iKe avhaav me nahi bana paaa rahi hu ! Sir Aapke Blog Ko Me Daily Read Karti Hu or Bahut Kuch Yaha Se Mene Sikhaa ! pls Help Me AllHindihelp !!

    your Site New Loook Very Good ! New Web Disigne Kaise Kare ??? Pls Tell Me and aapne jo hindi or hinglish language me blogging karne wali post ki hai vo bhi mujhe bhut acchi lagi.

    • thanks for your valuable comment aapko hindi hinglish konsi language me blogging kare wali post acchi lagi bhut acchi baat hai and aapko humari site ka look accha laga usske liye fir se thanks or aap huamri site ki tarah apni website banana chahati to aap starting blogger se kar sakti hai isske liye humari site blogging se related post read kar sakti hai.

    • Thanks Mukesh ji aapko hindi and hinglish langauge mese blogging ke konsi best hai wali ye post acchi lagi bhut acchi baat hai isse apne dosto ke sath social media site par share jarur kare.

  2. Congrats Manish Nice Post Really very helpful for Newbie Bloggers. рд╡реИрд╕реЗ рдореИрдВ рднреА рд╣рд╛рд▓ рдореЗрдВ рд╣реА Blogging рдХрд╛ рд╢реБрд░реБрдЖрдд рдХрд┐рдпрд╛ рд╣реВрдБ .рдЕрднреА рддрдХ рддреЛ рдореИрдВ Job рдХрд░ рд░рд╣рд╛ рдерд╛ . рдореЗрд░рд╛ рджреЛ Blog рд╣реИ. рдПрдХ Hindi рдореЗрдВ рджреВрд╕рд░рд╛ English рдореЗрдВ. рджреЛрд╕реНрддреЛрдВ рдореИрдВрдиреЗ рд╣рд┐рдВрджреА Blog рдкрд░ рдЯреЗрдХ рдЯреЙрдХ #GT_Talk рд╢реБрд░реВ рдХрд┐рдпрд╛ рд╣реИ. рдЖрдк рд╕рднреА Bloggers рд╕реЗ рдореЗрд░рд╛ рдЕрдиреБрд░реЛрдз рд╣реИ рдХреА рдЗрд╕ Talk Show рдореЗрдВ рд╣рд┐рд╕реНрд╕рд╛ рд▓реЗ. GT_Talk Show. Blog рдХреЗ Contact us рдмрдЯрди рдкрд░ рдХреНрд▓рд┐рдХ рдХрд░ рдЕрдкрдирд╛ Details Send рдХрд░реЗрдВ рддрд╛рдХрд┐ рд╣рдо #GT_Talk рдХреЛ рдФрд░ рдЖрдЧреЗ рдмреЭрд╛ рд╕рдХреЗ. Manish Jee рдЙрдореНрдореАрдж рдХрд░рддрд╛ рд╣реВрдБ . рдЖрдк рдЬрд░реВрд░ Contact рдХрд░реЗрдВрдЧреЗ.

  3. Bahut badiya or useful information de apne. Ye baat har hindi blogger ke mann mai aate hai. Apki is post ko padh kar un sabhi ka dout clear ho jayega

    • thanks neeraj ji for your valuable feedback yes sabhi hindi blogger blogging karne se pahle yahi sochte hai ki hindi me kare ya hinglish iss post ko read kar 90% bloggers ka doubt clear ho jayega.

    • thanks Hindi Hinglish kis langauge me blogging kare wala ye article read karke aapki problem solve ho gayi ye bhut acchi baat hai ab aap apni pasand se hindi ya hinglish kisi bhi language me blogging kar sakte hai

  4. Bhai aapki iss blog ki theme mujhe bahut achi lagi ….kya aap mujhe iss theme ka naam bata sakte hain…..ya fir url……ummid karta hu aap meri help jarur karenge..ЁЯЩВЁЯЩВ

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here