Instagram Par Kisi Ko Block or Unblock Kaise Kare ( 2 Tarike )

0
instagram par kisi ko block or unblock kaise kare in hindi

Hii Friends Instagram par kisi ko block kaise kare, instagram par kisi ko unblock kaise kare ye aap iss article me janege, agar aap internet user hai aur social media site ka use karte hai to aapko pata hi hoga ki instagram ek popular social networking app hai

jo hume bhut sare feature provide karta hai, instagram par aap photo, video share karne ke sath aur bhi bhut se kam se kaam jaise voice aur video call bhi kar sakte hai,

isspar aap new friend bana sakte hai aur kisi ko bhi follow kar sakte hai aur koi bhi aapko instagram par follow kar sakta hai, bhut se logo ko pata nahi hota hai ki instagram par hum kisi ko block kaise kar sakte hai, aur agar aapne kisi person ko block kar diya hai to usse unblock kaise kare ye bhi aap nahi jante hai to iss post me aapko issi ke bare me batane wala hu.

Instagram Par Kisi Ko Block Kyo Kare ?

Contents

agar aap instagram par apne friend ya kisi ko bhi block karna chahate hai to isske bhut se reason ho sakte hai jaise vo person aapko bar bar message karke paresan kar raha hai ya vo aapko continuously voice aur video call kar raha hai ya aapko us person se baat nahi karni hai etc jayedatar girls ko hi bhut se boys continuously message karte rahte hai

aur vo unka reply nahi karti hai fir bhi unko message send karte hai aur bad word ka use karne lagte hai issliye vo unko block kar deti hai esse hi aur bhi bhut se reason hote hai jinki wajah se hum apne friends ya kisi ko insatgram par block kar dete hai.

Instagram Par Kisi Ko Block Or Unblock Kaise Kare Step By Step Jane

agar aap bhi ab apne friend ya kisi ko instagram par block karna chahate hai aur aapko nahi pata hai ki instagram ke block feature ka kaise use karte hai to isske bare me hi me step by step batane wala hu, lekin usse pahle me aapko bata deta hu ki agar aap first time kisi ko block kar rahe hai to block karne se kya hota hai ye nahi jante honge to me aaapko batana chahunga ki aap jis person ko block karte hai

vo aapko koi message, image, video etc kuch bhi send karta hai to vo aapko show nahi hoti hai aur aapki jis person ko aap block kar dete hai vo aapki profile view nahi kar sakta vaise to isske bare me sabhi log jante hi hai lekin kuch log jo new hote hai unko isske bare me information nahi hoti hai. yaha par me aapko instagram par kisi ko block aur unblock karne ke 2 method batatane wala hu inmese jo bhi method aapko accha laga uska use kar sakte hai.

Instagram Par Kisi Ko Block Kaise Kare ? Method – 1

sabse pahle aapko apne mobile me instagram ka app open karna hoga fir aapko niche sabse last me profile wala ek icon show hoga uspar click karde.

fir yaha par aapko apne followers or following show hogi aap jis person ko block karna chate hai vo aapka friend hai to vo aapko following me show ho jayega

lekin aap agar aap esse person ko block karna chahate hai jo aapka friend nahi hai yani jisko aapne follow back nahi diya hai vo aapko followers me show hoga, followers par click kare.

fir aapko yaha par apne sabhi followers ki list dikhegi, inmese aap jis ko bhi block karna chahate hai uspar click karde.

than aap us person ki profile me pauch jayege fir aapko last me 3 dot show hogi unpar click kare fir aapko kuch option show honge unmese block wale option par click karde.

fir aapse ek bar or confirm karne ke liye bola jayega ki aap such me iss person ko block karna chahate hai aur aap essa karte hai jo vo person aapki profile ko find nahi kar payega, or aapko uski posts or story bhi show nahi hogi, block wale option par again click karde.

Now iss tarah aap easily kisi ko bhi instagram par block kar sakte hai.

instagram Par kisi Ko Unblock Kaise Kare –

jab aap kisi ko instagram par block kar denge to fir vo person aapse maafi mangta hai aur bolta hai ki esa nahi karega yani ki aapko bar bar message karke paresan nahi karega aur aap usko unblock karna chahate hai to isske liye aapko simple steps ko follow karna hoga.

aapne jis ko block kiya tha uski profile me firse jaye fir aapko waha pe uske followers aur following ke just niche unblock wala ek option show hoga,

aapko unblock wale option par click kar dena hai fir aapse ek bar or confirm karne ke liye pucha jayega ki aap such me us person ko unblock karna chahate hai aapko unblock par again click karke confirm kar dena hai.

iss tarah friends aap easily apne kisi ko bhi instagram par block se unblock kar sakte hai.

How To Block Or Unblock Someone On instagram Method -2

agar aapko first method ka use karne me problem ho rahi to yaha par me aapko ye second batane wala hu, isska use karke aap direct message se hi kisi ko instagram par block or unblock kar sakte hai,

because bhut se logo ke bhut sare followers hote hai to unmese unhe kisi bhi person ko find karne me bhut time lag jata hai issliye agar aap chahate hai ki koi aapko bar bar message karke paresan kar raha hai aur use wahi se block or unblock karna chahate hai to essa kar sakte hai.

sabse pahle apne phone me insta app ko open kare fir yaha aapko uper last me ek plane wala icon dikhega isspar click karde. yaha par aapko apne sabhi friends or sabhi logo ke message dikhege,

jis bhi person ko block karna chahate hai uspar click karde. fir aapko uske left side me sabse uper i icon show hoga us icon par click karde.

fir aapko whaa par bhut sare option jaise mute messages, mute video chat etc show honge unmese aapko sabse niche block account wale option par click kar dena hai,

Now vo person successfully blocked ho jayega

jab aap usko unblock karna chahte hai to firse aapko uske messages me jakar i option par click karna hai or fir aapko waha par unblock account wala option dikhega uspar click kar dena hai.

Instagram Par Block List Kaise Dekhe Or Check Kare ?

  • agar aap bhi check karna chahate hai ki aapne kin kin logo ko instagram par block kiya hai to easily check kar sakte hai, isske liye aapko niche bataye steps ko follow karna hoga,
  • instagram ko open karne ke bad profile icon par click kare fir aapko waha par uper 3 line show hogi unpar click karde.
  • aur fir aapko niche setting wala ek option dikega uspar click karde.
  • setting me jane ke baad aapko yaha par bhut sare option show honge inmese privacy wale option par click kare.
  • or fir yaha par blocked accounts wala ek option dikhega isspar click karde.
  • yaha par friends aapko un sabhi logo ki list show hogi jinko aapne block kiya hai.

iss tarah aap easily instagram par block list dekh sakte hai.

Important

dosto instagram par kisi ko block kaise kare in hindi, instagram par friends ko block or unblock kaise kiya jata hai ye aap seekh hi gaye honge ye jankari aapko kaisi lagi comment karke jarur bataye

aur ye post agar aapko acchi lagi aur aapke liye useful rahi to isse apne dusre friends ke sath me social media site par share jarur kare aur essi or bhi post daily read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here