Jio prime membership kaise activate join kare. Agar aap reliance jio user hai to aapko prime offer ke bare me pata hi hoga to me aapko bata deta hu, agar aap jio ki prime member ban jate hai to aapko bhut se recharge offer milte hai
Mukesh ambani ji jo ki reliance jio ke chairman hai unhone 28 february ko ek bhut bada elan kiya jissme happy new year offer ko extend karne ke liye prime membership offer diya gaya. Lekin ye offer free nahi hai isske liye aapko 99 rupee ka charge dena hoga and 149 se 399 har month data ke liye pay karna hoga.
vaise to abhi already jio sim me pahle se recharge ke sath me hi prime member bhi add ho jati hai. lekin agar aapke jio number par prime member activate nahi to iss post me bataye steps ko follow karke aap easily prime membership ko activate kara sakte hai.
- JioFi Wifi router kya hai ? or JioFi ko kaise setup kare – Full detail
- Kisi Bhi Sim Me Talk Time Loan Kaise Lete Hai
Jio Prime Membership Kya Hai Or Kyo Activate Kare ?
Agar aap prime membership join nahi karte hai to aap bhut se benefits ko loss kar denge matlab ki aapko yaha 10 rupee me daily ka 1gb data milega jo ki sayad abhi kisi bhi sim network jaise airtel vodafone idea etc me nahi mil raha hai. mujhe pata ki aap abhi happy new year offer se 1gb 4g data ka free me use kar rahe hai
lekin jaisa ki aapko pata hoga ki koi bhi chij jayeda din ke liye free nahi hoti hai issliye 1 April se aapko Jio ke data balance ka use karne ke liye pay karna hoga. jio ne apne traffic plan or premium membership ko ab launch kar diya hai. jio prime membership se aapko bhut se recharge offer milte hai jaise 149 rupee ke recharge me 28 days ke liye unlimited voice call aur unlimited data milta hai
aur 399 ke recharge offer me unlimited call aur data 90 days ke liye milta hai issi tarah jio phone user ko bhi 49 rupee me unlimited call aur 1gb data 28 days ke liye milta hai esse or bhi bhut se offers prime users ko milte hai
Jio Prime Membership Kaise Activate Kare Full Detail Hindi Me
Contents
Jaisa ki maine aapko bataya ki aaj se yani 1 March se jio ki prime membership launched ho gayi hai ab main aapko yaha 2 method batunga unmese kisi bhi 1 method ka use karke aap jio prime membership ko 99 rupee me activate kar sakte hai.
Jio Prime Member Kaise Bane Full Process in Hindi
First method-
- Sabse pahle agar aapne my jio app ko download nahi kiya to sabse pahle use download kare.
- Ab isse open kare or sign in with sim par click karde.
- Ab yaha jio prime option dikhega ( ye option aapko tabhi dekhega jab aapka app updated hoga yani aapne pahle se my jEo app download kar ralha hai to use update kare
- Ab aapko yaha 2 option dikhege unmese get JEO Prime par click karde.
- Ab aapko yaha 99 rupee wala plan dikhega uspar click karde.
- Ab aap yaha jis bhi paymemt option ko choose karna chahate hai vo select kare agar aap bank se payment karte hai to aapke bank account se 99 rupee charge kiye jayege or aap premium member ban jayege.
Second method –
1st method ka istemaal karke vo log kar sakte hai jinke pass apna 4G phone hai lekin sabhi logo ke pass apna 4G phone nahi hai issliye vo log jiofi router ka use kar rahe hai agar aap bhi unmese ek hai ya aap computer se isski offcial website se prime membership ko join karna chahate hai to iss tarike ko follow kare-
- Sabse pahle aapko isski official website par jana hai jispar direct aap yaha se ja sakte hai.
- Ab aapko yaha Quick pay par click karke niche drop down me Recharge par click karna hai.
- Ab yaha aapko apna number ya email id dalna dalna hai.
- or submit par click karde.
- AB prime par click kare yaha aapko 99 rupee wala banner dikhega Recharge par click karde.
Ab yaha aapse payment ke liye pucha jayega ab apne bank se ya kisi bhi method se 99 rupee pay karde and fir aap jio prime offer ke member ban jayege.
- Airtel myjackpot free 5GB internet data kaise received kare ya Paye hindi me jane
- Kisi Ke Bhi Phone Par Kisi Ke Bhi Number Se Call kaise kare – Latest trick
Friends iss tarah aap assni jio prime membership ko activate ya join kar sakte hai ye jankari aapko acchi lage to isse apne dosto ke sath bhi share or issse related koi question hai to comment me jarur bataye..