Jio Slow Internet Speed Ko Fast Kaise Kare Working Trick 2018

4
jio slow internet speed ko fast kaise kare in hindi

Jio Ki Internet Speed Kaise Badhaye, Jio Sim Ki Downloading Speed Ko Kaise Badhate Hai, Reliance Jio Sim Me Net Speed Kaise Badhaye, Jio Slow Internet Speed Ko Fast Kaise Karte Hai. Dosto agar aap reliance user hai to apni sim ki speed ko badhana ya increase karna chahate hai to aaj me aapko issi ke bare me batane wala hu.

Jio sim user ki sankhya ab millions me hai lekin bhut se user ko yahi problem rahti Hai ki kabhi kabhi unhe slow speed milti Hai agar aapki Bhi yahi problem Hai to uska solution aaj iss post me aapko mil jayega.

Aaj kal Almost sabhi log jinke pass 4g mobile hai unke mobile me ek sim card jio ka rahta hai kyoki Isske recharge plan ka price bhut kam hai or issme hume festival par new recharge offer and cashback offer bhi milte hai.

Jio Sim Ki Internet Speed Slow Kyo Hoti Hai ?

Contents

Jio Slow internet hone ka main reason hai jEo users ki sankhya ka badhna hi hai jaisa ki aap jante hi honge ki reliance user ki sankhya badhti ja rahi hai but bhut se logo ko slow internet speed mil rahi Hai. Ye issliye kyoki kuch city me jio tower ki kami Hai jis wajah se Hume net speed but Kam milti Hai

agar aapki city me jEo ka internet bhut slow Hai Aur aap ussko fast karna ya badhana chahate Hai to aaj me issi ke bare me batane Wala hu. Isske alawa ek Aur reason ye rahta Hai ki aapka jio plan expired ho gaya ho Aur aapne new plan nahi buy kiya ho to aapki sim ki internet speed slow ho jati Hai.

Jio Sim Ki Internet Speed Kaise Badhaye Full Detail

Jio slow internet speed ko fast karne ki bhut si tricks Hai but unmese kuch hi trick work karti Hai Aur jayedatar work nahi karti but me aapko iss post me Jo trick batane Wala hu wo 100% working Hai. And abhi aapki sim ki net speed 40 KBPS se 60 KBPS Hai to vo badhkar 500 KBPS se 5 MBPS ya isse Aur Bhi jayeda ho jayegi.

Jio Slow Internet Speed Ko Fast Kaise Karte Hai ?

Dosto agar aap Bhi ab apni reliance Jio sim ki net speed ko fast kanna chahate Hai to yaha me aapko 1 way batane Wala hu jisska use karke aap apni sim ke net ko boost Kar payege yani badha payege. Aur isske liye aapko kisi Bhi app ya VPN ka use nahi karna hoga aapko only apne mobile ki net setting me kuch changes karne honge.

Jio Ki Net Speed Kaise Badhaye Working Trick 2018

tap-on-sim-card-and-network-and-jio-4g

  • Sabse pahle apne mobile ki setting me Jaye ab yaha aapko sim card and mohile network ka ek option dikhega uspar click kare Aur fir yaha aapko apne sim cards dikhege inmese jEo par click karde.

Note – agar aapke mobile me sim card option me network setting nahi Hai to aapko setting me Jane ke baad more ka option dikhega uspar click karde Aur for waha cellular network option show hoga isspar click karde. Aur fir aapko jEo sim par click Kar Dena Hai.

tap-on-access-point-name

  • Ab aapko yaha access point name ka ek option dikhega isspar click karde.

jio-net-speed-fast-trick-2018

  • Ab yaha par pahle se ek apn dikhega isspar click karde. Ab aapko iss apn setting me kuch changes karne Yani edit karna isske liye niche bataye instruction ko follow kare.

jio-sim-ki-net-speed-badhane-ka-tarika

  • Name par click karke Aur AllHindihelp likhkar ok karde, APN par click kare Aur Issme jionet likhe Aur ok par click karde. Jaisa ki uper screenshot me dikh raha Hai.

jio-ki-internet-speed-badhaye-step-2

  • Ab yaha niche scroll Kare yaha aapko MCC option dikhega isspar click kare Aur yaha 405 likhe. AUR APN type me default likhe. Apn protocol option dikgega isspar click kare Aur yaha par 3rd Wala option IPv4/IPv6 par click karke select karde.

tap-on-more-and-save

  • Ab ye sabhi changes karne ke baad more par click kare Aur save par click karde. Ab apne phone ko restart ya reboot karle.

Congrats ab aapki jio slow internet speed fast ho jayegi Aur agar aapko Pahle 40kbps se 50kbps ki speed mil rahi thi to vo badkar ab  MBPS se 5 MBPS ho jayegi.

Important – friends Maine aapko apne mobile ki apn setting me Jo Jo changes karne ke liye bola Hai aap only vohi changes Kare and isske awala or option me pahle se not set likha hoga to un sabhi option me aapko koi Bhi changes nahi karna Hai

sirf Maine Jin option ko edit karne ke liye bola Hai unhi ko edit Kare and agar aap apne hisab APN setting me sabhi option ko edit ya unme changes Karte Hai to ho sakta Hai ki aapka internet hi na chale issliye in sabhi steps ko bilkul sahi sahi follow kare.

Dosto How To Increase Jio sim internet speed In hindi, Jio ki Speed Kaise Badhaye, Jio Ki Net Speed Badhane Ka Tarika, Jio Slow Internet Speed Fast Trick 2018 in Hindi ye ab aap seekh hi Gaye and agar aapke ye liye trick useful rahe to isse apne friends ke sath share jarur kare.

4 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here