Jio Wifi Calling Kya Hai Or Kaise Use Kare ( Android & Iphone )

0
jio wifi calling kya hai aur kaise use kare

Hii friends Jio Wifi Calling Kaise Use Kare, Jio Wifi Calling Kya Hai In Hindi ye aap iss post me janege. Dosto jio apne user ke liye new new offer late rahta hai pahle issne apne jiofi broadband launch kiye fir isske jio phone aaye aur abhi jio apne user ke liye wifi calling ki facility bhi provide kar raha hai

lekin kya aap jante hai ki wifi calling kya hota hai ya kaise isska use kiya jata agar nahi to ye aapko iss post me issi ke bare me batane wala hu. lekin usse pahle agar aap ye soch rahe hai ki wifi calling ko abhi only jio sim me use kar sakte hai to essa nahi hai, aap airtel sim me bhi isska use kar sakte hai.

Jio Wifi Calling Kya Hai ? in Hindi

Contents

jio ne apne user ke liye wifi calling service launch kar di hai jiska use karke aap india me kahi bhi wi-fi connection ka use karke free me call kar sakte hai , kabhi kabhi hum essi jagah par hote hai

jaha par humari sim me network nahi aate hai to agar aapko kisi ko urgent call karni hai to fir aap nahi kar pate hai lekin abhi aapko essi problem face nahi karni hogi kyoki agar aapki sim me network nahi bhi aa raha hai to bhi aap jio wifi callling ke jariye kisi ko call kar sakte hai

saral sabdo me kaha jaye to wifi calling ka use karke aap apne sim me network na hone par bhi kisi ko call kar sakte hai aur isska charge bhi nahi lagta hai matlab jaisa ki abhi aap jante hi honge pahle hume jio me free calling milti thi lekin abhi isske liye hume recharge vouchers buy karne hote hai,

lekin ab aap jio wifi calling ka use karke firse free calling kar sakte hai aur isske liye koi bhi extra charge nahi dena hoga na hi iss calling ke duran aapka recharge vouchers apply nahi hoga, wifi calling karne ke liye aapko apne phone ko wifi se connect karna hoga

chahe aap kisi ke bhi wi-fi se connect kare fir aap apne sim me network na hone ke baad bhi call kar payege. wifi calling aapko apne exiting jio phone number ka use karke wifi network par call karne aur prapt karne ki permission deta hai ye aapke network coverage ko extend karte hai aur aapko connected rakhta hai. isska use karke aap voice or video call dono kat sakte hai.

Jio Wifi Calling Ka Use Kaise Kare ?

jio wifi calling ko aap apne android or iphone dono hi device me use kar sakte hai aur isske liye aapko only kuch simple steps ko follow karna hota hai.

  • sabse pahle aapko apne phone ko kisi bhi wifi network se connect kar lena hai ( example ke liye agar aapke pass koi dusra phone hai to usme aapko hotspot enable karna hai aur apne phone me wifi ko enable karke us hostpot se connect kar lena hai )
  • fir aapko apne phone ki setting me jana hai waha par aapko wi-fi wala ek option show hoga uspar click kare aur fir waha par aapko wi-fi calling name se ek option show agar vo off hai to usse on kar dena hai.
  • fir aapko apne phone call icon ke sath me wifi ka icon bhi show hoga iss tarah aap voice over WLAN ka use kar saket hai.
  • ye tarika android user ke liye bataya gaya hai aur agar aap iphone user hai to aap bhi issi tarah kuch simple steps se jio wifi calling ko enable kar sakte hai.

Jio Wifi Calling Kaise Kare ( Iphone Se )

  • sabse pahle aapko apne iphone ki setting me jana hoga fir aapko phone wala option show hoga uspar click karde.
  • fir yaha par aapko bhut sare option call forwarding, call waiting etc show honge inmese wifi calling wale option par click kare.
  • now wi-fi calling on this phone ke aage wale icon par click karke isse enable karde.

iss tarah friends aap in simple steps ka use karke apne android or iphone kisi bhi device me wifi calling ko enable kar sakte hai.

Jio Wifi Calling Ke Fayde ( Benefits ) –

  1. isska use karke aap stable and clearness calls kar sakte hai matlab wifi par crystals clear voice and video call kar sakte hai.
  2. india me kahi bhi call kar sakte hai jis bhi jagah par wifi ki facility hai waha se aap india me kahi bhi call kar payege.
  3. network dark spot ke mamle me ye aapko humesa connected rakha hai.
  4. jaisa ki maine bataya ki ye sabhi wi-fi network par work karta hai aapko sirf usse connect karna hota hai.
  5. jio wi-fi calling ka sabse bada fayda ye hai ye bilkul free hai aur isske liye aapko kisi bhi prakar ka koi charge nahi dena hota hai aur isske jariye aap voice aur video call kar sakte hai.

Jio Wifi Calling Compatible Handsets –

vaise to labhag sabhi smartphone me jio wifi calling ka use kiya ja sakta lekin agar aapko janna hai ki aapka handstes jio wifi calling ke liye compatible hai ya nahi to isske bare me bhi jio ki website me bataya gaya hai isske liye aapko niche button par click karna hai.

fir aapko yaha par niche scroll karne par compatible handsets wala ek option show hoga yaha par aapko brand me apne phone select karna hai jaise aapka phone vivo, oppo, micromax, samsung, apple, google etc koi bhi ho yaha par brand me select kare.

or fir model me aapko phone ka model select karna hai. ( example ke liye aap agar yaha par brand me apple select karte hai to model me aapko batana hoga ki aapke pass apple ka konsa model hai yaha par aapko iphone 11, iphone 11 pro, iphone x, iphone 6s etc option dikhege waha se aap isse select kar saket hai.

Brand aur model select karne ke baad aapko bata diya jayega ki aapka handsets wi-fi calling ko support karta hai ya nahi.

Conclusion –

Dosto jio wifi calling kya hai, jio se wifi call kaise kare in hindi ye ab aap seekh hi gaye honge ye jankari aapko agar acchi lagi to isse apne other friends ke sath me social media site par share jarur kare aur aapko iss post se related ya other post se related koi question hai to comment karke jarur bataye aur essi or bhi post daily read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here