Hello friends JioFi Kya Hai or JioFi routerko kaise setup kare ye main aapko iss article me batunga. Friends Jio sim ke bare me to aap sabhi log jante hi honge. Aaj kal sabhi log apne 4G smartphone me reliance Jio ka happy new year offer use kar rahe hai.
And free unlimited data or unlimited calling ka labh utha rahe hai. Reliance Jio sim ko aap kewal 4G smartphone me hi use kar sakte hai and computer me aap 4G net-setter me isse use kar sakte hai. Lekin ab aap JioFi router ki help se apne 2G or 3G phone me bhi Jio sim ka labh utha sakege. agar aapke pass bhi 3g ya 3g phone hai aap usme jio sim se net chalana chahate hai to iss post me aapko issi ka tarika batane wala hu ki kaise aap apne kisi bhi smartphone me reliance jio sim ka use kar sakte hai.
JioFi Kya Hai ? What is JIOFI Wifi Router ? in hindi
Contents
Ye ek wireless router hai jo or sabhi router se bhut chota hai. jisse aap kahi bhi apne sath apne pocket(jeb) me rakhkar le ja sakte hai. Isse aap hotspot bhi bol sakte hai jisse aap apne sabhi device jaise android phone ipad iphone computer laptop sabhi connect kar sakte hai
or sabhi me free internet use kar sakte hai. JioFi me aap Jio ka sim dalkar unlimited free internet ka labh utha sakte hai.
JioFi me aap ek sath 5 ya 6 nahi balki apne 10 device ko connect kar sakte hai jo ki bhut acchi baat hai kyoki sabhi logo ke pass apne khudke hi 3 phone hote hai aur laptop, computer, tablet, ipad etc yani jayda se jayda devices hi hote hai. JioFi ka official price 1999 rupee hai.
- Aadhar card me Mobile Phone number kaise add Ya Update kare ? in hindi
- Paytm se blocked account ko unblock kaise kare – 2 methods
JioFi Wifi Router Ke Features In Hindi-
1.Isska sabse accha feature ye hai ki aap isse kahi bhi le ja sakte hai JioFi ek mini wifi router hai jisska size itna chota hai ki aap isse apne pocket me bhi rakh sakte hai.
2.Issme aapko 2300 mah ki battery life milti hai jisse aap asani se 6-8 hours tak 4G internet ka labh utha sakte hai.
3.JioFi se aap 1 sath apne 10 device me internet use kar sakte hai. Issme aap apne kisi bhi device android ipad iphone laptop pc etc me connect kar sakte hai.
4.Iss JioFi router se aap apne 2g mobile or 3g mobile phone me bhi Jio sim use karke internet chala sakte hai.
5.JioFi se aap apne 2g ya 3g mobile se free calling bhi kar sakte hai. isske liye aapko Jio voice app download karna hoga.
Jio Wifi Router Kaha Se Buy Kare Ya Kharide ?
JioFi wifi router ko aap apne nazadiki reliance digital store se purchase kar sakte hai ya kharid sakte the. Lekin ab ye online e- commerce site par bhi aa gaya hai ab aap isse online e- commerce shopping site jaise snapdeal flipkart amazon se bhi buy kar sakte hai.
or isske aapko 3 ya 4 version mil rahe hai jinme se aap kisi bhi version ka use kar sakte hai. Agar aap reliance digital shop se ye router buy karte hai to aapko passport size photo and jaruri document adhar card etc dena hoga or sath me aapko Jio sim bhi free milega.
Lekin online book karne par aapko koi document nahi dena hoga or aapko Jio sim card nahi milega. Only JioFi router hi milega.
JioFi Router Ko Kaise Setup Kare ?
JioFi abhi 4 version available hai lekin unhe setup karne ka tarika jayda different nahi hai aap asani se mere bataye steps ko follow karne apne kisi bhi version kle router ko asani se setup kar sakte hai.
How to setup JioFi wifi router in hindi-
- Sabse pahle apne Jio wireless router ka backup cover yani piche ka cover nikale. or battery bhi nikal de.
- Ab aapko issme username SSID or pwd dikenga pwd means password. SSID or pwd yani password ko aap kahi par likh le kyoki JioFi ko setup karne ke liye inki jarurat padegi.
-
- Ab aapko Jio ka activate sim card dalna hai agar aapne reliance digital store se router liye hai to aapko sim mila hoga nahi to fir aap market se bhi reliance Jio sim laker issms use kar sKte hai. Issme aapko memory card ka slot bhi milta hai jiski storage 32 gb tak hai yani aap issme 4g ya 8g hi nahi balki apna 32gb ka memory card bhi daal sakte hai.Sim insert karne ke baad battery insert karde. or backup cover ko close yani band karde.
- Ab aapko samne power button dikhega us power button par click karna hai or aapka JioFi router start ho jayega yaha aapko signal data connection battery ke option dikhege agar battery 50% se kam hai to aap use charge karke.
- Now aapka JioFi router puri tarah se setup ho chuka hai ab aap apne mobile me wifi on karle or wireless setting ms jaker aapne jo SSID or password copy kiye the vo dale or aapka mobile JioFi se connect ho jayega. Or aap Jio se free internet use kar payege .
Iss tarah friends aap asani se JioFi router ko setup kar sakte hai. or apne 2g or 3g phone me bhi Jio sim use kar sakte hai.
Last words-
friends agar aap apne ghar par internet broadband lagane ki soch rahe hai to main aapko JioFi router buy karne ke liye suggest katunga kyoki issme aapko happy new year offer me free internet data milega vo bhi 31 march tak or aap asani se iss device ka use karke apne kisi bhi mobile or laptop pc me free internet ka labh utha sakege.
I hope friends aapko ye post accha laga isse apne dosto ke sath social networking site par jarur share kare or aapko iss article me kuch samajh me na aaya ho to comment karke jarur bataye or essi or bhi post read karne ke liye abhi allhindihelp site ko subscribe kare or latest post update ki info apne email par received
Hello sir
kya hum jiofi se keval net hi chala sakte hai,ya fir
cal v kar sakte hai
please bataye kya hum jiofi se cal v kar sakte hai apne 3g phone se
please bataye sir
yes aap jiofi router se call bhi kar sakte hai isske liye aapko apne phone me jio voice call app download karna hoga..
Pc me ise kaise canect kare step by step bataye sir
pc me bhi same step hai. aapko iss post me bataye instruction ko follow karke jiofi ki setting karna hai or fir apne computer me wifi on kare waha jiofi ka single aa jayega and usse connect karle or agar signal na aaye to aap jio router wali website jiska link address user manual me rahta hai waha jaker apne jiofi username and password se login kare or wifi ko enable karke apply par click karde..
Post accha laga
thanks aapko jiofi wali post acchi lagi bhut acchi baat hai esse or bhi technology se related post ke liye humari site ko visit karte rahe.
Sir mene abhi – abhi Jiofi buy kiya he . mene 2 days , acche se jiofi se net bhi use kiya he ,
Lekin ab me JioFi on kar raha hu or . mobile par WiFi on kar raha hu to mujhe status bar par notification aaraha he ki ” sign into Wi-Fi network ”
Or net nahi chal pa raha he , me kya karu
aap apne jis mobile se jiofi ka use karke net chala rahe ho aapko usske wifi network se sign karna hoga, jiofi router ke andar ssid or password likha rahta hai aap unka use karke apne mobile ki wifi setting me jaker mobile ko router se connect kar sakte ho
Sir. To me JioFi ke network se apne mobile me sign in kese karu , detail me batayye Plz. …. .
Mene sign in to wiFi network ke notification par click karke sign in ki kossis bhi ki ,
To recaharg prepaid , or Recharge postpaid ka option aaraha he ,
Aap Plz stamp by sikhaye ..
Thenkyou
aap jiofi router ko open karke ussme se sim card nikalkar dubara dalkar dekhe yani aapne pahle se sabhi setting kar rakhi hai to aapka jiofi router pahle ki tarah hi work karne lagega
Or mene Wi-Fi to connecte kar liya he Lekin kuch bhi search nahi ho paraha he , sivay sign in to WiFi network ke bas isi notification par click karne par search hora he , other me agar me Google ko open karta hu to Google bhi open nahi ho paraha he kuch bhi search nahi ho pa raha he
aap apne jiofi router se sim insert karke dubara dalkar dekho and iss post me bataye instruction ko follow kare thanks.
Mere JioFi me already Jio ki sim lagi hui he or uska net pack fhinish hogya he ,
To dusri Jio sim me net pack he to kya me usme dusri Jio ki sim lagasakta hu
yes aap apni kisi bhi jio sim ko jiofi router me use kar sakte ho 🙂
Hello sir mere pas jio fi hain .Jo jio4gvoice apps verification massage kis number aata hain .please sir bataiye
sabse pahle apne phone ko jiofi se connect kare or apne 3g phone me my jio app downlaod kare fir sign in with sim ke option par click kar my jio app me sign kare. fir jio 4g voice apps ko download kare automatically verification ho jayega
sir jio fi ka password kaise change karenge Android phone se.
jiofi ka password change karne ki jiofi ki site par jana hoga or uski site ki link aapko jiofi router ke box me mil jayegi.
sir jio fi lene ke baad usme kuch karna padta hai kya plz detail me bataiye
jiofi lene ke baad aapko usse setup karna hota hai jisski detail maine already iss post me share kar rakhi hai iss post me bataye step ko follow kar aap asani se apne jiofi router ki setting kar sakte hai isske alawa aapko or kuch nahi karna hai.
D link ka use kiss liye karte hai aur kaise plese batiye mujko
d link use karke aap apne pc me internet chala sakte hai ye wifi broadband hi hota hai.
Sir mai jiofi me memory card to laga de rha hu par uska use karna mujhe samjh me nhi aa rha hai..
Sir pls bataiye ki mai memory card ka jiofi me use Kaise karu..
Good question jiofi me aap aap memory card lagakar or wifi ka use karke apne kisi bhi andorid phone se usse use kar sakte hai isski detail me aapko yaha comment me batunga to aapko samajh me nahi aayega issliye aap thoda wait kare isski full detail with images me 1 -2 days me post karunga and us post ki notification apne email par received karne ke liye aap humari site ko subscribe kar sakte hai.
hlo sir hum ye pata karna cahate he ki mere jiofi me kitna device connect he but keise kare
jiofi se kitne device connect hai ye aap easily pata kar sakte hai isske liye aapko jiofi ki site par jakar apne account me login karna hoga waha aap jiofi se conenct device ko dekh sakte hai
thanks sir
sir jb hum username and password de rhe he to wrong bata rha he iska matlb kya he
username and password sahi nahi enter kiye sayad aapne sahi username and password enter kare.
Kya mobile mobile me jitna speed dega utna hi usame bhi dega ya jyada
jiofi se aapko utni hi speed milegi jitni ki aapko kisi wifi se apna mobile connect karne par milti hai yani aapke internet data se jayeda speed hogi jaise 1mb se 2 mbps ho sakti hai ye aapke mobile phone par depend karta hai.
sir maine jiofi3 ko login krne ke baad wps ko disable kr diya to fir dobara kaise connect kr sakta hu
plz help me
enable karne ka bhi option hota hai uspar click karke enable kar sakte ho and jiofi router me power button press karke on karne ke baad wps button par press kare and fir fir apne phone ka wifi on kare or advanced setting me jakar wps push button par click karde essa kar aap easily jiofi se apne mobile phone ko connect kar sakte hai.
Sir kya hum Mobile pr cnect krke hum call kr skty h jio sey….
yes isske liye jio voice call app ko download karna hoga.
Sir kya hum Mobile pr cnect krke hum free voice call kr skty h jio sey….
yes jio calling app ka use karke jiofi se calling kar sakte ho.