Hii Friends Facebook Whatsapp Par Location Share Kaise Kare Ya Facebook WhatsApp Par Current location Kaise Send Kare ye aaj me aapko iss article me batane wala hu. Dosto aap Facebook ya WhatsApp user hai to bhut se log aapse chat karte time aapse aapki real time locations magte honge
vaise agar aap unhe nahi batana chahate hai to uske bare me maine already bataya hua ki aap WhatsApp Par fake Location Kaise Send kar sakte hai but aapko kisi ko apni sahi Aur live location share karna hai to aaj me aapko issi ke bare me batane wala hu.
- Wi-Fi Direct Kya Hai ? Aur Wifi Direct Se Files Share (Transfer) Kaise Kare
- 5 Social Chat & Messaging Apps Jo Sabhi Smartphone Me Honi Chahiye
Contents
Agar aap kisi place par hai Aur koi aapse puchta hai ki aap kha hai or aap usse us jagah ke bare me batate hai but us place me vo aapko find nahi kar pata hai kyoki us jagah par bhut log hai ya place hi jayeda bada hai to esse aap me aap usse apni location de sakte hai isse vo person aapko easily find kar payega. Lagbhag sabhi log facebook and whatsapp use karte hai to aap unhe facebook ya whatsapp par apni live locations share kar sakte hai.
Dosto vaise to location share karne wali bhut hi Apps google play store par available hai jinka use karke aap apni location apne friends ke sath ya kisi ke sath bhi share kar sakte hai but unmese jayedatar work nahi karti hai issliye aaj me aapko koi dusri nahi balk google ki essi app ke bare me batane wala hu
jisska use aap mse bhut se log karte honge and ye aapke phone me bhi pre-installed hogi iss app ka name hai google maps yes aapne sahi suna aap google maps ke dwara apni live location share bhi kar sakte hai.
Maximum people jante hai ki google maps me hum apni locations dekh sakte hai but bhut hi kam logo ko pata hota hai ki hum usko kisi ke sath share bhi kar sakte hain.
Dosto sabse pahle agar aapke phone me google maps nahi hai to aap usse google play store se download kar sakte hai ya usse direct download karna hai to niche button par click kare Aur aapke phone me agar google maps pre- installed yani pahle se install hai to usse update karle kyoki ye location sharing new update me hi mil raha hai.
- Ab google maps open kare yaha aapko apni locations dikh jayegi. Agar nahi dikhti hai to aap go ke uper wali icon par click kare jaisa ki screenshot me dikh raha hai.
Note – aapki locations tabhi show hogi jab aapke phone me GPS hoga agar aapke mobile me gps nahi to usme location bhi nahi dikhegi.
- Ab yaha aapki location dikhne lagegi ab aapko isse apne friends ke sath ya kisi ke sath bhi share karna hai to yaha uper aapko 3 line yani menu dikhega uspar click karde ab aapko yaha bhut se option dikhne lagege unmese location sharing option par click karde.
- Ab aap location sharing par jaise hi click karege aapko let your friends where are you likha dikhega isska matlab ki aapke friends ko pata chal jayega ki aap kha hai isske niche get started par click karde.
Ab yaha aapko select karna hai ki aap kitne time tak apni real time location share karna chahate hai yaha 1 hour pahle se set hoga ussko kam karne ke liye yaha – icon par click kar sakte hai Aur aap minimum yani kam se kam 15 minute Set kar sakte hai agar aapko 1 hour se jayeda time tak share karna hai to aap + icon par click karke time bada sakte hai
Aur maximum yani jayeda se jayeda 3 days tak Set kar sakte hai Aur jitna time aap select karege utne time tak aapki real time location share hogi Aur uske baad time End hone ke baad vo share hona band ho jayegi to yaha aap apne hisab se time set kar sakte hai
Time select karne ke baad ab aapko yaha select people , messaging Aur more option dikhega Agar aapke phone contact me jo number hai unke sath location share karna chahate hai to select people option choose kare Aur kisi ko message ke dwara send karna hai to messaging option choose kar sakte hai but yaha me aapko facebook Aur whatsapp ke dwara location share karne ke baare me bata raha hai isliye aap more par click karde
- More par aap jaise hi click karege yaha aapko bhut si apps dikhne lagegi jaha par aap locetion bhej sakte hai aap Inmese messenger ya whatsapp par click karde. ( Agar aapke phone me messenger install nahi hai to aap facebook par click kare)
- Ab aap jaise hi facebook ya whatsapp par click karege yaha aapko sharing ko on karne ke liye pucha jayega isse aapki location aapne jo time select kiya hai tab tak share hogi Aur vo dekh sakega jisse aap choose karege yaha turn on par click karde.
- Ab aap apne whatsapp inbox me punch jayege . Yaha aapko apne sabhi contact and groups dikhege aap jisko bhi live location share karna chahate hai uspar click karke right mark par click karde.
- Ab aapne jisse select kiya hai usske inbox me punch jayege. Yaha send icon par click karde.
- Now ab aapne apna live location share kar diya hai ye ek link me rahta hai
- ab aapka friends iss link par click karega to usse aapki locations dikhne lagegi.
- Ab aapki ye real time location vo tab tak dekh sakega jitna ki aapne time set kiya hai aapne jitna time select kiya tha utna time end hond ke baad aapki location sharing automatically band ho jayegi
Issi tarah friends aap asani se apne friends ya kisi ko bhi Facebook Whatsapp Par Apni Live Location Share Kar sakte hai
- Facebook whatsapp par apne friends ke sath secret chat kaise kare ?
- WhatsApp Text Message Ko Voice Me Convert Kare – Text Change Audio
Dosto Facebook Whatsapp Par Apni Location Share Kaise Karte Hai , Whatsapp Par Location Kaise Bheje ye aap seekh hi gaye honge ab aap bhi apne friend ya kisi ke sath bhi apni locations easily share kar sakte hai Aur isske liye koi bhi third party app ka usd nahi karna hoga to dosto agar aapko ye article accha laga Aur ye aapke liye useful raha to isse apne friends ke sath social media sites par share jarur kare.