Hii Friends MI Account Kaise Banaye, How to Create MI Account ID ye aaj aap iss article me janege. Dosto agar aapke pass bhi Xiaomi Redmi phone hai to ye post aapke liye hi hai aapke pass koi bhi Redmi phone jaise Redmi 4 5 Etc koi bhi model ho isse fark nahi padhta. Aap Apne kisi bhi phone se mi id bana sakte hai.
Aur usse Apne mobile se connect kar sakte hai. Ab baat aati hai ki mi account Kyo Banaye to dosto agar aap Xiaomi ki sabhi apps Ko use Karna chahate hai to unko use karne ke liye aapko iss account ki jarurat padhti hai. Aur agar aapke pass ye nHi hai to aap xiaomi ki in apps Ko puri tarah use nahi kar payege.
- FreeCharge Kya Hai ? FreeCharge Account ID Kaise Banaye Step By Step
- Google Play Store ID Kaise Banaye Puri Jankari Hindi Me
Xiaomi MI Account Kya Hai ? What Is Mi Account Explained In Detail
Contents
Android phone me jis tarah Google ki apps Ko use karne ke liye Google account ya Gmail I’d honi jaruri hai tabhi hum Google ki apps jaise play store, Gmail etc Ko use kar sakte hai ussi tarah Xiaomi phone me isski apps Ko use karne ke liye hume mi account ki jarurat Hoti hai. Xiaomi Phone Me Mi Drop, Store etc bhut si apps pre-installed yani pahle se install milti hai inme kuch apps Ko to hum Bina ID ke hi use kar sakte hai but bhut si essi apps bhi hai jinko use karne ke liye Hume mi ID banan hota hai.
Jaise mi theme, cloud etc ko use karne ke liye Xiaomi account hona jaruri hai tabhi in apps Ko istemaal kar sakte hai micloud me aap Apne phone ke sabhi data jaise contacts, photos, call detail, recording etc Ko sync kar sakte hai.
Aur unka backup bana sakte hai. Jisse aap deleted data Ko recover bhi kar sakte hai. Jaise agar aapne mobile me mi account se login Kiya hua hai to aap Apne mobile se Jo bhi files photo, contact etc Ko delete karege vo permanently delete nahi hoga balki mi cloud me save ho jayega jise aap isski site ya app me jakar kabhi bhi recover kar sakte hai.
Iss tarah agar aapke mobile me mi ID login hai aur aapka phone Kahi hum Jata hai ya lost ho Jata hai to usse aap phone finder ki help se easily find kar sakte hai.
Xiaomi Account ID Kaise Banaye Aur Isski Jarurat Kyo Hai ?
Jaisa ki Maine aapko Bataya ki Xiaomi ki apps & services Ko use karne ke liye xiaomi I’d hona bhut se jaruri hai. Tabhi aap Isski apps Ko istemaal Kar sakte hai. Agar aap mi ID nahi banate hai to aap phone Ko update nahi kar payege aur mi apps and services jaise font install Karna theme download aur deleted data recovery bhi nahi kar payege.
MI Account Kaise Banate Hai Step By Step Jane
Apne kisi bhi Xiaomi Redmi phone jaise Redmi 4, Redmi note 4 pro, redmi 5, Redmi y1, etc kisi se bhi Xiaomi ID bana sakte hai isske liye niche bataye steps Ko follow kare.
- Sabse pahle Apne mobile me mi store app Ko open kare yaha Sabse last me account option dikhega isspae click kare aur sign up/login option par click karde.
- Ab yaha par create a mi account free wala option dikhega isspae click karde.
- Ab yaha par aapko apni country and country choose karna hai china country pahle se select hogi isspar click kare aur fir yaha par India par click karke select karde.
- Country and country code select karne ke Baad ab apna 10 digit ka mobile number phone number wale option me Dale aur next par click karde.
- Ab aapko ek Captcha code dikhega iss captcha code Ko same to same box me Dale aur ok par click karde
- Ab aapne Jo number enter Kiya hai uspe ek verification code aayega vo code enter verification code wale box me dalkar verify par click karde.
- Now ab aapko password choose karne ke liye bola jayega essa password Dale jo aapko yaad rahe aur dusre log pata na kar paye password enter karne ke Baad finish button par click karde.
Congrats ab aapki xiaomi ID successfully created ho Chuki hai.
Desktop Computer & Laptop Se MI Account Kaise Banaye
- sabse pahle apne computer me xiaomi ki site par jaye jis par direct jane ke liye niche button par click kare.
- ab aapko yaha country me apni country select kare india se hai to india select kare aur create a account using phone number wale option par click karde
Important- agar aap email ke dwara isspar ID banana chahate hai to enter email address me apna email id enter kare aur create account button par click karde.
- mobile number me apna 10 digit ka mobile number dale.
- captcha code same to same box me dale.
- create mi account wale option par click karde.
- Now aapne jo number dala hai uspar ek verification code aayega vo verification code box me dale. aur next par click karde.
ab password choose karne ka option dikhega password set karne ke baad creare mi account option par click karde.
- Google Drive Kya Hai ? Aur Issme 15GB Tak Ki Files Store Kaise Kare
- Emoji Kya Hai Aur Kaise Banaye Step By Step Jane – Create Own Emojis
Dosto MI Account Kya Hai Aur Kaise Banaye, MI Account Banane Ka Tarika in Hindi ye ab aap seekh hi Gaye honge agar ye article aapko accha laga to isse Apne dosto ke sath social networking site par share jarur kare.
nice jankari