Android Mobile Phone Ki Slow Speed Ko Fast Kaise Kare

7
apne android mobile phone ki slow speed ko fast kaise kare without app

Hii friends Mobile Phone ki Slow Speed ko Fast Kaise Kare ya apne android phone ki speed kaise badhaye ye main aapko iss post me batunga. Friends agar aap android┬а smartphone user hai or aapka phone slow hai or aap fast karna chahate hai to aap sahi jagah par hai yaha main aapko batunga ki kaise aap apne android mobile┬а ki slow speed kofast kar sakte hai.

Android Phone Slow Kyo Hota Hai ?

Contents

Bhut se logo ka ye question rahta hai ki unka mobile jab unhone buy kiya tha tab vo acche se work kar raha tha lekin ab 2-3 month me hi uski speed slow ho gayi hai or vo hang bhi ho jata hai. Ye kyo hota hai to main aapko batana chaunga ki aapke mobile phone ke slow hone ke bhut se reason hote hai.

Jaise aapke mobile me konsa processor hai uski internal memory kitni hai usme ram kitni hai┬а ye uspar depend karta hai matlab agar aapke mobile me 1Gb ram hai or 4Gb internal memory hai or aap usme 100 se 500 mb ke apps and games install karte hai to aapka mobile slow jarur hoga.

lekin bhut se logo ka mobile bina wajah hi slow ho jata hai vo apne phone par jayda apps and games bhi install nahi karte hai fir bhi unka phone slow kaam karta hai. Agar aapki bhi yahi problem ki aapke mobile phone ki speed slow ho gayi aap apni phone ki speed badhana ya increase karna chahate hai to yaha main jo tarika batunga usse aap apne mobile ko easily fast kar payege.

Apne Android Mobile Phone ki Slow Speed ko Fast kaise kare – Without using app

Google play store par aapko bhut se ese apps mil jayege jo aapke mobile ki speed increase kar sakte hai lekin agar aap bina kisi app ka use kiye apne mobile ki speed increase karna chahate hai to yaha main aapko ussi ki trick batunga.

Android Phone ko Fast kaise kare, Mobile Phone ki Speed kaise Badhaye-

  • Sabse pahle aapko apne phone ki setting me jana hai setting me jane ke baad about phone par click kare ab yaha aapko build number┬а ka option dikhega iss build number par aapko 7 baar click karna hai.

tap-build-number-7-times-and-see-developer-message

  • Jab aap build number par 7 time click kar lenge tab aapko you’re now developer wala message dikhega.

  • Ab aapko piche jana hai yani ab aap dubara apne mobile setting me jaye yaha aapko about phone ke uper developer option dikhega jo ki pahle nahi tha. Ab developer option par click kare.
  • Ab┬а developer option me niche aapko ye dikhege-

now-you-can-see-window-transition-animator-options

Window animation scale┬а

Transsition animation scale

Animation duration scale

select-animation-off

  • In 3 option me┬а pahle se animation scale 1x select hoga. Aapko ┬а1-1 karke in 3 option windows transition or animation duration par click karna hai or animation off par click kar dena hai. Jaisa aap uper screenshot me dekh sakte hai.
  • Jab aap in 3 option me Animation off kar denge tab aap apne phone ko chalakar dekh sakte hai vo ekdum super fast ho jayega.

Iss tarah friends aap asani se bina kisi app ka use kiye apne android mobile hone ko fast kar sakte hai and apne android smartphone ki speed badha sakte hai.

I hope dosto aapko ye post accha laga isse apne friends ke sath social media par jarur share kare or aapko iss post ya other post se related koi sawal hai to comment karke puch sakte hai and essi or bhi post ke liye aap humari site ko subscribe kar sakte hai and latest update ke liye facebook page like jarur kare.

7 COMMENTS

  1. mere blogger blog ke main page par kewal 1 hi post show ho rahe hai jabki Maine post settings me Dono jagah 5 set kiye hue hai. post me page break ka use krke bhi dekh liya koi fayda nahi hua ab ise kaise thik karu

    • agar aapke blog homepage par only 1 post show ho rahi hai to aap jo template use kar rahe honge usme homepage par 1 post hi set hoga issliye blogger setting me 5 post set karne par bhi aapki aapki template me koi change nahi hua. agar aapko thodi bhut coding aati hai to aap blogger dashoboard>>template>>edit html par jaker homepage search kare or homepage me post ka option dikhege waha agar 1 post hai to us 1 poost ki jagah jitni post dikhana chahate hai vo select kare or agar aap ye sab nahi karna chahahte hai to aap apne blog ki template hi change kar de blog ke seo and mobile friendly template ke liye aap yaha click kare or post read kare..

  2. Nice share brother, maine mobile ki speed kaise badhaye search kiye to aapka blog mila, I’m new in Blogging maine ek blog banaya hai aur usme maharashtra 12th HSC Result 2018 Online Kaise Dekhe ye article dala hai, isse rank karane ke liye kya kya karna padega, aur kitne time me rank ho jayega, please dekh kar ek baar feedback de dijiye.

  3. par kuchh log kahte hai ki developer option me animation scale ko .5x me rakhna chahiye…. to firr aapne sabse alag kyu kaha…??

    • animation scale ko .5x me rakhne par mobile me animation show honge jisse vo jayeda fast nahi hoga aur animation off karne se mobile super fast ho jayega yani ki phone ki speed badh jayegi.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here