Android Mobile Phone Me Recycle Bin Folder kaise Banaye Or Use Kare

2
android phone me recycle bin folder kaise banaye

Hello friends aaj main aapko android mobile phone me recycle bin folder kaise banaye ya android phone me recycle bin kaise use kare ye batunga. agar aapke mobile ka important data  jaise video, photo and document ya fir personal data aapse  galti se delete ho jata hai to aap usko recover karna chahate hai

matlab ki aap usko wapas pana chaiyte hai to aapko pata hi hoga ki  aap us data ko asani se recover nahi kar sakte hai google play store par bhut se data recovery app hai lekin un mese 95% apps esse hai jo bekar hai and sahi se work nahi karte hai.

Mobile Se Deleted Data Ko Kaise Recover Kare

Contents

issliye aaj main aapki iss problem ka solution iss post me batunga. kaise aap computer ki tarah apne phone me recycle bin ka folder bana sakte hai. jaisa ki aap jante hi honge ki computer me hume recycle bin folder milta hai jisse  hum computer mese jo bhi files document, video, song etc delete karte hai vo iss folder me aati hai. 

aur  isse fayda ye hota hai ki agar aapse galti se koi important file delete ho jati hai vo use aap easily recover kar sakte hai. bhut se log sochte hai ki essa koi tarika hai jisse hum computer ki tarah recycle bin mobile me use kar paye to yes ye possible hai.

Android Phone Me Recycle Bin Folder Kaise Banaye ? In Hindi

Computer me pahle se recycle bin ka folder hota hai jisme apke computer ka delete hua data uss folder me aa jata hai fir aap waha se data ko recover kar lete hai and mobile me koi recycle bin ka folder nahi hota aur aap apne phone ka data delete hone ke bad aap usko recover nahi kar sakte

lekin aaj main aapko iss post me  jo trick batane wala hu vo aapke liye helpful hogi and un logo ke liye jayda helpful hogi jo bhut baar galti se apni important file jaise image video ya jaruri document ko delete kar dete hai. or fir baad me use wapas nahi la pate jisse unka bhut nukhsaan ho jata hai.

Mobile me aap direct recycle bin to nahi create kar sakte hai kyoki ye windows ka feature hota hai lekin aap ek app ka use kar sakte hai jo bilkul same 2 same pc ke recycle bin ki tarah work karega

matlb agar aap Apne moibile se koi data delete kar dete hai to WO bhi apke iss recycle bin app me rahega aur agar waha se delete kar dete hai to permanently delete ho jayga.

Android Mobile Me Recycle bin Kaise Use Kare ?

  • Sabse pahle aap play store me jaye aur waha par search kare dumpster aur fir usko download kare aap niche diye hue link se bi download kar sakte hai.
mobile me recycle bin feature kaise add kare
  • Download hone k bad app ko open karna hai aur apke samne 2 option hai show me now aur skip agar apko is application k bare me janna hai to aap show me now par click kare and agar apko kuch ni janna to aap skip intro par click karde.
tap-on-skip-intro
  • Ab apke samne ek page open hoga jo blank page hoga and ab aap apne phone ke data me jaye koi bekar si image delete kare.
  • Delete karne bad apne Jo application┬аdownload ki hai matlb dumpster ko open kare aur waha apko dikhega Jo apne data delete kiya hai WO apke samne hoga
tap-on-image-file
  • Agar aap usko recover karna chayte hai to uss par click kare waha par apko 3 option dikhnge restore delete and share aagr aap us file ko wapas pana chahate hai to  aap restore par click kare aur agar permanently delete karna hai to uss par click kare
mobile me recycle bin folder kaise banaye
  • Ab apka data restore hone k bad blank page shown hone lagega apke delete hua data dumpster folder me aata rahega aap waha se chaiye dete kare ya restore wo apke hath me hai
dumpstar-app-is-empty

aap isi tarah se computer ki tarah apne phone me recycle bin folder bana sakte hai

friends agar  apko hmari post achi lagi to social media par jarrur share kare aur hmari website allhindihelp.com ko visit karte rahe aur bahut kuch shikte rahe. and new post ki jankari apne email par pane ke liye subscribe kare..

2 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here