Kisi Bhi Mobile Phone Ko Root Kaise Kare – Using Kingo Root Software

5
android mobile phone ko root kaise kare full detail in hindi

Hello friends kisi bhi mobile phone ko root kaise kare, android phone ko root kaise karte hai ye main aapko iss article me batunga friends agar aap apne mobile ko root karna chahate hai to aap sahi jagah hai yaha main aapko essi ke bare me batunga lekin usse pahle jante hai ki root hota kya  hai.

Mobile Phone Root Kya Hota Hai ? Android Smartphone Me Rooting Kya Hai

Contents

Sabhi logo ke pass apna smartphone hota hai kyoki ye sabhi ke budget me mil jate hai and android mobile ko buy karne ka sabse bada reason ye hai ki ye best os hai jisme hume google play par millions  apps mil jate hai. Ye sab aap log jante hi honge ye phone ki kuch basic information maine aapko di hai ab main aapko Rooting ke bare me batata hu.

Phone ko root karne ka matlab hota hai ki use customize karna yani usme badlab ya changes karna kahna ka matlab ye hai issse aapka mobile puri tarah badal jata hai lekin vo bhar se nahi ander se badal jata hai matlab ki aapko pata hi hoga ki mobile software or hardware se milkar banta hai

or jo uske andar yani bhitar hote hai unhe software bolte hai to root se aapke mobile ke lag bhag sabhi software me change ho jate hai. or isska use karke aapko kuch advanced feature bhi apne phone me mil jate hai . mobile ko root karne ke baad aap uske un feature ko use kar sakte hai jinko root karne se pahle use nahi kar pa rahe the.

example ke liye sabhi mobile me hume pre – installed apps milti hai jo uninstall nahi kar sakte hai lekin agar aap apne phone ko root kar lete hai to un pre-installed system apps ko bhi remove kar sakte hai.

 Phone Ko Root Karne Ke Fayde Advantage-

1.  Jaisa ki friends maine aapko uper bataya ki android ko bhut se log issliye bhi buy karte hai kyoki issme hume google play store ke millions apps milte hai lekin in millions apps mese esse bhut se apps rahte hai jo hum apne phone me install nahi kar sakte hai

in apps par root required likha rahta hai yani ki ye apps only rooted phone me work karte hai inme se kuch esse apps bhi rahte hai jo advanced feature ke sath aate hai or humare mobile ke liye jaruri hote hai lekin hum unhe  install nahi kar nahi kar pate.

2. Sabhi smartphone me pre-installed app aati hai pre- installed matlab pahle se install yani aapke mobile me bhut si app pahle se install aai hogi jinhe aap uninstall nahi kar sakte hai or agar uninstall karne ka try karte hai to waha setting me info or update ka option hi dikhta hai jabki aap dusri apl download karte hai usme uninstall ka option aata jispar click karke aap use delete kar sakte hai.

Lekin pre- installed app me uninstall option nahi hota or vo delete bhi nahi hote kyoki vo company ki taraf se diye jate hai lekin phone ko root karne ke baad aap in apps ko bhi asani se uninstalled kar sakte hai or internal memory or khali kar sakte hai jise phone fast kaam karega.

3. Agar aap apne mobile ko pura control karna chahate hai to use root karke full control karr sakte hai isse aapko apne mobile par pura control mil jata hai or usme aap esse bhut se kaam kar pate jai jo aap pahle nahi kar sakte the.

4. Rooted phone ko aap apne hisad se full customize kar sakte hai or uska user interface bhi change kar sakte hai lekin isske liye aapko programming language ke bare me pata hona jaruri hai

Android Mobile Ko Root Karne Ke Nuksan ( Disadvantage) – 

  • Issrse aapke phone ki warranty katam ho jati hai yani aap jab new mobile lete hai to aapko usme jo 1 year ya 2 year ki warranty milti hai to mobile ko root karne se khatam ho jayegi yani ki baad me agar aapko koi problem aati hai to aapko use sahi karwane ke liye shop keeper ko paise dene honge. Issliye agar aapne abhi abhi new mobile buy kiya hai to use root na kare .
  • Isse aapka phone brick bhi ho sakta hai brick ka matlab ki aapka phone ander se toot jayega matlab usme kuch bhi nahi dikhega and vo ek khali box ki tarah bankar rah jayega.
  • Isse aapke phone ki security kam ho jati hai or use koi bhi asani se hack kar sakta hai yani aapki personal information bank detail important photo documents etc jo aapke rooted phone me hogi vo asani se hack ho jayegi.
  • Isse aapka mobile kam secure hone ke sath sath kamjor bhi jo jata hai matlab ki agar usme galti se bhi koi virus aa jata hai to vo brick ho sakta hai.

Ye the friends mobile phone ko root karne ke fayde or nukhsan ab aapne decide kar liye hai ki aapko apne phone ko root karna hai to main aapko puri process barata hu. Lekin puri process ko follow karne se pahle niche sabse last me likhi warning jarur padh le.

Mobile Rooting Ke Liye Required Things( Jaruri Cheeje)-

Computer ya laptop ya desktop pc

Internet balance

Mobile ki battery 50% se jayda ho.

Usb cable

Kisi bhi Android Phone Ko Root Kaise Kare – Mobile Rooting process In hindi

  • Sabse pahle aapko apne computer me kingoroot software ko download karna hai jisse aap yaha se direct download kar sakte hai.

Download

  • Ab  is software ka apne pc me install kare or fir use open kare.

not-connect-any-device

  • Ab ise open karne ke baad aapko not connected wali image dikhegi. Ye not connect issliye show hoga kyoki abhi aapne USB cable connect nahi ki hai
  • Issliye aapko usb cable connect karni hogi lekin usse pahle apne aapko apne phhon me developer option me jaker aapko usb debugging  ko enable karna hoga.

  • Agar aapke phone me developer option nahi dikh raha hai to apne mobile ki setting me about me jaye or build number par 7 times click kare fir aapko  you are now developer wala message dikhega ab  setting me developer option show hone lagega

android phone ko root kaise kare

  • Ab developer par click karke  usb debugging  ko enable karde or uske baad phone or computer ko usb cable se connect karde.

Note- aapke mobile and computer me internet on rakhe ye aap wifi ke dwara kar sakte hai.

  • Ab agar aapke pc me koi software nahi honge to vo internet se download hona start ho jayege.

mobile ko root karne ka tarika

  • Software download hone ke baad screen par root option show hone lagega uspar click karde.

rooting-process-finished

  • Ab rooting process chalne lagega jab ye process khatam ho jayega tab succeeded message show hoga  finish option dikhega uspar click karde.

Now aapka mobile phone root ho chuka hai

Iss tarah friends aap asani se kisi bhi company jaise samsung, micromax , intex, vivo, Oppo etc sabhi types ke smartphone ko root kar sakte hai.

Important – 

friends maine aapko jo tarika and jo steps bataye unhe follow karke aap easily apna phone root kar sakte hai lekin bhut se logo ka mobile root ke time brick bhi ho jata hai

jaise agar aapke mobile ko root karte time light chali gayi and aapka computer bich me hi off ho gaya to aapka mobile pura brick ho jayega.

Issliye  agar aapko phone rooting process me koi problem aati hai to uske jimmedar aap kudh honge issme main and meri site allhindihelp ki koi jimmedari nahi hogi.

I hope friends aapko ye post accha laga iss post ko  apne dosto ke sath bhi share kare or aapko iss post me kuch samajh na aaya ho to comment karke jarur bataye or essi or bhi post read karne ke liye abhi humari site ko subscribe kare..

5 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here