Mobile Se Computer Laptop Me Internet Kaise Chalaye Using USB Cable

0
mobile se computer laptop me internet kaise chalaye using usb cable

Computer Laptop Ko Mobile Se Connect Kaise Kare, Mobile Phone Se Computer Me Internet Kaise Chalaye. Dosto internet kitna jaruri hai ye aap jante hi honge bina internet ke smartphone and pc dono hi ek dum boring lagte hai.

kyoki internet ke bina na hi hum social media apps jaise facebook whatsapp twitter etc ko use kar pate hai aur na hi youtube par video dekh pate hai. Mobile me internet chalana to bhut easy hai

but jo pahli Baar computer me net use karte hai unhe thodi difficulty hoti hai issliye aaj iss article me aapko step by step batane wala hu ki kaise aap apne kisi bhi mobile se computer me net chala sakte hai.

Mobile Se Computer Me Internet Kaise Chalaye ?

Contents

Laptop me internet chalane ke liye vaise to bhut se devices jaise Netsetter, Wifi broadband etc rahte hai but aap chahe to apne smartphone se hi laptop me net chala sakte hai

isske liye aapke pass 2 option rahte hai 1st aap hotspot and wifi ki help se apne mobile ko computer se connect kar sakte hai aur 2nd usb cable ki help bhi apne smartphone se laptop me internet chala sakte hai.

Yaha me aapko 2nd method ke bare me batane wala because bhut se logo ke desktop computer me wifi nahi rahta hai issliye agar aapke pass bhi Desktop PC hai aur usme wifi nahi hai to bhi aap usme apne mobile se usb cable ka use karke net chala sakte ho.

Mobile Phone Se Laptop PC Me Net Kaise Chalaye ?

Android Phone Se Laptop pc Me internet ka use karne ke liye aap Data cable ya usb cable ka istemaal kar sakte hai Ye USB cable aapko kahi par bhi easily mil jati hai.

Isse charging cable bhi bolte hai aur bhut se mobile ke charger ke sath me ye cable aati hai iss usb cable ka use karke aap apne kisi bhi phone se laptop me net chala sakte hai.

USB Cable Se Computer Laptop Me Internet Kaise Use Kare Step By Step Jane

  • Sabse pahle aapko apne Mobile Aur Computer ko usb cable se connect karna hai.

tap-on-more-option-in-mobile-setting

  • Fir aapko apne phone ki setting me jana hai waha par more option dikhega isspar click kare

enable-usb-tethering-option

  • aur fir yaha usb tethering wala option hoga isspar click karke isse enable karde.

Aur apne phone me mobile data enable karde. Now aapko Computer ke notification bar me internet access wala message dikhega aur aapke pc me net chalne lagega.

Dosto Mobile Se Laptop Me Internet Chalane Ka Tarika in Hindi wala ye article aapke liye useful raha aur aapko accha laga to isse apne friends ke sath social media sites par┬а share jarur kare aur esse aur bhi android tricks se related post daily read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here