MP3 Song Me Apna Photo Kaise Lagaye ? Set Kare Easy Method

1
mp3 song me photo kaise lagaye set kare

Hello friends MP3 Song Me Apna Kaise Lagaye Ya Set Kare  ye main aapko iss post me batane wala hu. Friends aaj-kal sabhi mp3 song me aapko photo laga hua mil jayega.

Aapko Koi bhi song essa nahi dikega jisme image na ho. Kuch mp3 me movie ke poster ya image add rahti hai to kuch me dj ki image add rahti hai. Inko hatakar aap inki jagah apna photo bhi laga sakte hai.

DJ Song Ya Gaane Me Photo Kaise Lagaye ?

Contents

mostly sabhi logo ka ye question rata hai ki gaane par photo kaise lagaya ja sakta hai ye aap easily mobile aur computer kisi bhi device se kar sakte hai aur aaj iss article me aapko computer/ laptop ke dawara dj song me image set karne ka tarika share karne wala hu.

jaisa ki aap jante hi honge ki song sunna sabhi ko pasand hota hai but aapne dekhha hoga ki  hoga ki bhut se gaano par logo ki photo set rahti hai uski jagah agar aapko apni image lagani hai to easily essa kar sakte hai.

Song me photo lagane se aapko sabse bada fayda ye hota hai ki aapki photo mp3 song me dekhti hai or jab us mp3 ko aap kahi par bhi jaise facebook, whatsapp etc par apne dosto ke sath share karte hai to usme bhi aapki photo add rahti hai.

Mp3 song me photo edit ya change karne ka ek aur fayda ye bhi hai ki isse aapke gaane ka size kam ho jata hai

aapne dekha hoga ki bhut se mp3 ka size 7mb ka hota hai kyoki usme 1mb ki to image hi add rahti hai to agar aap mp3 me kam size ki photo lagayege to aapka song bhi kam size ka ho jayega 

aur isse aapke phone ki storage bhi kam use hogi aur phone hang jaisi problem bhi nahi hogi. and aap apne mobile me jayeda jayeda mp3 files ko store karke rakh sakte hai.

Mp3 Song Me Apna Photo Kaise Lagaye Ya Set Kare

Agar aap bhi apni image ko mp3 song ya gaane me lagana chahate hai ya add karna chahate hai to niche bataye instruction ko follow kare-

  • Sabse pahle apne computer ya pc me aapko MP3 tag Editor naam ka ek software download karna hai. Iska size 3mb ka hai or ye windows 7, 8, 8.1 and 10 sabhi windows me work karega. Iss software ko internet se download kar sakte hai.
  • Ab mp3 tag editor ko open kare or jis song me aap apna photo lagana chahate hai usko tag editor me open kare.
  • Ab aapko yaha bhut se option dikhege aap apne song me title name,date etc bhi change kar sakte hai.

tag-editor-se-mp3-song-me-photo-lagaye

  1. Ab aapko Extended tag par click karna hai. or cover par click kare
  2. ab aap apni jo photo song me add karna chahate hai vo upload karde.
  3. Ab ok par click karde.

Iss tarah friends aap asani se apni photo ko kisi bhi mp3 songs gaane me laga sakte hai ya add kar sakte hai. ye tarika bhut hi aasan hai jisme jayeda kuch karne ke jarurat nahi hai vaise to gaane me photo lagane ke aur bhi bhut se software internet par available hai lekin ye mp3 tag editor ek unmese best hai aur isse easily use kar sakte hai.

agar aapko ye post accha lage to iss post ko apne friend ke sath bhi social media sites par share kare or aapko iss post me kuch samaz na aaya ho to comment karke jarur bataye. aur essi aur new internet se related post daily read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

1 COMMENT

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here