Top 5 Best MX Player Hidden Features And Secret Tips & Tricks 2018

2
mx player hidden features and secret tricks in hindi

Hii Friends Mx Player Hidden Features in Hindi, Top 5 Unknown Hidden Tricks of Mx Player in Hindi , MX Player Hidden Feature & Secret Tips And Tricks aaj me aapko iss article me batane wala hu. Dosto agar aap Android Phone user hai to Aapke phone me mx player name ka app to hoga hi agar aap isske bare me nahi jante hai to me aapko bata deta hu ye mobile phone me video dekhne ka bhut hi popular video player hai

jaise computer me video dekhne ka Best player VlC  hai vaise hi Smartphone me mx player hai Aur bhut se logo ke phone me mx rahta hai but issme esse bhut se feature rahte to bhut se logo ko pata nahi hote hai aap bhi bhut time se mx player use kar rahe honge but agar aapse pucha jaye ki kya aapne isske sabhi feature ko use kiya hai ? To jawab yes hoga

But aapne isske sabhi feature ko use nahi kiya hoga kyoki isske esse bhi Bhut se MX Player hidden Features hai jo sabko pata nahi hai and aaj me aapko iss post me inhi mx player hidden features ke bare me batane wala hu

Mx Player Hidden Tips & Tricks Jo Aap Nahi Jante

Contents

Dosto Google Play Store par agar aap mx player likhkar search karoge to aapko bhut si apps dikh jayegi jinka name isse Similar hoga Aur Inmese aapko kaisa pata chalega ki konsa real wala mx player hai to yaha me aapko sabse pahle real wale mx ko download karne ke bare me bata deta hu.

Mx ko 100 millions se jayeda logo ne download kiya hai Aur isski rating 4.5 hai And isske left side me aapko editor choice bhi likha dikhta hai Essi tarah aap easily real mx player ko find kar sakte hai ya aap direct isse download karna chahate hai to niche button par click karke download kar sakte hai.

Download MX Player

Top 5 BEST MX Player Hidden Features 2018

1. Audio player

Dosto aap mx player ko only video dekhne ke liye hi use karte honge but aap mese bhut se log nahi jante honge ki aap issme audio me chala sakte hai yani mp3 songs bhi aap issme sun sakte ho.

tap-on-three-dot-and-setting

  • mx player me Audio Chalane ke liye issko open kare Aur right side me 3 dot par click kare Yaha aapko setting option dikhega uspar click karde.

tap-on-audio

  • Setting me jane ke baad yaha aapko bhut se option dikhege Inmese audio par click kare.

enable-audio-player

  • Ab audio player ke aage wale box par click karke usse enable karde.

tap-on-folder

  • Now friends ab aapko mx player me Audio song folder bhi dikhne lagege yaha aapko sabhi folder dikhege jinme audio song honge us folder par click karne par aapko audio songs dikh jayege.

tap-song-and-select-song-and-song-running-mx-player

  • Aur jaise hi aap audio song par click karege vo mx player me chalne lagega.

2. Kids Lock

Mx player Hidden Features Me kids Lock bhut hi kamal ka feature hai but isske bare me bhut se logo ko nahi pata hai issliye isse secret feature bhi bol sakte hai kids lock ka matlab hai ki agar aapka phone koi kid chala raha hota hai aur aap lock icon par click karke video lock kar dete hai to vo screen par click karta hai to usse bhut se animated effect bhi dekhne ko milte hai.

tap-on-player

  • Mx player me kid lock enable karne ke liye sabse pahle mx ki setting me jaye setting me jane ke liye 3 dot par click karke setting option par click kare.  Ab yaha aapko player ka option dikhega uspar click karde.

tap-on-controls

  • Now friends yaha aapko bhut se option dikhege Inmese controls wale option par click kare.

tap-on-lock-and-enable-kids-lock-touch-effect

  • Ab aapke samne ek new window open ho jayegi yaha aapko lock mode ke samne lock par click karna hai fir yaha aapko bhut  3 lock feature dikhege Inmese 3rd wala kide lock+touch effects  par click karke select karde Aur ok par click karde.

tap-on-lock-icon

  • Ab aapne kid mode ko successfully enable kar diya hai ab aap koi bhi video open kare aur lock icon par click karde.

you-can-see-this-type-of-effects

  • Now friend video locked ho jayega ab aap  screen par touch karege to aapko animated effects dekhne ko milege.

unlocked-video-click-for-corner

  • Agar aap video ko unlock karna chahate hai to aapko 4 corner par click karna hoga sabse pahle uper left corner par Aur fir uper right corner par aur fir  niche right corner par aur niche left corner par bus itna hi karte hi video unlocked ho jayega.

3. Change Background & Theme

Dosto agar aap mx player ke default white background ko dekhkar bore ho gaye hai aur usse change karna chahate hai to easily change kar sakte hai Aur apni pasand ka colorful background kar sakte hai.

list-and-theme

  • Sabse pahle mx player ki setting me jaye Aur fir list option par click karke theme option par click karde.

select-theme-color

  • Now friends yaha aapko theme option. Me bhut se color dikhege Inmese aap apni psand ka choose karne ke baad uspar click karke select karde.

now-theme-color-change

  • Ab aap uper screenshot me dekh sakte hai ki mx ki theme and background change ho gaya hai issi tarah aap bhi isska background and theme change kar sakte hai.

4. Hide Videos

Dosto aap mx player hidden Features me video ko bhi hide karne ka bhi feature samil hai  ye secret feature hai. Jisse bhut hi kam log jante hai Aur isse aap easily use kar sakte hai Aur apne phone ke kisi bhi video ko hide kar sakte hai.

tap-on-video-and-pencil-icon

  • Mx player me video hide karne ke liye issko open kare Aur kisi bhi video par finger hold kare fir aapko yaha pensil wala icon dikhega iss par click karde.

rename-video-add-dot-and-ok

  • Ye rename karne wale option hai aapko yaha video ka name dikhega aapko video ke name se pahle only . (dot) laga dena hai. Video ke name se pahle . Lagade Aur ok par click karde.

now-video-is-hide

  • Now aapka video hide ho jayega.

tap-on-list-enable-show-hidden-files-and-folders

  • Ab aapko us hide video ko dekhna hai to setting me jaye Aur list par click kare Yaha sabse last me show hidden files and folders ka option dikhega uske aage wale box par click karke enable karde.

now-hidden-video-showing

  • Ab aapko apne hidden videos dikhne lagege.

rename-video-remove-dot-and-ok

Agar aapko apne hidden videos ko unhide karna hai to us video par finger hold kare jo hide hai aur fir pencil icon par click kare and video ke name ke starting me jo dot hai usse hatakar ok par click karde.

Iss tarah aap iss mx player hidden features ka use kar videos ko hide Aur unhide kar sakte hai.

5. Change Dual Audio Movie Language 

Friends bhut si movies dual language me hoti hai jaise aap koi hollywood movie download karte hai Aur vo dual audio me hai to aap usse hindi language me bhi chala sakte hai. Hollywood movie English Language me hoti hai Aur unhe hindi me dubbed karne ke liye computer me VlC use kiya jata hai but aap mx se bhi hollywood english language movie ko hindi me dubbed karke chala sakte hai.

tap-on-any-dual-audio-movie

  • Isske liye sabse pahle mx player me jaye Aur jis bhi hollywood ya south ya kisi bhi dual audio wali movie ki language change karna hai uspar click karde.

tap-music-icon-and-select-movie-language

  • Ab jab movies chalne lage tab aapko music icon par click karna hai fir yaha aapko languages dikhegi jis bhi language me aapko movie ko play karna uske aage wale box par click karke select karde.

iss tarah aap easily iss mx player hidden features ka use karke hollywood English language movies ko hindi me dubbed kar sakte hai.

Dosto ye  Top 5 Best Mx Player Hidden Features aapko kaise lage comment me jarur bataye in hidden tricks ke bare me bhut kam logo ko pata hota hai Aur ab aap bhi in Mx Player Secret Setting ke bare me jan gaye hai to inhe try kar sakte hai essi or bhi tips and tricks se related post read karne ke liye aap humari site par visit karte rahe or ye article aapke liye useful raha to isse apne other friends ke sath social media sites par share jarur kare.

2 COMMENTS

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here