Paytm First Membership Kya Hai Aur Kaise Activate Kare

1
paytm first membership kya hai aur kaise activate and join kare

Hii friends paytm first membership kya hai, paytm first kaise activate & use kare ye aap iss post me janege. sabhi logo ko pata hi hai ki paytm ek bhut hi popular e-wallet hai. jiska use karke aap mobile recharge, bills payments. movie ticket booking, train & flight ticket booking etc bhut se kaam kar sakte hai. aur issme aapko new new offers milte hi rahte hai,

aur jaisa ki aapko pata hi hoga ki abhi aap paytm payment bank me account bhi open kar sakte hai aur usme aapko virtual debit card bhi milta hai. aur paytm ne apni postpaid name se ek credit service bhi start ki hai

jiska use kake aap issse 500 se 10000 rupee tak loan le sakte hai aur uska use karke mobile recharge, bills payment, movie ticket booking etc bhut se kam kar sakte hai,

aur postpaid service ke bad paytm ne apni ek aur new service launch ki hai jiska name paytm first hai issme aapko bhut se cashback offers milte hai. agar aap amazon user hai to aap jante hi honge ki aapko amazon me amazon prime membership milta hai

aur amazon prime user ko bhut se cashback offer bhi milte hai ussi tarah paytm ne bhi apne users ke liye paytm first membership launch kardi hai.

Paytm First Membership Kya Hai ? What is Paytm First In Hindi

Contents

jaisa ki isske name se hi pata chal raha hai ki paytm me jo bhi new cashback offers aayege vo sabhi pahle unhi users ko milege jinhone paytm first membership join ki hogi. lekin kya aapko pata hai ki paytm first membership ko kaise join karte hai

to iske bare me bhi issi article me batane wala hu. jaisa ki maine aapko bataya ki ye ek new service hai jisme aapko bhut se cashback offers milte hai.

paytm apne users ke liye new new services deta rahta hai issiiye ye sabse popular e-wallet app hai. jisko almost sabhi log use karte hai. paytm first me aapko money add karne par, movies ticket booking par, bus & flight ticket booking par, food , gifting etc almost sabhi chijo par cashback milta hai.

paytm first membership join karne ke liye aapko 750 rupee pay karne honge aur ye isska 1 year ka subscription hoga. means aap 1 sal tak paytm first ke offers ko use kar sakte hai aur fir uske baad apako firse isski membership ko buy karna hoga.

Paytm First Membership Ko Kaise Actiavate/ join Kare ?

agar ab aap bhi paytm first member kaise bane yahi soch rahe hai to iske liye aapko jayeda kuch nahi karna hoga. aap only 750 rupee me first membership ko join kar sakte hai aur uske baad 66699 rupee tak ke cahsback offers ka labh utah sakte hai.

matlab paytm first membership se hi aapko gaana plus subscription, free 3 month zomato gold membership, 1 year freashclub membership, free bigbasket bbstar subscription for 6 months, free 12 month GOQii plus subscription etc bhi milegi. paytm first join karne ke liye niche bataye steps ko follow kare.

sabse pahle apne mobile me paytm app ko open kare fir yaha par niche apako pytm first wala banner show hoga uspar click karde ya agar aapko waha par banner nahi show kare to fir left side me home icon par click kare aur fir 1st me aapko paytm first wala option dikh jayega uspar click karde.

fir yaha par apko vo sare offers show honge jo aapko membership join karne ke baad milege aur yaha par niche aapko join pytm first @ Rs750 wala option dikhega uspe click karde.

Note – yaha par aapko 750 pay karne honge lekin uske baad apako 50 rupee ka cashback mil jayega to aapko only 700rs dene padege.

ab aapse payment karne ke liye pucha agar aapke wallet me balance hai to aap usse direct payment kar sakte hai aur balance nahi hai to aap debit card, credit card, net banking aur upi ke thorough bhi payment kar sakte hai.

Now aapki paytm first membership successfully activate ho jayegi aur aapko 50 rupee ka cashback bhi mil jayega.

Paytm First Membership Ke Fayde –

friends aap paytm first membership ko join karne ke baad 66000+ tak ke cashback offers ka labh utha sakte hai.

1. Cashback Benefits Worth Rs.1500

first membership join karne ke baad aap paytm wallet me 500rs ya usse jayeda paise add karte hai to aapko 30 rupee ka cashback milta hai , ye 30 rupee ka cashback aapko har month milta hai matlab aap 1 month me only 1 bar hi iss cashback offer ka labh utha sakte hai

aur isske liye aapko promo code ka use karna hota hai jo aapko first membership join karne ke baad mil jata hai. iss tarah aap 12 month me paytm me money add karke 360 cashback earn kar sakte hai.

aur aapko movie ticket booking karne par bhi 100 rupee ka cashback milta hai aur ye bhi month me 1 bar hi valid hota hai jise 12 month tak use karke aap 1200 rupee tak ka cashback kama sakte hai.

2. Travel Benefits worth Rs.13200

agar aapko bhi travel karna pasand hai to ye offers aapke liye bilkul sahi hai issme bus ticket booking karne par aapko 100 rupee tak ka cashback mil sakta hai ye offer bhi 1 month me ek bar hi use kar sakte hai iss tarah aap 12 month me 1200 rupee ka cashback kama sakte hai.

aur flight ticket booking karne par aap 12000 rs tak ka cashback earn kar sakte hai. issme aapko 250 rupee ka cashback promo code milta hai jise aap month me 4 times use kar sakte hai aur year me 48 times use kar sakte hai.

3. Endless Entertainment Worth Rs.3000

Paytm First se aap dusre brands ki bhi service ka bhi labh utha sakte hai. yaha par aapko Eros now, sonyLIv, Gaana plus ka 1 year ka subscription milta hai aur viu, storytel ka 3 month ka subscription and moviepass ka 1 month ka subscription milta hai. iss tarah aap 3000 rupee tak ki services ka labh le sakte hai.

3. Food Worth Rs4500

agar aapko bhi online food order karna pasand hai to ye offers aapke liye hi hai. isme aapko zomato aur easydinner ka 3 month ka subscription milta hai aur ubereats aur freashclub ka 12 month ka subscription milta hai.

4. Lifestyle Worth Rs.21500

agar aapko bhi shopping karna pasand hai to ye offers aapke liye best hai issme aapko ajjo.com , colorbar, the man company product, coolwinks, healthxp ka 12 month ka subscription milta hai. ye bhut hi popular shopping sites hai.

5. Health & Wellness Worth Rs.4500

Paytm first me apako GOQii Plus membership , doc.com prime membership etc ka 12 month ka subscription milta hai.

Conclusion

Dosto paytm first kya hai in hindi ye ab aap seeekh hi gaye honge ye jankari aapko agar acchi lagi to isse apne other friends ke sath social media site par share jarur kare aur aapko iss post me kuch samj na aaya ho to comment karke bataye aur essi aur bhi post daily read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

1 COMMENT

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here