Hi Friends Paytm Passbook History Kaise Nikale, Paytm Passbook Statement Download Kaise Kare, Paytm Payment Bank Statement Ko Download Kaise Karte Hai ye aaj me aapko iss article me batane Wala hu. Agar aap paytm user hai to aap jante hi honge ki aap isse Jo Bhi transaction karte hai vo passbook me save ho jate Hai.
Jaise agar aap Isme money add karte hai ya isse apne mobile number par recharge karte hai, bus, train ticket book karte hai, movie ticket book karte hai, apne friend ko isse money send karte hai etc sabhi transaction Jo aap paytm app ke through karte hai vo wallet statement me save ho jate Hai.
Jinhe aap kabhi Bhi wallet statement me jakar dekh sakte hai but ab bhut se logo ke man me ye question aata hai ki Kya hum apni passbook history ko download Kar sakte hai to yes ye possible hai ab aap easily apne paytm statement Aur bank statements ko Bhi download and save Kar sakte hai.
- Paytm Account Mobile Number Kaise Badle ? Change Kare
- PhonePe Se Bank Account Balance Check Kare & Get 20Rs Cashback
Paytm Passbook Statement Download Kaise Karte Hai Puri Jankari
Contents
Apni Paytm passbook history ko aap PDF Aur CSV file me download Kar sakte hai. passbook statement me aapke un sabhi transaction ki history rahti hai Jo aapne paytm se kiye hai. Agar aap partnership me koi business Kar rahe Hai. To aapko aapke partners ko paise ka hisab Dena hota hoga ki aapne paise kis kis jagah par spend kiye hai Aur aap agar business se related transaction paytm ke dwara karte hai.
Aur aapko un sabhi transaction statement ko apne partner ko dikhana hai to aap passbook Statement download Kar sakte hai. Aur usse apne friend ke sath easily share Kar sakte hai. Aur uska print Bhi nikal sakte hai. Issi tarah Aur Bhi bhut se reson rahte Hai jinki wajah se aapko apni passbook Statement ko download Karna chahaiye.
Paytm Payment Bank Statement Download Kaise Karte Hai
Passbook Statement ki tarah hi bank statement Bhi rahta hai jisme aapne payment bank se jitne Bhi transaction kiye hai in sabhi ki detail rahti Hai. Jaisa ki aap jante hi honge ki aap ab paytm payment bank account open Kara sakte hai aur usse other bank ki tarah money transfer Aur received Kar sakte hai.
Payment bank se aap apne friend ya jise Bhi paise send karte hai ya jisse Bhi paise received karte hai vo sabhi payment bank statement me save hota hai jisse asp PDF file me download Bhi Kar sakte hai. Ab me aapko Batata hu ki kaise aap apni paytm passbook history and bank statement ko download Kar sakte hai.
How to Download Paytm Passbook History And Payment bank Statement In Hindi
- Sabse pahle apne mobile me paytm app open kare Aur passbook wale option par click Kare.
- Ab yaha par wallet wale option par click karde.
- Ab yaha aapko apne account se kiye sabhi transaction dikhege Uper 1St me wallet statement ka option dikhega isspar click karde.
- Ab aapko yaha par last 1 month, 3 month aur 6 month statement aur select duration wala option dikhega agar aapko apne 1 month ya 2 month ya 6 month transaction Ko dekhna hai to inke aage wale box par click karde. Aur bhi pahle ke statements Ko dekhna hai to select duration par click karke proceed par click karde.
- Ab yaha AAP jitne bhi pichle month ke statement Ko download karna chahate hai vo yaha from option me select kare aur proceed par click karde.
- Congrats ab aapne apna jo Gmail account Paytm me add Kiya hai usms ek mail aayega pahle us mail Ko open kare issme aapko 2 file dekhengi inmese 1st file PDF ki hogi uske aage download icon par click karde.
Ab aapki PDF file download hona start ho jayegi file downloaded hone ke Baad usse open karne ke liye aapko WPS office ya Microsoft word app Ko Apne mobile me install Karna hoga jise aap play store se download kar sakte hai. Aur fir us file me aapki sabhi transaction Ki statements hogi.
Issi tarah friends aap easily Apni Paytm history aur payment bank statements nikal sakte hai.
- FreeCharge Kya Hai ? FreeCharge Account ID Kaise Banaye Step By Step
- Google Tez App Kya Hai Aur Google Tez UPI App Ko Kaise Use Kare
Dosto Paytm Payment Bank Statements Kaise Nikale Ya Download Kare wali ye information agar aapke liye useful rahi to isse apne dosto ke sath bhi share jarur kare.