Hi friends Paytm Password Change Kaise Kare, Paytm Ka Password Kaise Banaye ye aaj hum iss article me janege. paytm ek digital payment platform hai. isse aap digital wallet bhi bol sakte hai. isse aap online bus, train, flight, movie ticket booking and online mobile recharge aur DTH And electricity bills payments bhi kar sakte hai.
Esse hi bhut se kam aap isse kar sakte hai. Friends agar aap apna paytm passwords bhul gaye hai aur pata karna chahate hai ya reset karna chahate hai to uske bare me maine already post ki hui hai jisse apne niche link par click karke read kar sakte hai.
Aaj me aapko paytm password change karne ka tarika batane wala hu yani aap pahle se apne paym account me login hai aur aap apna pasword badalna chahte hai to aaj hum issi ke bare me janege.
- Paytm Account Kaise Banaye Puri Jankari Hindi Me
- Virtual Payment Address Kya Hai Aur Kaise Banaye ? VPA Detail in Hindi
Paytm Password Change Kyo Kare ?
Contents
1.agar aapka paytm account ka password kisi ko pata chal gaya hai to aapko usse jarur change karna chahaiye nahi to vo aapke account ko access kar sakta hai
2. hume time to time Paytm password change karte rahna chahaiye kyoki isse humara account secure rahta hai.
3. kabhi kabhi hum bhut hi simple passwords rakh dete hai jo koi bhi aasani se jan sakta hai issliye humare account ki security ke liye hume usko change karke strong banana jaruri ho jata hai.
4. Bhut se log almost sabhi sites par same passwords se register kar lete. but essa karne ke se unke account hack hone ke chances badh jate hai means agar aapne kisi essi site par register kar liya jo trusted nahi hai
aur aur ussi same pasword se aapne aur bhi sites par register kar rakha hai to us site ka owner aapke sabhi account ko easily access kar sakta hai. issliye aapko sabhi sites par different- different yani alag alag passwords hi rakhne chahieye.
Paytm Password Kaise Banaye ?
agar aap paytm par simple password jaise 1245 ya abcd etc likhte hai to vo set nahi hoga kyoki passwords me alphabet aur number dono hi hona compulsory hai. aur aap agar strong passwords banana chahate hai to aapko alphabet aur number ke sath sath spacial character bhi use karne honge. Aur pasword me aapko minimum yani kam se kam 5 letter hone jaruri hai aur aap 5 se kam letter likhege to bhi vo save nahi hoga.
and aap jo passwords banaye usme apna name and number na likhe nahi to koi bhi usse easily pata kar sakta hai. example ke liye 1234abcd ek bhut hi week password hai aur agar hum issme spacial character jodh dete hai +12-34#ab#cd ye ek strong password ban jata hai essi tarah aap bhi number+alphabet+spacial character ke sath ek strong pasword bana sakte hai.
Paytm Password Change Kaise Karte Hai Puri Jankari Hindi Me
- Sabse pahle aapko paytm app open karna hai aur yaha profile icon par click kare Aur fir aap yaha setting me punch jayege yaha niche scroll kare fir aapko security & setting me change password ka option dikhega isspar click karde
- Yaha apne paytm account ka password yani old pasword enter kare.
2. Yaha aapko new password banana hai maine apako jo uper strong password banane ka tarika bataya hai usko follow karke aap ek strong pasword banaye aur usse yaha new passwords Me enter kare.
3. ab aapne jo new pasword banaya tha usse yaha dubara enter kar confirm kare .
4. ab save option par click karde.
Now friends aapne successfully apne paytm account ka password change kar diya hai.
- Paytm BHIM UPI Kya Hai Aur Kaise Use Kare Full Detail In Hindi
- WhatsApp Payments Feature Kya Hai Aur Kaise Use Kare – Pay Via UPI
Dosto Paytm Password Kaise Badle ye ab aap seekh hi gaye honge agar aapke liye ye article useful and helpful raha to isse apen friends ke sath social media sites par share jarur kare aur essi or post daily read karne ke liye humari site par visit karte hai and posts ki notification facebook par received karne ke liye humare fb page ko like kare aur email par received karne ke liye humari site ko abhi subscribe kare.
Change password Paytm