Paytm Payment Bank Account Kaise Open Kare In Hindi, Paytm Bank Me account Kaise Khole in hindi, Paytm Payment Bank Me Saving Account Open Karne ka Tarika. Dosto paytm wallet ke bare me to aap jante hi honge ye ek bhut hi popular mobile wallet hai jisse aap online mobile recharge, bill payment, online ticket booking etc bhut se kam kar sakte hai.
And aap apne account se dusre user ko money send bhi kar sakte hai Aur usse paise received bhi kar sakte hai esse hi bhut se features hume issme milte hai Aur ab aap issse bank A/c bhi open kara sakte hai.
- Paypal Kya Hai Aur Verified Paypal Account Kaise Banate Hai тАУ Full Detail
- FreeCharge Kya Hai ? FreeCharge Par Account Kaise Banate Hai
Paytm Payment Bank Kya Hai ? Puri Jankari Hindi Me
Contents
Dosto ab aap paytm me apna saving account bhi open kara sakte hai. Paytm Payment Bank account open karane ka matlab hai ki aap isske bank me A/c khol rahe hai issme bhi aapko other banks jaise hi feature milte hai isske alawa payment bank account me aapko aur bhi bhut se Features milte hai.
Jaise ki aap issme zero balance a/c open kara sakte hai means agar aapne apna kyc process complete kar liya hai to aap free me paytm me saving a/c khol sakte hai Aui issme aapko per year yani har apne balance par 4% interest bhi milta hai.
And payment banks me a/c open karana bilkul free hai bus aapko agar debit card mangana hai to uske liye 120 rs pay karne hote hai. But jaruri nahi hai ki aap debit card yani atm mangwaye aap online bhi paytm app me jaise hi account open karayege aapko free me Virtual debit card milega jisaki help se aap online kahi bhi payment kar sakte hai.
Paytm Payment Bank Account Open Kaise Karte Hai Puri Jankari Hindi Me
Agar aap bhi ab issme A/c open karana chahate hai to isske liye sabse pahle aapko kyc process complete karna hoga. Bina kyc ke aap payment bank me khata nahi khol sakte hai and isske bare me mains already bataya hua hai ki kaise aap kyc complete kar sakte hai us post ko aap niche link par click karke read kar sakte hai.
Ghar Baithe Paytm Payment Bank Me Account Kaise Khole Step By Step Jane
- Ab apna kyc complete karne ke baad yaha aapko bank option dikhega uspar click karde.
- ab aapko yaha payment bank ke me bataya jayega open your saving account par click karde.
- Ab yaha aapse 4 digit ka pass code enter karne ke liye bola jayega yaha aap 4 ank ka koi bhi number enter karde but essa number enter kare jo aapko yaar rahe.
Note – ye passcode dalne par hi aapko apne paytm virtual debit card ka month year aur cvv dikhega issliye passcode dale vo yaad karle ya kahi par likh le.
- Ab aapse dubara passcode enter karne ke liye bola jayega aapne jo number passcode me dala tha vo yaha dubara enter kar confirm kare.
- Ab aapko add nominee to your bank a/c ka option dikhega agar aap apne A/c ke liye nominee add karna chahate hai . To first option select kare Aur agar aap aap koi bhi nominee nahi add karna chahate hai to I do not want a nominee wale option ke aage wale box par click karde Aur proceed par click karde.
- Ab aapko aadhar details verified successfully ka message dikhega. Ab go to home par click karde.
Congrats friends ab aapka paytm payment bank account open ho chuka hai and aapko isaka message bhi number par mil jayega ab bank option me aapko apna digital debit card ka number dikhega aur isska month year aur cvv dekhna hai to view cvv par click karke aapko 4 digit ka passcode enter karna hoga jo aapne dala tha aur fir aapko apne debit card ki full detail dikhne lagegi.
Aur yaha niche scroll karne par aapko saving account option dikhega yaha abhi 0.00 balance hoga agar aap issme money add karna chahate hai to yaha aapko apna account number dikhega Aur IFSC code dikhega.
Ye hi aapke paytm payment bank account ka a/c number and IFSC code hai inko aap kahi par likh le Aur fir apne paytm wallet se issme money add karna chahate hai to passbook me jakar send money to banks account par click kare Aur yaha apna name and ye a/c number aur IFSC code dale Aur proceed par click karde.
Iss tarah friends aap asani se paytm payment bank account khol sakte hai.
- Paytm Password Forgot & Reset Kaise Kare ? Without Old Password
- WhatsApp Payments Feature Kya Hai Aur Kaise Use Kare тАУ Pay Via UPI
Dosto Paytm Payment Bank Account Kaise Khole, Ghar Baithe Paytm Me Bank Khata Kaise Khole, How To Open Saving Account In Paytm Payment Bank In Hindi wali ye information aapko acchi lage to isse apne friends ke sath share jarur kare.