Paytm Se Bina Internet Ke Paise Kaise Bheje Or Send Kare

0
paytm se bina internet ke paise send kaise kare send money without internet

Hello friends paytm se bina internet ke paise kaise send kare ya without internet paytm cash money transfer kaise kare ye main aapko iss article me batane wala hu. Cashless transection ko badava dene ke liye bhut se company apni app and sites me changes kar rahi hai.

Modi ji ne cashless transaction ko badava dene ke liye bhim app launch ki hai essi hi bhut si aaps aapko google play par mil jayegi jinse aap cashless transection kar sakte hai lekin sabhi apps ko use karne ke liye aapke pass android smartphone hona jaruri hai

or sabhi logo ke pass smartphone nahi hota hai. Issliye unke liye online transaction karna difficult ho jata hai. Lekin aapke liye ab khush khabri hai kyoki aap paytm se bina internet ke bhi paise send kar sakte hai.

yani aap apne kisi bhi mobile jaise keypad or java mobile se bhi ┬аmoney, cash send kar sakte ho vo bhi without internet kaise ye janne ke liye pura post read kare.

Paytm kya hai ? Aur isse Paise Send Kaise Kare

Contents

Paytm ek E- commerce sites hai jaha par aap online shopping karne ke sath sath mobile bill, dth bill pay, online recharge jaise bhut se kaam kar sakte hai. iske bare me puri jankari ke liye yaha click kare. Paytm me aapko bhut se feature milte hai. Isse aap apne kisi bhi number par money transfer kar sakte hai.

Ek acount se dusre account me paise bhej sakte hai. Or isska sabse best feature promo code hai aap promo code add karke apne dwara buy kiye gaye kisi product ya recharge ya bill payment etc par discount prapt kar sakte hai.

Paytm se bina internet ke paise send kaise kare ? send paytm cash without internet

Agar aapke pass smartphone nahi hai or internet balance bhi nahi hai fir bhi aap online transection kar sakte hai. Aap apne keypad mobile se bina internet use kiye┬а paytm se payment kar sakte hai. Paytm ne cashless transection ko badava dene ke liye apna ek new offline feature diya hai jaha se aap ek call karke money ┬аtransfer kar sakte hai.

How to send money from paytm without internet in hindi-

Step-1 sabse pahle aapka paytm par pahle se account hona jaruri hai, fir aapko apna offilne pin generate karna hoga jisse aap bina internet ke money transfer kar payege. Isske liye aap 1800 1800 1234┬аiss number par call kare.

Step-2 ab ye call automatic disconnect ho jayega fir aapko paytm ki taraf se call aayega use received kare or aapne pin choose karne ke liye bola jayega pin choose kare and conform kar de.

iss-number-par-apne-registerd-number-se-call-kare

Step-3 ab aapka offline pin generate ho chuka hai. jisse aap kabhi bhi offline payment kar sakte hai. ab aap without internet paytm money transfer karne ke liye tyaar hai.

Step-4┬аab aapko dubara 1800 1800 1234┬аiss number par call karna hai. or language select karni hai.

Step-5 ab jis number par money send karna hai uska number enter karna hai or amount add karna hai. Fir aapne jo offline pin generate ki thi vo dalna hai.

Step-6 congrats ab aapne money transfer kardi hai.

Iss tarah friends aap simple steps ko follow karke bina internet ke kisi ko bhi paise send kar sakte hai ya paytm se kisi ko bhi offline payment bhi kar sakte hai.

Limitations- iss features ke ye kuch limit hai-

  • offline payment feature ko use karne ke liye aapka paytm par account hona jaruri hai or aap isme pahle se registered hone chahaiye.
  • Ab utne hi paise┬а send kar sakte hai jitna ki aapke account me paytm cash hoga usse jayda send nahi kar sakte.
  • Issse aap only payment kar sakte hai yani bank me money transfer nahi kar sakte.
  • Ye feature use karne ke liye aapko pin generate karna hoga bina pin generate kiye ye feature use nahi kar sakte.

I hope friends aapko ye post accha laga. Isse apne dosto ke sath social networking site par jarur share kare or aapko iss article me kuch samaz na aaya ho to comment karke bataye or esi or bhi post read karne ke liye allhindihelp ko subscribe kare.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here