Mobile Phone Se All Deleted Data Recover kaise Kare Using PC

15
mobile phone se deleted data recover kaise kare 2017 working trick

Hii Friends Mobile Phone Se deleted data recover kaise kare, Deleted Mobile Data Recover Kaise Karte Hai ye main aaj aapko yaha iss article me batane wala hu.  Agar aapse galti se apna kuch jaruri data ya important file delete ho gayi hai or use recover karna chahate hai to ussi ke bare me aaj main aapko batunga.

Aap agar android mobile user hai or aapse galti se by mistakes phone ke sd card ya memory card se koi files jaise document  video photos music delete ho gaya hai or aap use wapas lana chahate hai to yaha to aaj main aapko esse hi  data recovery method ke bare me batunga. Jo aapke liye bhut helpful hoga.

bhut se log internet par mobile se delete photo ko recover kaise kare, delete files ko wapis kaise laye etc likhkar search karte rahte hai isske bare me vaise to bhut se article bhi read kiye honge lekin agar aap fir bhi apne deleted data ko recover nahi paye to ye post aapke liye hi hai. 

Smartphone Se Data recovery Ki Ja Sakta Hai Ya Nahi

Contents

Phone Se Deleted Data Recover Kar sakte hai ya nahi ye bhut se logo ka question rahat hai jaisa ki aapko pata hi hoga ki Computer me aap asani se recovery software ka use karke apna deleted data recover kar sakte hai kyoki vo Hard disk me thoda bhut save rahta hai bhale hi vo recycle bin se delete ho gaya ho.

Lekin kya mobile me delete data recover kiya ja sakta hai to isska answer hai  yes aap apne smartphone se bhi deleted data ko asani se recover kar sakte hai. Isske liye aapko computer ka use to karna hi hoga matlab data recovery ki bhut si apps aapko google play store par mil jayegi.

Lekin koi bhi work nahi karti hai issliye aap app ki help apne phone ka data wapas pana chahate hai to bhul jaye essa kabhi nahi hoga. Issliye aaj main aapko computer ka use karke mobile phone ka all data recover karne ka tarika batunga.

Mobile Phone Se Deleted Data Recover kaise kare Working Trick 2019

Aapka mobile kisi bhi company jaise samsung, google Nexus, android one, lenevo, htc koi bhi ho aap asani asani se free data recovery software ka use karke aapne important file wapas prapt kar sakte hai.

Yes yaha main free data recovery software ke bare me batunga jisse aap asani se bina paise kharch kiye apna mobile ke document videos photos all file and deleted data recover kar payege.

Mobile Se Deleted Photo/ Videos Ko Recover Kaise Kare

  • Sabse pahle aapko tunesbro name ka ek software download karna hai jiska size 3 mb ka hai issliye aap isse slow internet speed se bhi asani se download kar sakte hai. Isse direct aap yaha se download kar sakte hai.

Download Tunesbro

  • Ab tunesbro ko install karne ke baad open kare.
  • Yaha aapko 3 options dikhege connected mobile to pc, identify device, ready scan. Yani aapko 3 option ko follow karna hai jisske liye niche instruction ko follow kare –

1. Connect Phone to PC

android phone me deleted data recover karne ki trick

Sanse pahle aapko apne phone ko computer se connect karna hai. Jisske liye aap usb cable ka use kar sakte hai mobile me usb lagakar computer se connect karle.  agar mobile connect karne par kuch nahi aa raha hai yani connect nahi bata raha hai or identify to device option nahi 2nd option na aaye to apko apne phone me usb debuinng option. Enable karna hoga jisske liye apne phone ke developer par jana hoga.  Agar aapko devloper option na dikhe to niche bataye instruction follow kare.

  • apne mobile setting me jaye or about par click kare yaha aapko apne phone ka Build number dikhega usme 7 time yani 7 baar click kare fir aapke same ek option aayega jissme likha hoga now you re developer.

  • Ab aapke phone me developer option enable ho gaya hai jo setting me about us ke uper dikhne lagega uspar click karde.

deleted data recover kaise karte hai

  • Ab yaha aapko usb debugging ka option dekhega uspar click karke enable karde. Now aapka device pc se connect ho jayega.

2. Identity your device

tap-on-start-scan

  • Ab aapko apni pc screen par Green color ka start scan button dikhega uspar click karde.

3. Ready to scan

mobile se deleted data recover karne ka tarika

Ab aapka mobile phone puri tarah scan ho jayega tab aapko waha par left side me apni device ki sabhi file dekhegi jaise image video document yani ki yaha aapka sabhi data hoga. yaha aap agar apni photo ko recover karna chahate hai to gallery par click kare.  Or music Aur video ko recover karne ke liye music & video par or document ke liye document par click karde.

tap-on-image-and-recover

Ab aap kisi photo ko recover karna hai to left side me gallery par click kare yaha aapko apni sabhi photo dekhegi to delete ho gayi thi unmese kisi par bhi click kare or niche recover button par click karde.

ab aap jo photo video ya kuch bhi data recover karege vo aapke computer  laptop par save ho jayega fir aap usse asani se card reader ya pan drive ki help se apne android phone me send kar sakte hai.

Issi tarah friends aap asani se apne Android Mobile phone se deleted data recover kar sakte hai. ye mobile data recovery wala ye article aapko kaisa laga comment me jarur bataye or isse apne dosto ke sath social networking site par share jarur kare. aur essi bhi post daily read karne ke liye humari site par visit karte rahe aur new post ki notification apne email par received karne ke liye humari site ko subscribe kare.

15 COMMENTS

    • iss post me bataye instruction ko follow kare and aap computer se hi apne phone ke deleted photos ko recover kar sakte hai agar aapke pass pc nahi hai to aap apne nazdiki cyber cafe jaye wha jakar iss post me bataye steps ko follow kare thanks.

  1. Hello Sir meri mobile mein lagi memory card by mistake format ho gyi Sir usme kuch photos the use Mai wapas Lana chahta hu please sir kaise wapas ayegi ye jo karna hai isse wapas ajyegi Sir please

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here