Kisi Bhi Photo Ka Background Blur Kaise Kare Like DSLR Camera

0
mobile phone se photo ka background blur kaise kare

Hii Friends Android Mobile Se Photo Background Blur kaise karte hai, How To Blurred Background Of Any Photo In Hindi ye aaj me aapko iss article me batane wala hu. Dosto aapne dekha hoga ki jabhi hum DSLR Camera se Photo capture karte hai to Usme hume chodhkar humare aas pass ka background blur yani dhundhla ho jata hai

jisse humari picture pahle se jayeda acchi lagti hai ab bhut se logo ke man me question aata hai ki kya hum apne mobile se DSLR Camera jaisi picture click kar sakte hai to yes ye possible hai aap apne android phone se bhi blurred background wali photos capture kar sakte hai.

Kisi Bhi Photo Ka Background Blur Kaise Kare ?

Contents

Aaj kal sabhi logo ko apne phone se selfie lena bhut pasand hai aur vo kahi par bhi jakar selfie lene lagte hai to agar aap esse place par selfie lete hai ya picture capture karte hai jo place jayeda accha nahi lag raha hai ya us place ko aap apni photo me nahi dikhna chahate hai but waha par aapki photo acchi aa rahi hai to essi situation me us picture ke aas pass ka background blur kar sakte hai.

Isse hoga ye ki background sara blurred ho jayega aur sirf aapki photo dikhegi. Normally bhut se log photo ke background ko blur karne ke liye DSLR Camera Ka use karte hai but agar aapke pass DSLR Nahi hai to apne mobile ko hi DSLR ki tarah use kar sakte hai.

Android Mobile Phone Se Photo Ko Blurred Kaise Kare Like DSCR Camera

Mobile ko DSLR Camera kaise banaye agar aap bhi yahi search kar rahe the to sahi jagah par hai dosto hum apne phone ke hardware to change nahi kar sakte jisse ki vo DSLR ban jaye aur na hi apne mobile camera ki pixels ka size bada sakte hai

jaisa ki aapke smartphone ka Camera 8 mp (mega pixels ) ka hai to aap usee 16 mp (mega pixels ) nahi bana sakte hai but me aapko jo trick bata raha hu uska use karke aap apni photo ko blur yani dhundhla jarur kar sakte hai.

Photo Ke Background Ko Blur Karne Wala App In Hindi

  • Sabse pahle google play store se aapko DSLR Camera Blurred Background wali app ko download karna hai jise direct yaha se bhi kar sakte hai.

Download DSLR Camera

tap-on-blur-option

  • Ab iss app ko open kare ab yaha par aapko blur aur shape blur 2 option dikhege agar aap kisi shape me jaise triangle, heart etc me apni photo ko blur karna chahate hai to shape  wale option ko choose kare aur agar aap brush se apni picture ko blur karna chahate hai to 1st option ko choose kare.

draw-your-finger-for-blur-effect

  • Ab yaha par aapko bataya jayega ki finger se draw karke aap apni picture me blur effect add kar sakte hai okay par click karde.

tap-on-photo-icon-and-choose-from-gallery-option

  • Yaha ab 1st option par click kare now yaha par choose from gallery aur take a photo 2 option dikhege take a photo wale option par click karke aap picture capture karke usse blur kar sakte hai ya aap agar blur karne ke liye picture mobile gallery se choose karna chahate hai to 1st option par click karde

select-your-which-photo-that-you-want-to-blur

  • Jis bhi picture ko blur karna hai uspar click karke select kare aur ok par click karde.

edit-blur-effect

Now aapki puri photo blurred ho jayegi yaha par clear brush dikhega usse blurriness clear kar sakte hai means jaha bhi aapko apni photo se blur yani dhundlapan hatana hai clear brush ko waha waha le jaye aur brush size aur blurriness option bhi yaha par dikhege jisse clear brush ka size kam jayeda kar sakte hai  Aur 3rd icon par click karke step undo kar sakte hai.

tap-on-blur

  • Agar aap photo ke background ko jayeda clear kar dete hai to fir blur option dikh raha hai isspar click kare aur fir yaha brush dikhne lagega usse picture ko dubara blur kar sakte hai aur pic ko zoom bhi kar sakte hai.

save-your-blur-image

Jab aap apni photo ko successfully blurred karde than sabse last me save icon par click kare fir aapse ek baar or confirm karne ke liye pucha jayega ki iss background blur picture ko save karna chahate hai yes par click karde ye pic successfully aapki mobile gallery me save ho jayegi.

Dosto Photo Ke Background Ko Blur kaise Karte Hai, Mobile Se DSLR Camera Jaisi Pic Capture kaise kareye ab aap seekh hi gaye honge ye article aapke liye useful raha to isse apne friend ke sath share jarur kare.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here