Photo Lab Kya Hai ?Aur Isse Photo Edit Kaise Kare

0
photo lab kya hai aur photo lab-se-photo edit kaise karte hai

Hii friends photo lab kya hai, photo lab ka use kaise kare ye aap iss article me janege, dosto jaisa ki aap sabhi jante hi hai ki pahle ki wajaye abhi hum apni kisi bhi photo ko click karke direct kahi pe bhi upload nahi karte hai balki picture ko edit karke yani ki usko aur sundar banakar use upload karte hai,

photo editing ke liye bhut si apps internet par available hai jaise beauty plus, picsart etc lekin iss post me aapko ek bhut hi acche editor ke bare me batane wala hu jisme aap khud se apni photo ko acche se edit kar sakte hai matlab issme aapko manually apni picture ko edit nahi karna hota hai aur vo automatically edit ho jati hai.

Photo Lab Kya Hai ? Kaise Kaam Karta Hai

Contents

Photo lab ek photo editing app hai jiska use karke aap apni picture edit kar sakte hai matlab isska use karke hum apni picture aur accha look de sakte hai. issme hume bhut sare aur acche filter milte hai

aur isska use karke aap apni picture ko animated gif ki tarah bhi bana sakte hai aur usme bhut se changes kar sakte hai, animated gift ke bare me maine apne article me pahle se bataya hua hai, ye ek bhut ki kamal ka app hai jo aapko bhut sare aur useful feature provide karta hai,

vaise to aur bhi bhut se picture editing apps internet aur play store par available hai but unmese bhut hi kam apps hai jo sahi se kaam karte hai,

aur jayedatar photo editing ka use karke hume unki premium membership buy karne hoti hai jiske liye hume paise dene hote hai,

lekin issme aap pro membership buy nahi karna chahate hai to bhi isske free version wale feature ka use kar saktte hai, photo lab se edit ki gayi picture ek dum professional lagti hai,

aur usse aap kahi pe bhi use kar sakte hai, aur issme aapko kisi bhi tarah ki manually editing nahi karni hoti hai matlab ki aapko photo ko khud se edit nahi kar rahta hai vo automatically edit ho jati hai.

aur issme daily new new filters aate rahte hai jo ki bhut hi kamal ke or professional hote hai, issme aapko demo bhi diya jata hai ki aapki photo edit hone ke baad kiski dekegi.

Photo Lab Ka Use Kaise Kare ?

photo lab ek android picture editing app hai vaise to android mobile ke liye or bhi editing apps jaise picsart, pixlr etc or bhi apps internet par available hai lekin jaisa ki maine bataya hai ki issme aapko khud se apni photo ko edit nahi karna hota hai

aaapko bs apni picture ko select karna hota hai aur vo automatically edit ho jati hai, ye ek bhut hi kamal ka app hai jisme aapko 900 se jayeda effects milte hai, aur issko use karna bhi bhut easy hai.

Photo Lab Se Photo Edit Kaise Kare ?

  • sabse pahle aapko apne mobile me photo lab app install karna hoga issko aap play store se download kar sakte hai ya direct yaha se bhi download kar sakte hai.
  • iss app ko download aur install karne ke baad open kare fir ye aapse apki media ko access karne ki permission magega, permission dene ke baad fir aapko yaha feed par sabhi effects show honge jis bhi effect me apni picture ko edit karna chahte hai uspar click kare.
  • fir vo effects open ho jayega niche apni mobile gallery ki sabhi picture show hogi jis bhi picture me vo effects add karna chahate hai us photo ko select kare.
  • fir thodi der processing hogi jisme 5 se 20 second tak ka time lag sakte hai ye aapke internet ki speed par depend karta hai.

now fir aapki picture successfully edit ho jayegi. iss tarah easily iss app ka use kar sakte hai.

Important –

Dosto iss app se picture edit karte time aapke mobile me internet access hona jaruri hai.

Friends Photo lab se picture ko edit kaise karte hai ye ab aap seekh hi gaye honge ye information aapko agar acchi lage to isse apne dusre friends ke sath social media site par share jarur kare aur essi or bhi android tricks se related post read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here