Computer Me Khud Ke Photo Se Windows Theme Kaise Banaye

0
computer me khud ke photo se windows theme kaise banaye

Hii friends windows theme kaise banaye, computer me khud ke photo se windows theme kaise banate hai ye aap iss post me janege, agar aapke computer hai to usme windows 7, 8, 8.1, windows 10 etc operating system install hoga, to aapne dekha hoga ki hume windows me bhut sare themes milte hai

lekin kya aapne kabhi socha hai ki aap apne photo se bhi windows theme bana sakte hai isska fayda ye hai ki isse aapka pc me aapke hi photo show karege aur aapne jo photo add kiye honge wahi show hogi,

means jaisa ki aap jante hi honge ki windows me hume slideshow theme milte hai jinme kuch second ya minute me wallpaper change hota rahta hai isse ek hi wallpaper ko bar bar seen nahi karna padata aur aap bore bhi nahi hote,

lekin aap chahe to issi tarah apne photo se bhi themes bana sakte hai aur fir usme aapke photo change hote rahege, isske liye aapko kisi bhi software ka use nahi karna hoga.

Apne Photo Se Windows 7, 8, 8.1, 10 Computer Ke Liye Theme Kaise Banaye

Contents

agar aap bhi apne windows 7 8 10 computer ke liye theme banana chahate hai to jaisa ki maine bataya ki isske liye aapko kisi bhi third party software ka use nahi karna hoga aap apne computer me bina kisi software ka use kiye hi windows theme bana sakte hai, or ye bhut hi easy hai,

isske liye aapko apne operating system ki setting me jakar essa kar sakte hai jiske bare me puri jankari me iss post me batane wala hu, lekin agar aapko windows theme ke bare me nahi pata hai to me aapko isske bare me bata deta hu.

Windows Theme Kya Hai ? Puri Jankari Hindi Me

computer ke liye windows kitna jarruri hai ye aap jante hai honge, windows ek operating system hai jiske bina aapka computer kuch nahi hai, computer me software run karne ke liye, song chalane ke liye, internet use karne ke liye sabhi kamo me windows ka use hi hota hai,

jaisa ki mobile ko chalane ke liye android operating system jaruri hai ussi tarah computer ko chalane ki liye windows jaruri hai, windows 7, 8, 10 etc me hume pahle se kuch theme milte hai,

windows theme se aapke computer ka look change ho jata hai, ye bhut si images se milkar bana hote hai, kuch theme only aapke desktop background ko change karti hai aur kuch theme or bhi chije jaise mouse cursor, text color, font etc ko change kar deti hai,

saral sabdo me kaha jaye windows theme se aapke computer ka look change ho jata hai aur vo pahle se alag show karta hai, computer ki tarah android mobile me bhi hume theme milte hai jo ki mobile ko look ko badal dete hai ussi windows me bhi essa hi hota hai.

Computer Me Khud Ke Photo Se Windows Theme Kaise Banaye

ab aap bhi agar apne photo se apne computer ke liye theme baanna chahte hai to easily bana sakte hai and me jo tarika aapko batane wala hu vo lagbhg sabhi windows jaise 7, 8, 10 etc me work karega aur isske liye aapko kisi bhi application ka use nahi karna hoga.

  • sabse pahle apne pc ko open kare aur fir desktop par mouse se right click kare fir kuch option show honge unmese personalize wale option par click karde.
  • fir aapko yaha par aapke computer ke sabhi theme show honge, yaha par color, sounds, mouse cursor etc aap apne hisab se select kar sakte hai aur fir desktop background ya background wale option par click karde.
  • fir yaha par aapko browse wala option show hoga uspar click kare aur fir browse par click karke aap apni jin photo se theme banana chahte hai un sab photo ko select karna hai yaha par aap jitni chahe utni photo select kar sakte hai aur fir jab aap apni sabhi photo ko select kar lenege fir save changes wale option par click karde.
  • now aapka theme ready ho jayega lekin abhi aapko issko save karna hoga ye aako unsaved theme name se show karega, ye theme aapko sabhi ke sath me show karegi aapko isspar right click karna hai aur fir save theme par click karke issko apne name ya kisi bhi name se save karde.
  • than aapki theme save hona start ho jayegi issme thoda time lag sakta hai agar aapne jayeda photo ko add kiya hai agar kam photo add ki hai to ye jaldi save jayegi.
  • theme save hone ke baad aapne use jo name diya hai ussi name se show hogi aur fir isspar click karke aap isse apne desktop computer me laga sakte hai.

iss tarah friends aap easily kuch steps ko follow karke apne photo se windows themes bana sakte hai aur use apne pc desktop par set bhi kar sakte hai.

Important

Dosto Computer ke liye windows theme kaise banaye, ye ab aap seekh hi gaye honge ye jankari aapko kaisi lagi comment karke jarur bataye aur ye article agar aapke liye useful raha to isse apne dosto ke sath social media site par share jarur kare aur essi or bhi computer tricks se related post read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here