Poko App Kya Hai ? Poko Me Game Kaise Khele & Friends Banaye

0
poko app kya hai or poko me game kaise khele

Hii Friends Poko App Kya Hai, poko app me game kaise khele ye aap iss article me janege, dosto jaisa ki aapko pata hi hoga ki internet par online game khelne ke liye bhut se Apps available hai aur unhi mese ek application ke bare me aapko iss article me batane wala hu.

poko ek social gaming application hai jaha par aapko labhag sabhi games mil jate hai aur in games ko aap online khel sakte hai matlab aap apne friends ke sath bhi in game ko khel sakte hai

aur new friends bhi bana sakte hai, aaj kal sabhi log offline se jayeda online game khelna pasand karte hai kyoki online games ko hum apne friends ke sath me khel sakte hai

aur new friends bhi bana sakte hai jabki offline games mese essa kuch nahi sakte hai issliye bhut se online gaming apps internet par available hai aur poko bhi unmese ek hai.

Poko App Kya Hai ? What Is Poko Social Gaming App In Hindi

Contents

jaisa ki friends maine aapko bataya poko ek online gaming app hai jisme aapko lagbhag sabhi tarah ke games jaise ludo, hexagon, fruit ninja, domino, snack and ledder , chess, golf, checkers, marine mining, cowabunga, good pass, gun fight, sea battle,

jump & jump, tank, free galaxy, animal chess, extreme avoidance, domino, rainbow man, golf, crazy crush, monster elimination, pop star etc sabhi tarah ke game milte hai, poko game ek bhut hi kamal ka app hai

jisme aap online friends bana sakte hai aur aapke jo friends pahle se unke sath me bhi isska use karke online game khel kar sakte hai, internet par bhut se tarah ke games jaise action, adventure, arcade, puzzle, racing, simulation, sports, strategy etc available hai

lekin kya aapne kabhi essse gaming app ke bare me suna hai jaha par aapko in sabhi categories ke games ek sath mil jaye to yes poko app me aapko lagbahg sabhi sabhi tarah ke games ek hi app me mil jate hai aur jinhe aap online khel sakte hai

matlab aapko sabhi games ko apne phone me install karne ki jarurat nahi hoti hai aur aap ek hi app me sabhi games ka maza le sakte hai, aur issse aapke phone ki storage bhi kam use hoti hai, issme aap new logo ke sath me dosti bhi kar sakte hai

aur unke sath me game khelne ke sath sath chat bhi kar sakte hai aur new friends ko invite bhi kar sakte hai esse or bhi bhut sare feature aapko poko game me milte hai.

Poko App Me Game Kaise Khele ?

jaisa ki friends maine aapko bataya ki poko game ek bhut hi popular social gaming app hai jise play store par 10 millions se jayeda logo download kar chuke hai aur isski rating 4.7 hai isse aap iss app ke popularity ka andaza laga sakte hai,

issme aap instantly apne friends ya kisi ke sath bhi online game khel sakte hai, agar aap bhi poko app me game khelna chahate hai to sabse pahle aapko isska app apne phone me download karna hai.

Poko App Ko Download & Install Kaise Kare ?

  • sabse pahle aapko apne phone me play store ko open karna hai aur poko likhkar search karna hai fir isska app aapke samne aa jayega fir waha se aap isse download kar sakte hai ya poko ko yaha se bhi direct download kar sakte hai.
  • poko app ko apne mobile me download aur install karne ke baad open kare fir aapko yaha sign in karne ke liye bola jayega aap apni facebook id se issme login kar sakte hai ya guest login bhi kar sakte hai.
  • lekin agar aap isske or feature ka use karna chahate hai to aapko issme facebook se connect karna hoga, isske liye connect with facebook wale option par click karde.

Note – aap issme gmail ya google account se bhi login kar sakte hai.

  • Now poko app open ho jayega aur yaha par aapko carrom, ludo, wizard hax, hey taxi, car drifting, juice master, finger drift, sushi master, fruit master etc bhut se game dikhege inmese jo bhi game aapko pasand hai uspar click karke use play kar sakte hai.

iss tarah friends aap poko app me game khel sakte hai.

Poko App Me New Friends Kaise Banaye ?

agar aap poko app me new new logo se dosti karna chahate hai yani ki friends banana chahate hai to easily essa kar sakte hai isske aapko sabse pahle games khelne honge tabhi new log aapse milege

aur agar aapke friends already poko app use karte hai aur aap unko add karna chahate hai to isske liye aapko niche bataye steps ko follow karna hoga.

poko app ko open karne ke baad 3 number par 3 dot icon show karege uspar click kare aur fir yaha par aapko friends wala option show hoga yaha se aap add friend wale option par click karke aapke jo friends whatsapp ya facebook se hai unko poko me invite kar sakte hai

aur aapke friends already iss app ka use karte hai to uski id ya nickname search box me dalkar use search karke add kar sakte hai.

iss tarah friends aap easily poko ko use kar sakte hai.

Important –

Dosto poko app kya hai aur kaise use kare, poko app me game kaise khele ye aap seekh hi gaye honge ye jankari aapko agar acchi lagi to isse apne dusre friends ke sath social media site par share jarur kare

aur iss post ya other post se related koi question hai to comment karke jarur bataye aur essi or bhi internet se related post read karne ke liye humari site par visit karte rahe.

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here