Prepaid Postpaid Sim Network Kya Hai & In Dono Me kya Difference Hai

0
prepaid postpaid network kya hai or in dono sim kya difference hota hai full detail

Prepaid postpaid network kya hai or prepaid postpaid sim Me difference fark kya hai. Aaj kal bhut se log internet ke liye board band ka use karte hai lekin sabhi log internet ke liye sim card ka use karte hai kyoki board band se aap computer laptop me Internet use kar sakte hai

lekin mobile tablet me internet chlane ke liye aapko sim card ka use karna hota hai. Chahe aap kisi bhi sim jaise idea Vodafone, airtel, reliance jio, unior etc ka kyo na use karte ho. internet hi nahi balki kisi se call karne ke liye bhi hume sim card ki jarurat padhti hai.

Sim Card Kya Hota Hai – Full Detail

Contents

Aap mese sabhi log jante honge ki sim kya hai fir bhi main aapko bata deta hu. Ye plastic se bana hua chip rahta hai jo memory card yani sd card se thoda bada hota hai sim 2 type ke┬а hote micro sim or nano sim jinke bare me main aapko apni agli post me batunga.

sim ke agar full form ki baat ki jaye to isska full form subscriber identity module or subscriber identification module hota hai. To ye to rahi sim ki detail ab postpaid or prepaid ke bare me jante hai.

Prepaid Postpaid Sim Network Kya Hai ?

Kisi bhi sim me hume 2 type ke network milte hai jo network provider hume dete hai. Ye 2 network prepaid postpaid hote hai. bhut se logo ko ye confusion rahti hai ki hume prepaid network ka use karna chahaiye ya postpaid network ko use karna hai to iss post me aapko pata chal jayega ki aapke liye konsa sim network best hai.

Prepaid Kya hota hai ? in Hindi

Prepaid network ko vo log use karte hai jo middle class log rahte hai or jo limited calling or data ka use karte hai. prepaid ka matlab hota hai ki pahle hume isske liye payment karni hogi baad main hum isski services ka labh utha sakte hai. Jaise agar aap kisi ko message karna chahate hai ya internet chalana chahate hai to pahle aapko isske liye payment karna hoga.

Fir aap in sabh ka use kar sakte hai. Issme aapko recharge plan buy karna hota hai jaise ki aap agar 10 rupee ka talktime voucher lete hai to aapko 7.34 ke karib balance milega or aap us balance se kisi ko bhi ya apne friends ko call kar sakte hai. Fir agar vo balance khatam ho jayega tab aapko dubara recharge karana hoga.yani firse 10 rupee pay karne honge.

Esse hi aap 202 ka internet voucher ka use karte hai to aapko pahle payment karni hogi fir baad me aap usska labh utha payenge.. or 202 ka plan aapko 1 month ke liye milega uske baad ye end ho jayega fir aapko dubara paise kharach karne honge.

┬аyani prepaid me pahle paise dene hote hai. Baad ne fir aap koi bhi voucher plan internet packs etc ke sakte hai. Or sabse important baar prepaid user ko koi bill month ya year ke end me pay nahi karna hota hai. Yani pahle hi recharge plan buy karke baad me fayda liya jata hai..

Postpaid kya hota hai ? in hindi

prepaid  Postpaid both opposite hai matlab ki postpaid sim me aapko baad me payment karna hota hai. Matlab ki issme aap jo bhi call message internet data ka use karege unke liye aapko pahle payment nahi karni hai aap month ya year ke end me apne plan ke anusar payment (bhugtaan) kar sakte hai.

Postpaid ka matlab hota hai ki issme aapko apni dwara use ki jane wali sabhi services ka ek sath payment karna hota hai. Issme aapko call message or data ka use karne ke liye alag alag recharge voucher ka use nahi karna hota hai matlab aap prepaid sim me koi bhi monthly ya yearly plan buy kar sakte hai or us plan ke paise bhi aapko pahle nahi dene honge.

Matlab ki jaise aapke ghar par electricity bill aata hai ussi tarah month ya year ke end me aapko jis bhi company ka postpaid sim use kar rahe hai vo bill send karege fir us bill ka payment kar sakte hai. Matlab ki pahle aap fayda labh utha sakte hai baad me paise dene honge.

Prepaid sim me bina balance ke bhi aap call message data ka use kar sakte hai. Issme aapko apne liye huye plan ke anusar correct date ke month ta year ke end me bill send kiya jata hai and usske deadline rahti hai deadline matlab aapko itni date se pahle payment karna hoga.

Agar deadline me jo date likhi hai aap usse pahle payment nahi karte hai to baad me aapko extra charge pay karna hoga..

Prepaid Postpaid Sim Me Difference Fark kya hai

Yaha main aapko ek table ke dwara batata hu ko prepaid postpaid network both me difference kya hai.

Prepaid SIMPostpaid SIM
Issme aapko Call message data ka pahle charge dena hoga. Fir baad me aap inko istemaal kar sakege.Issme aap call message data ka baad me charge de sakte hai or pahle inko istemaal kar sakte hai.
Agar aapki sim me  balace khatam ho gaya hai to aap call message data ka use nahi kar sakte hai.Postpaid sim me aap bina balace ke bhi call data message ka use kar sakte hai.
Issme aapko month ya year ke end me koi bhi bill pay nahi karna hota.Issme aapko month ya year ke end me plan ke anusar bill payment karni hogi.
Prepaid me aap agar internet message call ka istemaal nahi karna chahate hai to aapko unke liye koi charge nahi dena hoga.Postpaid me aap internet message call etc ka use kare ya na kare aapko plan ke anusar charge dena hoga.

Ab friends aap samajh gaye honge ki prepaid postpaid sim kya hota hai or prepaid or postpaid me kya differance hai ye network wali information aapko kaisi lagi comment karke jarur bataye or isse realted koi question hai to vo bhi bataye or isse post ko apne friends ke sath social media site par share jarur kare..

LEAVE A REPLY

Please enter your comment!
Please enter your name here